s4u
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 99 Post: 5405 Age:
|
|
Posted on:14th Mar 2009, 1:52am |
|
|
Ladkiyoon Ko Ladko Se Chatting Kiu Nahi Karni Chahiye?
Reply by Sofi
Hitman sahab likin ye bhi ek hakeekat hai k internet ajkal k dour main ek eham zarorat hai insan ki is say taluk jorne k bajaye torna hamaray liyian hi nuksan deh hoga, is liyain chatting ki jaye likin negative nahi, positively ki jaye. Janab ap ke ya baat galat hai ka chatting kara positve keyo ka ap ke is baat sa ALLAH aur oska RASOOL ke nafarmane hote hai ap chatting par he keyo zoor daraha hai chat ka bagaer bhe to Internet sa ham bohat koch hasel kar sakta hai mai na ya to nahe kaha ka net he na used kara har cheez ka do istamal hota hai acha aur bora ap achae ko dakha chat sa waqt zaee hona ka koch hasel nahe hota aur mai na apne post ma ya bhe lekh choka hoo ka kese qesam ke bhe baat karna kese namahram sa jaez nahe ab ap is ko tasleem kara ya nakara ya HAQ hai ALLAH moj ko aur ap ko Hedayat da AMEEN Reply by Hitman.
rE: Sofi sofi ji chat tou app yahan bhi kartay hain females se, wo kis khatay main ajyega?.......
Dekhain ji hum jitne bhi paarsa bannay ki koshish karain likin hotay nahi hain, mere khayal main apka yahan pe koi kaam nahi hai, kyunke is forum k 2 matlab hosakte hain, ya tou knowledge lo ya phir yahan pe honay wali jo batain hain us ko na parha karo balkay parhaiz karo, kyunke yahan pe har baat sahi nahi, har baat knowledge nahi, thori behayae bhi hai kuch besharmi bhi hai, .......likin hum kahain ge k hum tou knowledge ki wajah se atay hain forum pe.......
is hi tarha hum kehtey hain k hum tou positive chat kartay hain, kya khayal hai sofi sahab?, meri upper wali observation pe zara Quran o sunnat ki roshni main roshni dalain k kya ye forum thek hai? ya isay nahi hona chahiyai, kya yahan pe khulay amm jo batain hoti hai wo dusrust hain agar haan tou kyun aur agar nahi tou kyun,? agar nahi hain tou app yahan per kya kar rahay hain :-)......................
|
sunehri76
|
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 100 Post: 4647 Age:
38
|
|
Posted on:14th Mar 2009, 7:33pm |
|
|
s4u mere hisaab se
myrizwi apni jaga bilkul thik hain ,aur Hitman apni jaga bilkul thik hain.
ye har ek pe khud depend karta hai..wo kya desice karta hai,aur agar insan ek cheez ka ghalat faida nahi uthata to isme koi burai nahi hai... |
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 130 Post: 7702 Age:
55
|
|
Posted on:16th Mar 2009, 9:29am |
|
|
sunehri76 go k maiN nay abhi tak iss topic par izhaaray khayaal nahi kia hai...taaham apka yeh kahna bilkul bajaa hai k maiN jo bhi kahouNga, bilkul Theek hi kahoungaa :)
islam jahaaN naa.mahram mard-o-zunn aur laRkay laRkiyoun k darmayaan azaadanah interaction ko discourage karta hai balkay baaz soortouN maiN sakhti say manaa karta hai... waheeN zarooratan baham communication ko allow bhi karta hai jaisay...
1) aik hi taleemi adaray /class maiN zeray taleem male female students... hijaab ka khayaal rakhtay howay, zarooratan aik doosray say communication kar saktay hain........ magar bila wajah gup shup, hansi mazaaq aur tanhaa.yee main (one-to-one) nahi mil saktay.
2) issi tarah aik hi jagah kaam karnay walay male-female bhi aik doosray say working relation bar.qaraar rakh saktay hain. (above ehteyaatoun k saath)
3) opposite sex ki incoming telephone receive karsaktay haiN aur zaroorat parnay par onhaiN call bhi kar saktay haiN... magar guftagoo to-the-point hi rahay... gup shup aur sexy /romance par mabni guftagoo is not allowed.
4) aaj kal IT ka daur hai to e.mail k zariyeh yaa net forum maiN zeray bahas topic par aik doosray say izhaaray khayaal karsaktay hain... sawaal jawaab ki jasaktay haiN... apni info share kijasakti hai........ yahaaN hijaab sab say zeyadah hota hai coz sirf aik ID doosree ID say mahway guftagoo hoti hai.... aur amooman log apnay ASL (age, sex, location) durust nahi show kartay... lehaza har aik fard (khaah male ho yaa female) relax hokar baat cheet karta /karti hai........ aj k daur ki aham tareen zaroorat bhi hai k bandah jin topics par kissi janay walay say 1-2-1, telephone ya email par communicate nahi karsakta, woh aik forum par unknown ban kar... unknown logouN say share kar sakta hai........ bus yahaaN bhi ikhaalqiyaat aur islamic teaching ka khayaal rakha jaye to iss maiN koi mozaaiqah nahi......... bah shartekay chatting say koi aur nuqsaan (jaisay studies, ghar k kaam kaaj etc) nah horahaa ho...
omeed hai k maiN nay above main Theek hi kaha hoga.
|
sunehri76
|
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 100 Post: 4647 Age:
38
|
|
Posted on:16th Mar 2009, 9:34am |
|
|
my rizvi to ye red mark apne kiya hai??? |
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4679 Age:
30
|
|
Posted on:16th Mar 2009, 9:37am |
|
|
Rizvi bhai umeed hae k aap ka reply sunehri ji k umeed k mutabiq hae:) |
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 130 Post: 7702 Age:
55
|
|
Posted on:16th Mar 2009, 10:40am |
|
|
g haan omeed par to dunyaa qaaim hai... hamara paighaam 'haqeeqat' hai, jahaan tak pahonchay :) bah qaulay poet...
maano nah maano xyz ikhtiyaar hai
hum naik o bad hazoor ko samjhaa.ay jatay hain :) |
~~HITMAN~~
|
Group: Members Joined: 09th May, 2011 Topic: 122 Post: 4259 Age:
29
|
|
Posted on:16th Mar 2009, 10:55am |
|
|
Main chahta hon Main chahon ga k sofi sahab myrizvi ko bhi us hi tarha daleel dein jesa k wo mujhe dekar samjha rahay thay k chatting thek nahi aur jab unhon nay quran o sunnat ka hawala dekar samjhaya hai tou ab apni baat ko agay barhayen apne nukta nazar pe rehtey hoe........aur saath main apne upper walay sawaal k jawab ka mutazir hon sofi sahab se..........:-)
|
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 130 Post: 7702 Age:
55
|
|
Posted on:16th Mar 2009, 11:10pm |
|
|
~~HITMAN~~ mera last 8/9 saal ka diff forums ka experience kahta hai k iss qism ki debate ka koi faidah nahi hotaa... yeh bahas to aisee hi hai jaisay log tv screen par aa kar bahas karain k TV par aanaa JAIZ hai yaa nahi..... jinkay nazdeeq TV par aanaa jaiz nahi, woh tv par aatay hi nahi...
net forums main male female sab aatay hain. lehaza apas main interaction bhi hota hai aur hota rahegaa...... albattah hamain islamic taaleemaat ka daman yahaaN bhi nahi chor na chhaiyeh... aur ghair zaroori taur par males females ko baham fazooliat qism ki guftagoo /chatting say parhaiz hi karna chhaiyeh... albatta issues par bahas karnay maiN koi mozaaiqah nahi... waisay bhi bahoot see females, male ID say aur bahoot say male female ID say login hotay haiN.. lehaza kissi ID say kabhi bhi cent per cent maloom nahi hosakta k jiss say hum mahway guftagoo hain, woh mohtarmah haiN k mohtaram... |
~~HITMAN~~
|
Group: Members Joined: 09th May, 2011 Topic: 122 Post: 4259 Age:
29
|
|
Posted on:16th Mar 2009, 11:51pm |
|
|
rE: Rizvi apki baat durust hai main ittefaak karta hon, yahan pe non islamic topics ka koi nateeja nahi nikalta tou islamic ki baat tou dour ki hai,.........
agar meri baat lain tou mera maksad nateeja nikalwana ya behes karna ya apni baat manwana nahi hota main yehi chahta hon k loag pehle apne app ko sahi karain phir jakar woh koi baat karain .....ab yahan pe hota ye hai k samjhane tou sab ajatay hain aur kuch barey daleel k saath sabit kartay hain k samnay wala ghalat hai aur wo khud sahi........... jabke unke apne andar wo batain nahi hoti jo wo dosre ko yahan pe samjha rahay hotay hain........
|
s4u
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 99 Post: 5405 Age:
|
|
Posted on:16th Mar 2009, 4:24pm |
|
|
My Rizvi Uncle aap ne bilkul theik kaha.mera bhi yehi sochna hai.
|
System
|
Group: Members Joined: 03rd Jun, 2008 Topic: 40 Post: 2274 Age:
33
|
|
Posted on:16th Mar 2009, 5:12pm |
|
|
S4u uhmmm.... app ne sahe kia aik hi post main dono ko past kerke laikin Sofi saheb ne koi jawab hi nahee dya... |
sahib ji
|
Group: Members Joined: 22nd Feb, 2009 Topic: 4 Post: 38 Age:
32
|
|
Posted on:16th Mar 2009, 9:12pm |
|
|
chaattt larky dhokebaaz hoty hen magr larkyan b kaam nahi |
s4u
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 99 Post: 5405 Age:
|
|
Posted on:17th Mar 2009, 1:07am |
|
|
sahib ji yahan per larrkon & larrkiyoon ki burai k lie topic start nahi kia gaya.ok
|
|
For Detail Click On Page No: 1 |
|