Re to kim84 istikhara ka matlab hota hai seeking guidience from ALLAH subhanwatala regarding something.
1)hadis mubarka main ata hai k nabi akram salallaho alihe wasalam ne jooton(chapalein) k tasmain(lase) tak bandney k leye sahaba ikram ko pheley istikhara karney ki talqeen farmayeee hai.
2)badmaash ne jo concept istikhara ki bataye hai woh ghalat hai, istkhara kisi murad ko mangney ya pora karney k leye dua nahi bal k kisi kaam ko shoro karney se pehley ALLAHazawajal se guidence layna hai k yeh kaam ap k leye behter rahey ga ya nahi.istikhara k lugvi mainey hain ALLAHazawajal se khair talab karna.
3)2 rakat nafil namaz ki niyat kar k is tarhan se namaz parhien k pehli rakat main surah fathiah k bad Qul ya iyo hal kafiroon or dosri rakat main surah fatiha(alhamd shareef) k bad Qul ho walallaho ahad parhien or salam phair kar namaz mukammal karein phir istikhara ka specific dua hai woh parhna chaien to woh per saktey hain ya agar nahi ya ap k pass aisee koi kitab nahi jis main to urdu main yeh ALLAHazawajal k se iltija karein k " ya ALLAHazawajal main jo kaam karna chata hoon kia yeh mere haq main behter hain,ya ALLAHazawajal meri rehnumai farma." keh kr so jaye. agar khowab main white ya green colour nazar aye to it mean woh kaam ap k haq main behter hai,u should go ahead with it. if red ya black colour nazar aye then u shouldnt do that thing.
bdmasssh bhai se request hai k plz bura nahi manye ga.
kisi qism k help chaye to zaroor reply kejye ga.
agar likhney main koi ghalti hui hai to ALLAH subhanwatala se muafi chata hoon.
wasalamu alikum warehmatullah |