Veer
|
Group: Members Joined: 12th Oct, 2011 Topic: 85 Post: 4723 Age:
31
|
|
Posted on:20th Dec 2007, 7:38pm |
|
|
Double Nikah: What Does Islam Says?
ager kisi ladki se nikah kiya ho aur es baat ka ladki aur ladke ke ghar walo ko pata na ho aur donu ke ghar wale on ki shaadi kar ke phir nikah kar de to kya esa jayaz hai?do nikah kiye ja sakte hain aak he ladki se?
|
seriously
|
Group: Members Joined: 12th Dec, 2007 Topic: 24 Post: 313 Age:
57
|
|
Posted on:20th Dec 2007, 9:45pm |
|
|
Meray Veer, Aap ko is may kia problem nazar aa rahee hay ? Mera khial hay kay is say nikah aur mazboot ho ga bajay totnay kay. Kia khial hay aap ka ? |
Kali Zuban
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 29 Post: 1792 Age:
29
|
|
Posted on:20th Dec 2007, 10:13pm |
|
|
re: double nikah court marriage mai chukeh larki ke sarparast shareek nahi hote iss liye court marriage se legal shaadi tu ho sakti hai lekin religious shaadi nahi. ab agar koi waldain ki mojoodgi mai baqaida religious shaadi karta hai tu yeh achcha aur naik amal hai. I agree with seriously ke iss se nikah aur mazboot ho ga.
|
josh
|
Group: Members Joined: 30th Jul, 2007 Topic: 47 Post: 2285 Age:
37
|
|
Posted on:20th Dec 2007, 10:39pm |
|
|
Court Marriage! very informative discussion. kali zuban
jee apnay court marriage ka zikar kar dia hai to idhar hi is say
related question kar leta hon,, mere zehan mai bi kafi arsay say court
marriage k havalay say kuch clear nahi hai, apnay kaha court marriage
legal shadi hai lekin religious shadi nahi hoti...
agar koi couple maa baap say chori court marriage karta hai phir kuch
arsay baad maa baap ko bi bata deta hai sab sahi ho jata hai lekin is
arsay k doran wo married life guzartay hain ikathay rehtay hain to kia
unko gunah hoga ?? or maa baap ko batanay k baad bi wo islami tareekay
say nikah nahi kartay to unka sex karna or bachay, i think ap samajh
gaee hongi , to is baray mai kuch batain k kia wo sab theek ho ga ya
gunah milta rahay ga.
manay ye bi suna hai k court marriage karnay k liye papers par show
karna parta hai k ye log muslim nahi hain? if u know about it then
plzzzzzzzz tell me. shayed in baton ka answer veer bi jan-na chahta ho. kali zuban ya koi or jisay is baray mai pata ho wo bataey. Thanks.
|
Kali Zuban
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 29 Post: 1792 Age:
29
|
|
Posted on:21st Dec 2007, 4:37am |
|
|
re: court and mazhabi marriage court marriage se mazhabi nikah nahi hota, mazhabi nikah ke beghair jinsi taluqat ki ijazat nahi hai. agar kisi ne legal procedure ke liye court marriage kia hai tu ose chahiye ke woh baqaida mazhabi nikah bhi kare, aur jab tak baqaida mazhabi nikah na ho jai os waqt tak jinsi taluqat qaim na kare. mazhabi nikah ke beghair agar kisi ne jinsi taluqat qaim kar lia hai tu, woh allah tala se apne gunaho ki maafi mange, allah tala maaf karne wala raheem o kareem hai, zaroor maaf kar de ga.
|
Veer
|
Group: Members Joined: 12th Oct, 2011 Topic: 85 Post: 4723 Age:
31
|
|
Posted on:21st Dec 2007, 6:22am |
|
|
Veer yeh baatein sab theek hai lekin main ne court mariage ki baat nehin ki main to nikah ki baat kar raha hon matlab ager ladka ladki raazi hain aur woh maa baap se chori nikah karna chahte hain...ladke ke kuch dost aur ladki ki taraf se bhi dost mel kar gawa bane aur molvi ko bula kar nikah pharaya jaye jo islamic method ho to phir yeh nikah ho ga?
number two: ager esi tarhan nikah ho jata hai to phir kuch arse k baad ladke aur ladki ke ghar wale donu ki shaadi karna chahe aur shaadi kar de aur donu es baat ka na batayein ke humhara to pehle bhi nikah ho giya hai aur on ke nikah dubara karwa diya jaye to kya gunha ho ga?ke nehin? |
Bewaqoof
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 263 Post: 4444 Age:
39
|
|
Posted on:21st Dec 2007, 8:52am |
|
|
re: double nikah larki ka nikah larki ke sarparast ke ijazat ke beghair nahi ho sakta. agar kar liya hai tu aur baat hai, albatta dobara nikah karna jaiz aur sahi amal hai.
waise ma baap se chup kar shaadi ki story zabardast hogi. umeed hai keh yeh story forum ke tamam members ko bhi sunayee jai gi. ham sab log iss story ka intezar kar rahe hai.
|
Veer
|
Group: Members Joined: 12th Oct, 2011 Topic: 85 Post: 4723 Age:
31
|
|
Posted on:21st Dec 2007, 12:02pm |
|
|
Veer story to ajeeb hai......aur yeh story abhi honi hai abhi esa kuch nehin hua abhi plain ban raha hai.. |
josh
|
Group: Members Joined: 30th Jul, 2007 Topic: 47 Post: 2285 Age:
37
|
|
Posted on:21st Dec 2007, 8:45pm |
|
|
thanks kali zuban! kali zuban jee thanks for the reply.
veer mujhe lagta hai tum koi dhamaka karnay walay ho. I hope you will share with us :p in future.
|
Veer
|
Group: Members Joined: 12th Oct, 2011 Topic: 85 Post: 4723 Age:
31
|
|
Posted on:22nd Dec 2007, 6:02pm |
|
|
Veer main share karon ga abhi final nehin hua kuch bhi karne se pehle sab se share karon ga mager abhi main isthakara karwa raha hon os mein pehle ijazat nikale gi to kuch karon ga . |
|
For Detail Click On Page No: 1 |
|