noor123 |
Group: Members Joined: 16th Apr, 2007 Topic: 83 Post: 804 Age:
28
|
|
Posted on:3rd Jun 2008, 6:09am |
|
|
Multiple Question: Need Your Answers
forum per sub larkia mujhe batayi ka kia unh ka baba unh kaye ammi ko pocket money dayiti hai aur jin ka baba pocket money nahi dayiti toa unh kaye ammi kia kerti hai agar aap na doctor per jana ho mensus ka laye toa aap kaye ammi laye ker jati hai aap ka baba thori pouchti hai ka kaha ja rahi ho aur aap ko jani sai mana kerti hai ka doctor per jana hi nahi hai agar aap ka baba kisi ki bi na mani aur koi kam bi na keraye apni daughter ki shadi bi na keraye aur acha acha keraye toa apni life kisia guzarwo gaye mujhe toa koi rasta hi nazar nahi atya itni dua kerti hon baba ka attitude badal jaye magar woai nahi badalti woai sirf apni man mani kerti hai
|
Red Chilli |
Group: Members Joined: 20th Feb, 2008 Topic: 5 Post: 4968 Age:
|
|
Posted on:3rd Jun 2008, 6:50am |
|
|
Noor One Two Three
1: mere papa mujhe pocket money dete hain jo main kabhi kharch he nahi kerti..wo pari he rehti hai...hamare ghar mein sab ko pata hota hai ke paise kaha per pare hue hain..mujhe jab bhi zaroorat hoti hain main apne parents ke room mein ja ker le leti hoon... baad mein unhe bata deti hoon ke main ne itne paise liye the.. ..agar mamma ghar mein hon to un se mang leti hoon....per wo khud he keh deti hain ke jitne chahye ja ker le lo...
2: jab bhi doctor ke pass jana hota hai main ghar walon ko bata ker khud he chali jati hoon.... yaha per dr ki fee nahi di jati sara ilaaj free hota hai..aap apne dr ke pass baghair appointment jab bhi jana chahein ja sakte hain..agar emergency ho to dr ghar aa ker checkup ker sakte hain agar aap ka dr kahin gaya hua hai to hospital wale 25 mins ke andar kissi aur dr ko bhaijh det hain..
3:mere ghar wale meri shadi ke mansoobe banate rehte hain.. agar apni shaadi ki baat main sun loun to ro ro ro ro ker apne ghar wolon ke mansoobe nakaam ker deti hoon...mere papa to maan jate hain..per mamma ko bohat ghussa aata hai per wo pappa ke samne kuch nahi kehti ...baad mein mujhe jo daant sunane ko milti hai... us ka main bata nahi sakti....pura pura hafte taak mamma ki baatein sunane ko milti rehti hain
4: meri dua hai ke aap ke haq mein jo behtar ho ALLAH TALLAH aap ke liye wohi kare..
|
khayali |
Group: Members Joined: 08th May, 2008 Topic: 28 Post: 1443 Age:
25
|
|
Posted on:3rd Jun 2008, 7:10am |
|
|
lucky Red chilli ap lucky ho ap k baba kitny achy hai,,,,,,,,,,, |
goodman |
Group: Members Joined: 11th Oct, 2007 Topic: 59 Post: 7344 Age:
32
|
Blocked |
Posted on:3rd Jun 2008, 7:37am |
|
|
ALLAH,ALLAH ,ALLAH Mari Allah say dua ha kay ALLAH SAB KEE maskhooloo assan ker day.Aur sab kay liyay APNI JANNAB say REHMATOO KEE BARISH barsain.Ameen Ya Rabul alameen. |
khayali |
Group: Members Joined: 08th May, 2008 Topic: 28 Post: 1443 Age:
25
|
|
Posted on:3rd Jun 2008, 7:51am |
|
|
goodman bai AMEEEN suma AMEEN |
sunehri76 |
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 99 Post: 4638 Age:
37
|
|
Posted on:3rd Jun 2008, 8:00am |
|
|
noor Pocket money lena/dena zaroori nahi hota. sab se eham bat ye hai ke shohar biwi ki zaroorat puri kare.
agar usne dr jana,kapde lene hon,koi bhi zaroorat ki cheez chahye ho....ye sab shihar ka farz hai ke wo apni biwi ko de.
Kuch log apni biwi ko pocket money dete hain/jo phir aurat sirf apni zat pe kharch kar sakti hai.Lekin agar shohar zayada na kamata ho ,lekin biwi ki zaroorat apni haissiyat ke mutabik pura karne ki koshish kar raha ho to uspe lazmi nahi hai ke wo biwi ko pocket money de.
mai to khair ab married hun.lekin shadi se pehle bhi,jab mujhe kabhi dr jana pada,to mai ya akaili chali jati thi ya ami ke sath.
noor ap dua kiya karo bass...Duaon ke ilawah iska koi hall nahi hai.kyunke ap apne papa ko samjha nahi paogi. |
josh |
Group: Members Joined: 30th Jul, 2007 Topic: 47 Post: 2296 Age:
36
|
|
Posted on:3rd Jun 2008, 10:24am |
|
|
pocket money... In my opinion
sab ko pocket money milni chahiye including wife, daughter, son, daughter-in-law and kids. |
goodman |
Group: Members Joined: 11th Oct, 2007 Topic: 59 Post: 7344 Age:
32
|
Blocked |
Posted on:3rd Jun 2008, 10:50am |
|
|
pocket money yaar mujay bee kooi pocket money nahi data sunehri ab tum MUJAY EURO may pocket money diya keroo gee na..... |
noor123 |
Group: Members Joined: 16th Apr, 2007 Topic: 83 Post: 804 Age:
28
|
|
Posted on:3rd Jun 2008, 11:09pm |
|
|
meri baba pocket money ka allawa bi khak dayiti hai meri baba pocket money ka allawa bi khak dayiti hai |
josh |
Group: Members Joined: 30th Jul, 2007 Topic: 47 Post: 2296 Age:
36
|
|
Posted on:3rd Jun 2008, 11:24pm |
|
|
pocket money... han goodman tum sunehri say euro mai pocketmoney lay lia karo aur sunehri ko Pak Rupee mai pocket money day dia karo...
100 euro lay lia karo aur 100 Rs. day dia karo... is tara ap dono ka problem solve ho jaeyga...
noor "meri baba pocket money ka allawa bi khak dayiti hai " ap to kehti thi k mai khud bi thora bohat earn karti hon?? to apko pocket money ki kia zaroorat ?? |
noor123 |
Group: Members Joined: 16th Apr, 2007 Topic: 83 Post: 804 Age:
28
|
|
Posted on:3rd Jun 2008, 11:42pm |
|
|
joshy mai na kub kaha hai joshy mai na kub kaha hai 300 mai toa kuch bi nahi atya |
Shararti |
Group: Members Joined: 14th May, 2008 Topic: 9 Post: 145 Age:
29
|
|
Posted on:3rd Jun 2008, 2:49pm |
|
|
n00r 123 mujhe dukh hai k aap k papa aapko or aapki mama ko pocket money kyoon nahin dete mere gher main to aesa nahin hai balke mere gher main b red chilli ki tarah papa k draw main pese pare hote hain jitne chahiye hotain hain utne hum papa se mang lete hain warna hum sab bhahen bhai or mery mama ko credit cards mile huve hain jo ik limit tak spend karne ki hum logon ko permission hai
is k ilawa hospitalies ka sara kharcha papa hi karte hain mama ko akehda pocket money milti hai or hum bhahen bhaiyon ko alehda lakin hum log zyada fazool kharch nahin hain jo b new cheez gher k liye leni hoti hai hum log mil k lele te hain baki main to yehi kahoon ga k man bap ko apni aolad ko pocket money lazmi deni chahiye or ager nahin dena chahte to un ki sari khuwahishat lazmi poori karni chahiyain or ager wo khuwahishat poori nahin karsakte to bachon ko peda nahin karna chahiyain noor123 ager aap main itni himat hai k aap job wagera kar k apna guzara karsakti ho to aap apne baba se pocket money mat mango or jahan tak shadi ki baat hai jab tak Allah ka hukam nahin hoga aap ki shadi nahin hosakti
|
kashifg |
Group: Members Joined: 19th Apr, 2008 Topic: 41 Post: 94 Age:
23
|
|
Posted on:3rd Jun 2008, 3:37pm |
|
|
dua karay sab noor ka laye Jin jin ka papa unhe pocket money daitay hai or wo khush hai or un ke mama bhi khush hai un ka papa ka kaam acha ho ga or pasay kafi makdar main ho ga jiss tarah shararti or red chilli ka gher credit cards hai or pasay kafi makdar main 1 he jaga per hai Allah une or dai.
her kasy per acha or bora waqt ata jata hai app noor bilkul fiker mat kero or Sirf Sachay dil say Dua manga keroo Allah pak app ko Ghaibana tareekay say itna kuch dai da ga ju ap nay kabi khawab main bhi nahi soucha tha. app buss saber say kaam lay or main app ka layee dua karoo ga ka Allah pak nay ju Azmaesh ap per or ap ke mama per rakhi hai ap us main kamyab ho jayee. Inshallah jald he sab teek ho jaye ga.
kyon ka dainay wala jab bhi daita daita chapar phar ker. |
Goddi |
Group: Members Joined: 12th Apr, 2008 Topic: 9 Post: 93 Age:
27
|
|
Posted on:3rd Jun 2008, 5:56pm |
|
|
noor don't worry aap apnay pappa ko pelhay islamic education kisi tara dain chahay ap khud un ko different books study kerayain ya phir un ko islamic lectures sunwayain aisay direct un ko kuch mat kahaa kerain un ko batayain k bivi k haqooq kiya hen aur Nabi(saw) ne ye hukaam diya hai jab beti ki age 16 saal ho jaye tu uss ki shaadi keroo aur ager tab bhi na ki aur beti kisi ghalut rah peer lag gayi tu sara gunnah baap k soir ho ga.
un ko batayain k qayamat k din sub se pelhay nakiyoon k palray me wo rukhaa jaye ga jo aik husband apnay buchoon aur bivi per khaarch keerta raha hai.
ye bivi ka haq hai k husband uss ki her jaiz khowaish aur zuroorat ka khayal rukhay aur ussay poora keray. |
Aisha |
Group: Members Joined: 25th Mar, 2007 Topic: 13 Post: 46 Age:
30
|
|
Posted on:3rd Jun 2008, 11:32pm |
|
|
hmmm ab to meri shadi ho gye hay mager
shadi se pehle mere baba pocket money b dete thay or us k ilawa b pucha karte thay k ager pese chaye kisi chez k liye to lay lena....
jab doc pe jana hota hay to mere baba khud doc tak drop kar k atay hay un ko batiya na b jaye par ami to bata sacti hay nah
mere baba meri ami ki sab ki bat man lete hay or shdi kar di thi meri unhon ne jab un ko pata laga k meri age 21 ho gye hay to us k bad 6 month k ander meri shadi kar di
meri dua b ap k sath hay allha behtar kare
muje lagta hay mere baba duniya k sab se achay baba hain Allha unain sehat or zindagi ata kare Ameen or hum sab pe hamare ma baap ka saya hamesha kayam rahay Ameen |
goodman |
Group: Members Joined: 11th Oct, 2007 Topic: 59 Post: 7344 Age:
32
|
Blocked |
Posted on:4th Jun 2008, 1:30am |
|
|
Ameen Allah karay sab kay baba bohat achay hoo aur sab Parents apnay Bachoo kay liyay sab Bachay bee Apnay Parents kay liyay GENIOUS hooo.
Ameen |
Maryam |
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 26 Post: 4432 Age:
|
|
Posted on:8th Jun 2008, 3:29am |
|
|
noor AAP SIRF 23 Years Ki HO Or Abhi Se DIL Chor Bethi Meri Behan Abhi TO Aap K Liye Sari Umar Pari Hai .Aap Bcs Ho Koi Job Kar Sakti HO Nahi To Ghar Par Bachon Ko Tuition De Sakti Ho . Aap Apne Baba k Liye Dua Kiya karen.INSHALLAH Aap Ki Ane Wali Zindagi Boht Achi Hogi .Hosakta Hai jo Mali Tor Par Khushhal Hain Unhe Koi Or Problems Hon.Isliye Dil Chota Na Karen.ALLAH PAK Jald Hi AAp Ki Mushkilen Asan Kare Ga (Amin) |
josh |
Group: Members Joined: 30th Jul, 2007 Topic: 47 Post: 2296 Age:
36
|
|
Posted on:8th Jun 2008, 3:57am |
|
|
noor's problems... noor nay pehlay aik bar btaya tha k khana peenay ki koi rok tok nahi hai iskay ghar.. iskay baba har cheez la kar detay hain... aur kabi kabi to suit bi lay kar detay hain... aur iskay ilava computer internet tv har cheez hai iskay pas...
bas monthly 300 rupee detay hain, par agar 10 rupay roz k kharch karo to pura mahina mazay say guzar sakta hai... noor apnay konsa mobile phone say dosto ko calls karni hoti hain,, ziada paison ki zaroorat ajkal un larkay larkion ko hoti hain jinho nay phone karnay hotay hain... |
|