Bewaqoof
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 263 Post: 4444 Age:
39
|
|
Posted on:2nd Feb 2008, 6:44pm |
|
|
Women Pray At Masjid
mai ne dekha hai keh generally auratai masjid mai nimaz nahi perhti, jabkeh saudi arab mai dekha keh aurtai masjid mai bhi nimaz perhti hai. mera sawal yeh hai keh:
- kia aurat masjid mai nimaz perh sakti hai?
- Pakistan mai generally aurtai masjid mai nimaz kio nahi perhti?
|
Rizwan++
|
Group: Members Joined: 15th Nov, 2007 Topic: 12 Post: 243 Age:
26
|
|
Posted on:2nd Feb 2008, 6:52pm |
|
|
mera khial 1. jee han lekin behter hai ke ghar main parhain. 2. kiun ke pakistan main aurton ke liye masjid nahin hai. aur sir aap ko haj mubbarak ho. |
nelish
|
Group: Members Joined: 13th Jan, 2008 Topic: 25 Post: 1147 Age:
25
|
|
Posted on:3rd Feb 2008, 4:25am |
|
|
Namaz sirf masjid ul haram or masjid-e-nabvi main aurtai jamat ke saath namaz ada kar sakti hain. |
BeautyStar
|
Group: Members Joined: 16th May, 2007 Topic: 52 Post: 3586 Age:
27
|
|
Posted on:3rd Feb 2008, 1:47pm |
|
|
Women's pray at Mosque
Kia aurat masjid mai nimaz perh sakti hai? Jee haan bilkul pardh saktey hain agar proper way ma pardey ka intezaam hoo aur male or female ma kisi qism ka koi interaction na hoo mosque ma. Pakistan mai generally aurtai masjid mai nimaz kio nahi perhti? Pehley baat yah kah Pakistan ma logon ko yahi nahi pata kah Aurat Masjid ma Namaz pardh saktey hai... Dosrey baat yahan per Masjid ki contruction hi aasey nahi hotey hai or na hi Aurtoon k liyah Masjid ma koi jagah banaey jatey hai jahan woh ibadat kar sakein.
|
nelish
|
Group: Members Joined: 13th Jan, 2008 Topic: 25 Post: 1147 Age:
25
|
|
Posted on:4th Feb 2008, 4:02am |
|
|
Super Star ap kehte hain ke aurtain masjid main namaz parh sakti hain,,,,,,,
plz mujhe quran hadees ki rushni main batain???? |
zeb
|
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13607 Age:
33
|
|
Posted on:4th Feb 2008, 10:10am |
|
|
my answer agreed to beauty star
1. namaz perh skti hain
2. but pakistan mein koi intezam nahi hai aisa....bahar saudia mein males aur females k alag alag portions hain masjid mein namaz perhney k...but yahan aisa koi intezam nahi hota to larkian masjid kesey jayen aur namaz wahan bajamaat kesey adaa keryen... |
raazdaar
|
Group: Members Joined: 18th Nov, 2007 Topic: 38 Post: 369 Age:
25
|
|
Posted on:5th Feb 2008, 8:23am |
|
|
AISA HOTA HAI LAKIN.... SALLAM TO ALL FRIENDS
Kuch bhaiyoon nai yai bataya kai saudi main auratoon kai liyai alahida jaga ka intizaam hota hai.Har masjid main.Lakin waisai wahan kai qanoon ko to daikoo.Kitna saqt hai wahan ghunnah ki range main kitni kami hai.Aur saza kitni sakt hoti hai.Is liyai koyee majal nahin kar sakta kuch bora karnai ki.
Har nizaam teeq hai wahan to sab kuch ho sakta hai.Pakistan main ajj kal mahool aisa hai kai koyee kuch bi apni marzi sai nahin kar sakta.Jo mulk kalmai ki bunyaad par bana hoo.Aur us main US kai qanoon chalai.To yai mumkin hi nahin kai kai wahan koyee chain sai rahai.
Ham apnai app ko azaad kehtain hain.Lakin ham naam kai azaad hai.Ham pai hokomat US ki hai.Isi liyai har rooz BOMB blast hotain hain.Yai ham par azaab hai ALLAH ki taraf sai.Jo ham nafarmainoon main waqt ghuzaar rahain hain.Naam sai musalmaan aur kaam kai kafiroon sai bi zyada hai ham.Ham ajj kal kisi ko dawat-e-islam bi nahin daisaktai.Q kai hamarai amaal teeq nahin.
ALLAH hamain naiki ki hidayat karain.Aur hamain bagair kisi hisaab-o-kitaab kai jannat main dakihil karain.Hamairai amaal bohat zyada kharaab hain.ALLAH hi bakhnai wala maaf karnai wala behtar hai.ALLAH hamain naik rah pai chalnai ki tofeeq ata farmayee.Aur hamarai Imaan mazboot karain..AMEEEEEEEEEEN.
TAKE CARE
ALLAH HAFIZ |
Mera Sawal
|
Group: Joined: 01st Jan, 1970 Topic: 12 Post: 236 Age:
|
|
Posted on:24th Sep 2009, 11:17pm |
|
|
women in masjid also read: Can Women Offer Prayer Of Eid In Eid Gah? |
|
For Detail Click On Page No: 1 |
|