Brigadier (Retd) Imtiaz Ahmed Interview In Express Newspaper Pakistan
Express: Aap ki zindagi tanazaat ke gird ghoomtii rahi. Aap per tarah tarah ke ilzamat lagte rahe, iss ki kia wajah thi? Brigadier (Retd) Imtiaz Ahmed: Meri pesha-warana zindagi mai yeh asool raha keh jab bhi mere khilaf koii ilzam lagta hai tu mai apne zameer se poochta hoo keh yeh kiss had tak sahii hai, agar mai ghalat hoo.n tu apni islah kerta hoo. mere 15 years inteligence career mai mere oopar bahut se be-bunyad ilzamat lagaye gaye. aik wafaqi wazir Zahid Sarfaraz ki Garii mai aag lag gayee tu ilzam mere oopar lagaya gya. aik khatoon sahafi ke ghar dakaiti huyee tu ilzam mere oopar laga. Green belt mai qaim Azhar Sohail ke hotal ko CDA ne gira dia tu ilzam mere oopar laga. General Asif Nawaz tabaii mout mare, magar os ka ilzam bhi mere oopar lagane ki koshish ki gayee. Sadar Ghulam Ishaq Khan ne begum Asif Nawaz aur principal secretary F.R.Khan ki mojoodgi mai DIG Shoaib Siddle ko hidayat ki keh mere khilaf Asif Nawaz Janjooa ko zehar dene ki FIR darj ki jaaye. yeh FIR civil line police station Rawalpindi mai darj ki gayee. kaha yeh gia keh mai ne Nawaz Shareef ke aimae per zehar di thi. mai ne iss ki qabal az griftari zamant bhi nahi karayee. jab Moeen Qureshi nigran wazeer aazam bane tu beroon momalik se aik medical team bolwa ker Asif Nawaz Janjoaa ki qabar kushayee ker ke dobara post martem kia gya, jis mai sabit hua keh woh heart disiese se fout huye hain. iss ke ilawab dunia jahan ke ilzamat mere oopar mere mukhalfeen ki taraf se lagaye gaye. Lahore Railway station ke paas aik aadmi ka qatal hua jis ka taluq peoples party se tha. agle din peoples party ke rahnuma Shaikh Rafique ne ilzam lagaya keh yeh qatal mai ne karaya hai. tafteesh ke baad samne aaya keh os aadmi ko kisi aur wajah se qatal kya gaya. Meri khoosh qismati hai keh berooni inteligence agensies cia, raw, mosaad aur khad aaj tak mujhe nahi samajh sakii keh meri peshawarana kaam ki methodology kia thi? mere kaam ke tareeqa kar ko berooni agensies samajh jaati tu yeh meri nakami hoti. mai maazrat ke saath kahoo ga keh andaroon mulk media ne bhi mere saaath nainsafi ki. ghair mulki media ne bhi iss jang mai bharpoor kirdar ada kia. abhi aik book publish huyee hai jis ke writer aik yahoodi hai. os ne likha hai keh Brigadier Imtiaz ne Rai Wind ke nazdeek khofya traininng camp qaim kiye jin mai dunia keh inteha pasand musalmano ko dehshat gardi ki tarbiat dy ker launch kia gaya. mere paas saboot mojood hai keh mai aaj bhi berooni khofya agensio khasoosan Raw ke aasaab per sawar hoo aur woh har qisim ke be-bunyad ilzam lagate rehte hai. mere oopar ilazamat lagane wale Malik Momtaz khood sangeen maamlaat mai molawis rahe hai. to be continued .......
|