Chicken Onion With Chillies
"CHICKEN ONION WITH CHILLIES" sub se pehle 1 chicken boneless leyn aur us ko achi tarhan saf ker leyn....phir us mein thora sa salt, chinese salt 1 pinch, black pepper half tea spoon, 1 egg, thora sa maida aur cornflour....ye sub dal ker thori der k liye rakh deyn...phr is ko fry ker leyn....brown bilkul nai kerna sirf half galana hai.... jub half gal jaye to is ko nikal leyn aur us k bad alag se ek degchi mein thora sa oil leyn...us mein thora sa garlic aur ginger paste daleyn...1 spoon...us mein ye chicken daal deyn aur pakayen...jub ye is mein thora bhoon jaye to is mein chicken ki yakhni daal deyn...2 cups....aur is ko 5 mins k liye pakney deyn... itni der mein alag se 1 table spoon oil alag bartan mein daal ker us mein 1 minute k liye onion fry ker leyn (cubes ki shape mein katay huye)...bilkul naram na honey payen...bus thora se soft kerney hain takey crispy flavour bi aye....phir sath hi green chillies lambi lambi kat ker wo bi fry ker leyn....wo bi bus 1 minute hi fry keryn... us k bad ye dono (onion aur green chillies) chicken waley mixture mein fdaaleyn aur pakney deyn...us doran ap is mein 1 spoon soya sauce, 1 apoon vinegar, salt to taste, black peper, white pepper, chinese namak ...ye sub daal deyn....phir thora sa (1-2spoons) corn flour ko pani mein daal ker paste bana leyn aur mixture ko garha kerney k liye us mein dal deyn....sath sath chamach hilatey jayen...ju ye bilkul sahi garha ho jaye to dish mein nikal k chinese rice k sath serve keryen.... yummyyyyyyyyyyyyyyyyyy ;-p
|