anum
|
Group: Members Joined: 24th Sep, 2008 Topic: 2 Post: 77 Age:
30
|
|
Posted on:30th Dec 2007, 7:20pm |
|
|
collection of brief duas Asalam-o-alaikum
To all members and doctors today I’m going to share all those prayers jo humaray Nabi(saw) ne manghin aur kuch jo maney khud different books study kr k un me dekhien.topic is lenthy but I hope everyone’ll read it.i’m posting it in three parts.
- Aik bar Allah k nabi ny bahut sari dua ki aur jab dua khatum ker chukay tu aik sahaba pochnay lugay YA RASOOL ALLAH aap ny itni zayada dua mangi lakin hum mein se kisi ko wo pori yaad nahi rahi tu aap hum sub koi esi brief dua bata dan jis me wo sari duayan ah jayan jo aap ny Allah se mangien.phir aap ny fermaya tum sub ye dua manga kro
“Ae Allah mujhey wo sari bhalaiyan ata ferma jo teray nabi ny teray se mangien aur un sub cheezon se apni pana(hifazat) me rukh jin se teray nabi ny pana mangi aur mujhey naki ki tofiq ata ferma aur burahi aur gunnah se buchnay ki taqat ata ferma”.
- Aik aur bar jaga aap ny ye dua mangi k
“Ae Allah jo maney kiya uss k shur se aur jo kuch maney nahi kiya uss k shur se aur jo mein janta hon uss k shur se aur jo mein nahi janta uss k shur se mujhey apni puna(hifazat) me rukh”.
- Aik bar aap ny ye dua mangi k
“Ae meray Rab mujhey ameeri k shur se gharibi k shur se apni puna me rukh”.
- Aik aur dua jo Quran mein bhi hy k
“Ae Allah mujhey jin-o-ins k shur se apni pana me rukh.”
- Aur aik bar hajaj bin yousif ne aik sahaba ki daughter se forcely shaadi ker li tab unhon ny apni daughter ko uss k ghar janay k bahud ye dua mangnay ko kaha “Ae meray Allah mujhey logon k shur se apni pana me rukh”ye dua perhnay k bahud hajaj bin yousif itna busy ho gaya k un ki beti k pass bhi na ah saka.
- Ager gunnah-e-qabira aur gunnah-e-saghira mean sarey chotay berhay gunahon ki list dekhan tu kitnay zayada han aur jab hum un ka hazaab perhan tu beshuk aik muslim per khof tari ho jaye.tu in sub gunnahon ki mafi aur in se buchnay ki taqat mangnay k liay ye dua hy.
“Ae Allah mujhey sub gunnah-e-qabira aur gunnah-e-saghira se apni pana me rukh aur meray se jo gunnah huay jo maney jaan boojh ker kiay ya unjanay me sirzad ho gaye sub maff ferma.”
- Hazrat Umer jab death bed per thay tu aap ny apnay betay ko kaha mera sir zameen per rukh do un k betay ny apnay father ka hukam manna aur jab un ka sir zameen per that u mati se sir rub ker k kahnay luga
“Ae meray Allah tu Umer ko maff ferma ager tu ny es ki paker(pooch) ker lit u Umer berbaad ho jaye ga”.
- Berkat ka word tu hum zindagi me kaheen bar suntay aur boltay han tu ye berkat hy kiya let aik insaan ki 80 85 age thi aur uss k bahud wo mar gaya lakin uss ny apni life me kuch khaas naki ka ya bhalahi ka kam nahi kiya mean us ki life me berkat nahi thi doseri teruf aik bahut hi naak insaan thay un ki omer koi 40 45 k dermayan thi ya phir uss se bhi thori tu unhon ny apnay thoray se waqat me itni zayada books study kien k aaj tak koi insaan itni zayada books nahi perh saka matlab ye k un ki life me berkat thi tu ab dua ye hy
“Ae Allah meri zindagi me,meray maal me,meray waqat me,meray qaam me,meri aulad me aur meri her cheez me berkat dal”
......to be continued and Allah Hafiz |
anum
|
Group: Members Joined: 24th Sep, 2008 Topic: 2 Post: 77 Age:
30
|
|
Posted on:30th Dec 2007, 7:28pm |
|
|
inform me plz mujhan sath sath batayan bhi koi perh bhi raha hy k nahi |
anum
|
Group: Members Joined: 24th Sep, 2008 Topic: 2 Post: 77 Age:
30
|
|
Posted on:31st Dec 2007, 11:03pm |
|
|
part 2
- Shiruk ko Quran me sub se berha zolum kaha gaya hy tu ye dua bhi mangni zurori hy
“Ae Allah mujhey Shiruk se apni pana me rukh”.
- Shataan insaan ka sub se berha dushman hy aur jado,snake k barey me bhi Allah se dua krni chahiay
“Ae Allah mujhey shataan(baatal) k shur se,jado k shur se aur saanp k shur se apni pana me rukh”.
- ilum aur malomaat me kiya difference hy ilum ka matlab hy deen ka ilum aur her wo doseri baat jo es dunia ka pata dati hy malomaat kahlati hy tu aik dua ye bhi hy
“Ae Allah mujhey ilum aur maalomat ata ferma”.
- “Ae Allah mera ikhlak bahtereen ker dy aur mujhey wo kaam kernay ki tofiq ata ferma jin me teri khushi ho,meray dil se es dunia ki mahabaat nikal day aur mujhey un logon ki list me shamil ker dy jin se tu khush hua”.
- “Ae Allah ager tu ny mujhey budbukhtoon me shamil kiya hy to tu mujhey naakbukhtoon me shamil ker dy”.
- Nabi(saw) Allah se ye dua kertay thay
“meray Rab mujhey zindagi k fitnay se,moth k fitnay se,dujaal k fitnay se,qaruz k fitnay se aur qaber k hazaab se apni pana me rukh”.
· Yaad rahay dikhaway ki namaz dajaal k fitnay se bhi berha fitna hy
“to nabi(saw) ny dekhaway ki namaz se bhi pana mangnay k liay fermaya”
· Insaan bahut kumzoor makhlooq hy taqat aur madad tu sub Allah ki h yes liay apnay her qaam me Allah ki madad mangan
“ya Allah mein kamzoor hon tu hi meri her kaam me madad ferma kuin k teri madad se berhi koi aur madad nahi hy”.
· Khawateen jo hijab lati aur parda kerti han wo bhi aur jo nahi kertien wo bhi Allah se ye dua kiya krn k
“Ae Allah mujhey sari zindagi shuri berda krnay ki tofiq ata ferma”.
· “Ya Allah mujhey Quran ko perhnay,sumajhnay aura mal krnay ki tofiq ata ferma”.
· Insaan koi bhi achi cheez dekh lay tu uss ka dil krta hy uss k pass bhi wohi cheez ho tu Allah se directly kuch mat manga krn mean name lay ker k YA Allah mujhey ye ata ferma instead kahan
“Ae Allah es me meri bahteri hy tu mujhey ata ferma werna mujhey na ata ferma kuin k mujhey nahi pata meray liay bather kiya hy ye sub tujhey pata hy”.
- “Ae meray Allah mera ikhlaq bahtereen ferma aur mera imaan kamil ker day aur mera khatima bil imaan ker”
- “meri ankhon per parda mat dal meray kaan bund mat ker,meray dil per moher mat luga mujhey zinda dil ata ferma jis me sirf teri aur teray nabi ki yaad ho jis me islam ka aur imaan ka noor ho”
- apnay liay aur apnay rishtadaroon ki health k liay ye dua krn k
“Ae Allah mujhey aur falaan falaan ko sahut_ajla aur kamala ata ferma”
- “Ya Allah ager meray walidan ki meray se nafermaani ho gayi tu mujhey maaf ker dy,mujhey haqoq-e-ibad aur haqoq Allah poray kernay ki tofiq ata ferma”.-
- jo dua Allah ko sub se pasand hy wo ye hy
“Ae Allah mujhey dunia me bhi ahfiyat ata ferma aur akhrat me bhi ahfiyat ata ferma”.
- “YA Allah mujhey jahunum ki aag jahunnum k hazaab se aur dozukh ki aag aur dozukh k hazaab se apni pana me rukh aur mujhey jannat-ul-firdoos me ooncha makaam ata ferma”.
- Nabi(saw) ny fermaya jo insaan mujhey 2 lips k dermayan wali cheez aur 2 legs k dermayan wali cheez ki hifazat ki zamanat dy day tu mein uss ko jannat ki zamanat don ga es liay
“ya Allah tu mujhey meri zubaan aur sharum ga ki hifazaat ki tofiq ata ferma k mein teri di hui cheezon ka ghalut istimal na kron mujhey meri zubaan per qabo ata ferma k mein es se koi ghalut baat na boolon jis se tu naraaz ho ya ye jo hath aur baki jo kuch bhi tu ny mujhey ata kiya uss k ghalut istamal se mujhey bucha lay,meray qadumoon ko burahi ki teruf uthnay se rook lay”.
- U know Hazrat Abu baqar apnay mouth me chota sa stone rukhtay thay takay wo zubaan se koi esi baat na ker jayan jis se Allah narazz ho
- Aik aur dua k
‘Ae Allah mujhey taqdeer k shur se aur zalimo k shur se apni pana me rukh”.
- Jo log namaaz perhtay han wo namaz per qahim rahnay ki dua kiya krn aur jo nahi perhtay wo namazz perhnay ki Allah se tofiq manga krn.
- U know shataan her insaan ko ghalut rastay per luganay ki pori koshish krta hy lakin jab koi bahut hi naak insaan ho tu uss ka bus nahi chulta tu wo uss se ghibut kerwata hy aur ghibat se tu gharon k ghar berbaad ho jatay han tu Allah se ye dua bhi zurori hy
“Ae Allah mujhey ghibat se apni pana me rukh”.
- Yaad rahay aaj kal jo zamana jar aha hy tu kisi insaan ka kuch nahi pata wo kab sahi rahay kab ghalut ho ka buss ki jaan chuli jaye tu her waqat ye Allah se apnay gunnahon ki toba MANGNA AUR APNAY AAP KO AUR APNAY SUB HAZIZ RISHTADAROON KO Allah ki hifazat me dena zurori hy,jab Allah per berosa ho ga tu kisi qisum ki koi fiqir aur pershani nahi ho gi.
- Death se aik saal pelhay ager Allah insaan ko jannat me dalnay ka irada krtay han tu wo uss k sath aik esa ferishta moqarar ker detay han jo uss ko naki ki rah per lugaye rukhta hy aur ager uss ko jahunum me dalnay ka irada kertay han tu uss k sath aik esa ferishta luga detay han jo uss ko her ghalut kaam kernay per oksata hy.
- Jab Allah ny sub insaano ko create kiya tu 2 hand(mothiyan) insaano se full kiay aik un logon ka jo jahunum me jayan gy aur aik un logon ka jo dozukh me jayan gy aur kaha jata hy dua taqdeer badalti hy tu aik dua hi hy jo insaan ko jannat me lay ja sakti hy.
- Aik bar aik sahabi ko nabi(saw) ny qereeb anay ko kaha aur fermaya jis ny qalma suchay dil se perh liya wo junnat me jaye gal akin ye baat doseroon ko mat batana wo naak amaal krny chohr dang y lakin bahud me unhon ny nabi(saw) k wisaal k bahud sub ko bata die s baat se k ilum k doseron tak ponchana es ummat ka farz hy.
- Jo log namaz nahi perhtay un ko aik baat yaad rukhni chahiay that Allah pak humarey sajdoon k motaj nahi han ye hum han jin ko uss k agay jhuknay me faeda hy.hum uss k mohtaj han k hum uss ko sajda keran.iblees ny sirf aik sajda nahi kiya tu uss ka ye haal hua sochan hum din me uss pak zaat ko kitnay sajday nahi kertay jo hum per farz han.
- Allah jab kisi bhi cheez se roktay han tu uss ka meaning hy that wo hum ko kisi noqsaan se buchana chahtay han jasey shuraab mat pi matlab es ko pinay se tera noqsaan hy aur jab kisi cheez ka hukam detay han tu meaning es me humara faeda hy jasey namaz perh,zaqaat dy kuin k Allah hum se bahut pyaar krtay han beshumaar mothers se bhi zayada
- Aik aur baat kabhi aap ny dekha hy kisi carpenter ny pelhay bahut hi khoobsurat chair bunahi jis ki sub qualities uss carpenter ko pata han aur phir uss ko bunanay k bahud break down ker diya similarly Allah ny hum ko bunaya uss ko pata hy k ye insaan kis qisum ka hy wo hum se pyaar kerta hy uss ny hum ko create kiya tu jab sonami aya,earth quack aya aur kuch disaster hua tu phir hum ye kuin kahtay han zolum khuda ka yaad rahay zalum tu insaan hy jo Allah k ahkaam na maan ker khud per zolum kerta hy,Allah pak tu berhay Raheem han.
- Jab hum Allah se kahtay han YA Allah meray walidan ko bukhsh day, meray walidan ko bukhsh day, meray walidan ko bukhsh day three times tu dozukh kahti hy ya Allah tu in ko mujh se bucha lay.
- JO NAMAZ NAHI PERHTAY MERI UN SE REQUEST HY 5 TIME NAMAZ PERHA KRN,USS WAQAT KIYA KRN GY JAB Allah aap k aur sub k amal kholay ga aur hum khud ko kahan chupayan gy jab hazaab humarey samnay ho ga aur akalay hon gy.aik aur dua “Ae Allah qiyamat k din mera naama-e-amal meray right hand me dena”.
- FAJR improves ur beauty ,
ZUHR increases income, ASAR increases health, MAGHRIB makes a good future, ISHA provides peaceful sleep : WHAT ELSE DO U NEED IN LIFE
- Yeh choti si ibadat bara sila degi,
Ghulaab ki tarhan aap ka chera khila degi, Mat chorna kabhi Allah ki yaad ko, Namaz khud aap ko Allah se mila degi.
- Allah se apnay country k liay dua kiya krn aur dua perha na krn dua mangha krn.apnay walidan se,apnay bhai bahuno se,jo shaadi shuda han wo apnay husband se aur baki sub rishtadaroon se acha behave krn jis se khuda khush ho,bahut berha sila milay ga aur ager apni khushi aur logon ko dekhnay aur khush kernay k liay kuch bhi krn gy chahay wo ghalut ho ya sahi sub becar jaye ga.
Ager aap me se kisi ko ye sub pasand aya tu plz mujhey bhi duayon me yaad rukha krn aur khush rahan aur ager meray se es ko likhnay me koi ghalti ho gayi ho tu sorry.mujhey aap k comments nahi chahiayan mujhey aap ki duayan chahiyan. and kindly in sub duayon ko apnay liay apnay sub rishtadaroon k liay aur apnay bochon aur walidan k liay mangha krn.ho sakta hy kuch bahut sari duayan aap ko ati hon so aap bhi wo sub mujhay baatayan aur in ko likhnay me meri kaheen ghalti ho tu sahi krn aur dua mangnay se pelhay aur bahud me aur dermayan me bhi drood sheriff perha krn.THANK YOU AND ALLAH HAFIZ. |
WSW
|
Group: Members Joined: 27th Dec, 2007 Topic: 2 Post: 18 Age:
31
|
|
Posted on:31st Dec 2007, 11:19pm |
|
|
WELDONW ANUM I APPRICIATE U MUJY KHUSHI HAI K MAY NAY JO NAMAZ PARNY KAR TOPIC START KIYA THA. AAP NAY US KO AIK BUHAt HE KHOBSORAT MESSAGE KI FORM MAY LIKH DIYA JIS MAY DUAO KA ZIKAR B HAI. MAY NAY NAMAZ K ILAWA ROZA UR ZAKAT K BARY MAY B LIKHA THA. AAP ISSI TARA SAY USSY B LIKHY B COZ AAP ACHA LIKH LAITI HAI. AAP KO PATA HAI NAIKI AUR ACHA KAAM KARNA BUHAT MUSHKIL HOTA HAI. AUR BUARA KAAM KARNA AASAN HOTA HAI.
AB HUM NAY ACHY KAAM KARNY HAI AUR IS FORUM PAR JO LOOG DIFERENT TOPICS DISCUSS KARTY HAI WO ZIYADA TAR MAZA LAINY K LIYE KARTY HAI. HAMARA KAAM HAI K AISI BAAT LIKY JO LOOGO KO GUIDE KARNY WALI HO. KEEP IT UP LAGY RAHO . ALLAH HUM SAB KO AONI AMAAN MAY RAKHY. AMIN WSW |
ik_ahsas
|
Group: Members Joined: 03rd Dec, 2007 Topic: 0 Post: 19 Age:
36
|
|
Posted on:31st Dec 2007, 11:37pm |
|
|
Good one Very very nice job Anum , Allah hum sab ko nayki ki tufeek ata farmayein.
|
anum
|
Group: Members Joined: 24th Sep, 2008 Topic: 2 Post: 77 Age:
30
|
|
Posted on:1st Jan 2008, 6:47pm |
|
|
re to both thanks to ik_ilklas and wsw mujey luga mera topic sub ignore ker dan gy aur koi bhi nahi read kray ga.Maney ye sub apnay Rab ko khush krnay k liay kiya kiya pata wo mujhey es topic ki waja se hi bukhsh day.kindly aap sub meray liay bhi dua krn aur baki sub bhi es ko perhan.i want to keep it on the front page so that everyone read it aur khuda sub ko naki ki rah per qahim rahnay ki tofiq ata fermaye(aameen) |
anum
|
Group: Members Joined: 24th Sep, 2008 Topic: 2 Post: 77 Age:
30
|
|
Posted on:1st Jan 2008, 10:08pm |
|
|
to all senior members to josh,HITMAN,Bewaqoof,Kali Zuban,BeautyStar,Rizwan++,Aag
aap saray tu almost her post ka jawaab detay han lakin ab meri post ka jawaab kuin nahi diya?????????i'll request to read my post and give ur comments.
thnx |
Alveena20
|
Group: Members Joined: 15th Dec, 2007 Topic: 10 Post: 922 Age:
29
|
|
Posted on:2nd Jan 2008, 2:54am |
|
|
Anum sister
As-salama_O_Alaikum
aap ne bahot bahot bahot achi prayers likhi hain. aap ne bilkul theek
kaha hai.sab ko namaz pharni chaye.
Allah Tallah ko hamari namaz ki zaroorat nahi hain . namaz pharnay mein humara
apna he faida hai. hum apnay liye he namaz partay hain. namaz parnay se hum
Allah Tallah ko apna dost bana saktay hain , humari har jaheiz dua kabool hoti
hain. namaz parnay se zindgi ki har mushkil asaan ho jati hai. insaan buri
baaton , buray kamon se bachta hai.humaray rizk mein aizafah hota hai, zindgi
mein hum kissi kay mohtaaj nahin hotay, log humari izat kartay hain hum se pyar kartay hain. jo sakoon aur khushi aap ko namaz pharnay se hasil hota hain . wo
sakoon aur khushi koi aur kaam kar kay hum kabhi bhi hasil nahin kar saktay.namaz
kay hazaron lakhon faiday hain.
Anum sister
am i right?
Allah hafiz
|
anum
|
Group: Members Joined: 24th Sep, 2008 Topic: 2 Post: 77 Age:
30
|
|
Posted on:2nd Jan 2008, 11:12pm |
|
|
re to alveena asalam-o-alaikum dear alveena thnx aap ny meri post ko perha aur coments diay and u r absolutely right about namaz aur members kahan han kindly sub es topic ko perhan ye kuch lenthy hy but aap ko bahut faida dy ga. maney ye khud k liay nahi likha aap sub k liay hi likha hy.Allah Hafiz |
Sooth
|
Group: Members Joined: 18th Jul, 2007 Topic: 303 Post: 1937 Age:
|
|
Posted on:2nd Jan 2008, 1:57pm |
|
|
request kindly es topic per bhi tawajo dan.thnx |
josh
|
Group: Members Joined: 30th Jul, 2007 Topic: 47 Post: 2285 Age:
37
|
|
Posted on:2nd Jan 2008, 2:14pm |
|
|
Collection of Duas! Walaikumasalam!
Dear sister anum apnay bohat mehnat bohat mohabbat say bohat achi prayers likhi hain or ye sab duain bohat bohat precious hain, abi tak 2 parts ap likh chuki ho , i hope k jald hi part 3 bi post karogi. prayers k ilava apnay namaz ki baat ki , yakeenan ham sab ko namaz parhni chahiye namaz buraee say bachati hai. apki post say hi chhota sa part dubara likh raha hon.
FAJR improves ur beauty , ZUHR increases income, ASAR increases health, MAGHRIB makes a good future, ISHA provides peaceful sleep
Allah apko khush rakhay or ham sab ki intentionally/unintentionally ki gaee galtion or kotahiyon ko apni rehmat say maaf farma day or ainda galtian na karnay ki taufeeQ ata farmaey. Aameen. |
Rizwan++
|
Group: Members Joined: 15th Nov, 2007 Topic: 12 Post: 243 Age:
26
|
|
Posted on:2nd Jan 2008, 3:30pm |
|
|
JAZAQ-ALLAH Wa-alaikumasalam!
aap ne jitni mehnat se yeh tamam duain likhi hain us ka ajar aap ko ALLAH dega. aap ne jo "qalma suchay dil se perh liya " wali baat likhi hai use parh kar kuch hairet ho rahi hai. kia aap bata sakti hain ko wo apne kahan se quote ki hai.
aap ne jo duain likhi ALLAH in tamam duaon ko aap ki aur hamari aur humare ghar walon aur puri umat-e-muslima ki taraf se qubool farmay AAMEEN.
|
sunehri76
|
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 100 Post: 4647 Age:
38
|
|
Posted on:2nd Jan 2008, 3:38pm |
|
|
anum apne bohat interisting and informatic duaen likhi hain,.mai abhi sari to nahi parh payi,par ahista ahista parh lungii .
very good work.....keep it up |
Sooth
|
Group: Members Joined: 18th Jul, 2007 Topic: 303 Post: 1937 Age:
|
|
Posted on:2nd Jan 2008, 5:00pm |
|
|
re to rizwan++ Asalam-o-alaikum
bhai u r right jab maney es baat ko first time suna i was also surprised aur bhi es tara ki hairan ker denay wali bahut sari baatan han jo deen ki deep study se samnay ati han.i did'nt remember from where i read that hadees actually my father study different islamic books and we our home also listen speeches of( scholars(Dr.farhat hashmi and Dr.moulana tariq jameel)and study tafseer of Holy Quran es liay mujhey yaad nahi from where i got it aur maney bahut sari aur baatan bhi idher add krni thien bahut sari cheezan(duayan and many other things)jin me kuch mujhey bahud me yaad ayi han aur kuch tu mein bhool bhi chuki hon jo sub maney different lactures me suna aur different books se perha.abhi maney apnay father se confirm kiya es hadees k baray me he said that shahid hiyaat-e-sahaba se perha tha.it is set of three books by translater Moulana Muhammad yousif and it is said by ulma-e-arab that Quran and Hadees k bahud 14 saadi ki sub se umda kitaab hy
Allah Hafiz |
BeautyStar
|
Group: Members Joined: 16th May, 2007 Topic: 52 Post: 3586 Age:
27
|
|
Posted on:2nd Jan 2008, 5:59pm |
|
|
Re: Sooth Excellent Post I just read it today ...... Its really a hard-work ..... Thanks !
Mualana Tariq Jami is one of the Favourite Islamic Scholars in Pakistan , I like his boive very much for which he has a lot of fame.
|
seriously
|
Group: Members Joined: 12th Dec, 2007 Topic: 24 Post: 313 Age:
57
|
|
Posted on:2nd Jan 2008, 6:05pm |
|
|
Thanks for the duas Anum. They are nice. I did not read all of them , but I will print them and share it with my family.
Jazzak Allah. |
Sooth
|
Group: Members Joined: 18th Jul, 2007 Topic: 303 Post: 1937 Age:
|
|
Posted on:2nd Jan 2008, 7:56pm |
|
|
re to seriously and request to other members Asalam-0-alaikum
bhai seriously aap es topic ko jaldi jaldi print kra lan ho sakta hy phir aap ka irada badal jaye wasey post ka shukriya aur mujhey duayan dena mat bholiay ga and to all other members koi jawaab kuin nahi deta.i want to keep this post at the top of front page so that everyone can read it but bahut thoray members ny perha hy aur response diya hy aur phir mujhey es ko front page per rukhnay k liay khud hi es per post krni perhti hy.
Allah Hafiz |
BeautyStar
|
Group: Members Joined: 16th May, 2007 Topic: 52 Post: 3586 Age:
27
|
|
Posted on:2nd Jan 2008, 8:10pm |
|
|
Thank You Sister Sooth Apne jo kaam kya hai ALLAH app ko iss ka ajar zaroor dey ga ..... Remaining Duas k inteezar rahey ga ....... App apna yah kaam chordyah ga mat please or iss kaam ko continue rakhyah ga , ALLAH ki tamam tar duaein qabool farmaey (Ameen)
|
Sooth
|
Group: Members Joined: 18th Jul, 2007 Topic: 303 Post: 1937 Age:
|
|
Posted on:3rd Jan 2008, 12:09pm |
|
|
to all moderators,members and doctors Asalam-o-alaikum
Ye han humari site k old and oldest members Bili_miau, Seriously, Nikama, Hangama, Noor,il_ahsas,wsw,rizwan++,alveena20,josh,sunehri76,beautistar,goodman,veer,noor123,hitman,,zeb,kalizuban,bewakoof,doctorpk,pink7861,khoobsurat aur in me se bahut thoray members ny meray article ko perha aur jawaab diya where r all other members?????????aur new members se bhi aur moderators se bhi meri request hy that es topic ko sub perhan aap ko bahut faida day ga.
Specialy to sir doctor pk I know sir aap bahut hi busy person han I’m surprised aap kasey es site ko chula raHAy han ye tu bahut hi time cosuming aur himmat ka kaam hy khuda aap ko long life, himmat aur health day aur aap humarey sath esay hi humesha rahan(aameen) meri aap se bahut respect k sath request that hy plz meray topic ko perhan aur apnay commant dan thank u and Allah Hafiz |
Sooth
|
Group: Members Joined: 18th Jul, 2007 Topic: 303 Post: 1937 Age:
|
|
Posted on:3rd Jan 2008, 4:44pm |
|
|
message to all jo namaz nahi perhtay kuin kay benamazi k liay namazi jo bhi dua krta hy wo qabool nahi hoti ye humarey nabi(saw) ny fermaya tha.thnx |
|
For Detail Click On Page No: 1 2 3 >> |
|