Sooth
|
Group: Members Joined: 18th Jul, 2007 Topic: 303 Post: 1937 Age:
|
|
Posted on:5th Oct 2008, 9:46am |
|
|
Is Bank Profit Sood? Kya banks se milnay wala profit sood hai aur ager ye sood hai tu hum kisi aisay insaan ke ghar se as a guest kuch khayain jis ka kharchaa bank me deposit money per milnay walay profit se chalta ho tu kya wo khana hum per haram ho ga? |
goodman
|
Group: Members Joined: 11th Oct, 2007 Topic: 62 Post: 7602 Age:
33
|
|
Posted on:5th Oct 2008, 12:34pm |
|
|
ok jee of course u r right.. when money is haram .....his profit his Haram....and his food is also Haram.... |
Kali Zuban
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 29 Post: 1792 Age:
29
|
|
Posted on:5th Oct 2008, 3:32pm |
|
|
re: bank profit bank ka karobar sood ka hota hai. aap kis kis ghar ka khana nahi khaye ga kio keh aaj kal taqreeban tamam logo ka rupya bank mai hota hai.
|
nikama
|
Group: Members Joined: 15th Oct, 2007 Topic: 47 Post: 1808 Age:
35
|
|
Posted on:5th Oct 2008, 10:28pm |
|
|
nops.. koi haraam shraam nahee hota ,bank ka profit... waisay hee rong information spread kee howi hain sari muslim umma main..this is business...meray koi paiasy bank main nahee hain, aur na hee mujay un ka koi interest /sood ata hai, but even if it comes ,I will take ,its not haraam... whenever I listen all these non sense , I just write to explain, kay bank money is not haraam...iss maslay kay baray main mazeed janana hoo tu , old islmic literature read kuro.( from net etc pur ) u will get the clue..
aur soooth ,uss kay ghura khana khanay say kuch furq nahee purta...khan tu kafur/ non muslim etc kisee kay ghur say bhee khaya ja sakta hai, thats is his or her relation with GOD ,not with us...as long as , the food is halaal and coooked halaal and clean , thats absulutely fine..
I am also living abroad, I always eat in my non muslims frinds..that doest not break our religion please..cheeeeerss.. |
saahilbhai
|
Group: Members Joined: 31st Oct, 2007 Topic: 17 Post: 971 Age:
29
|
|
Posted on:6th Oct 2008, 4:26am |
|
|
nikjama ji yaar app bagair soche samjhe yeh kaise keh sakte ho k bank ka paisa halaal hai aik daleel de kar batao. bank ka business sirf aur sirf interest per chalta hai aur interest sood haram hai . is tarha to app sharab aur pig ko bhi halaal samjhte hoge jab kisi baat ka pata nahi ho to plz us ke bare mein wrong information mat do warna agar aik bhi aap ki information se sood khane lag gaya to is ka sara gunah ap per hoga so plz carefull aur right information dekar arguments k sath batao k bank ka paisa halaal hai plzz batana zaroor warna kal ko qayamat k din jawab dena parega kyo k yeh galat information app ne hi dii hai |
nikama
|
Group: Members Joined: 15th Oct, 2007 Topic: 47 Post: 1808 Age:
35
|
|
Posted on:6th Oct 2008, 2:57pm |
|
|
saahilbhai... thanks aap kee information ka..shukria.. pur main issay haaaraam nahee samjta...aap loogoon ko samjna hai tu pls do that.I dont mind..I dont argu.... aur sorry augr meri information say kisee aur ko aitraaz hai tu pls ,just ignore it and do whever you wana do..cheeeeerss...thankss
|
josh
|
Group: Members Joined: 30th Jul, 2007 Topic: 47 Post: 2285 Age:
37
|
|
Posted on:6th Oct 2008, 5:25pm |
|
|
Interest on Bank Accounts. Interest on bank accounts is haraam.
jo bi log paisay bank mai deposit karatay hain, ham sirf is liye jama karatay hain ta k paisay safe rahain, ham bank say koi business karnay ki niyat say paisay jama nahi karatay, aur na hi bank k sath aisa koi partnership agreement kartay hain... suppose kisi nay bank mai paisay jama karaye, 3 months k baad bank deevalia (bankrupt) ho gaya, ab bank apnay tamam account holders ko ye nahi keh sakta k bank deevalia ho gaya, ham bi doob gaey to apka paisa bi gaya... balkay bank walon ko sab ka paisay wapis karnay paraingay... kyonkay logo nay business mai investment nahi ki thi, balkay paisay mehfooz jaga par rakhay they....
jo bi log banks mai paisay rakhtay hain, unko chahiye k paiso ka pura hisab rakhain, original amount say jitnay ziada paisay account mai hon, wo sab kisi naik kaam mai donate kar dain....
bank job karnay walon k ghar say khana khanay mai koi harj nahi. iskay ilava bank ki tamam jobs ghalat nahi hain, sirf wo job theek nahi hai jis mai interest say related koi bi kaam, like contracts likhna, tayyar karna, ideas dena, ya us contract ka witness ban-na paray to ye jobs theek nahi hain, aisi job agar koi karta hai to jald az jald koi dosri job dhonday aur phir is job ko chhor day, yehi uskay liye behtar hai... |
goodman
|
Group: Members Joined: 11th Oct, 2007 Topic: 62 Post: 7602 Age:
33
|
|
Posted on:6th Oct 2008, 5:32pm |
|
|
ok agree with josh bahi..........very nice reply....
jo bi log banks mai paisay rakhtay hain, unko chahiye k paiso ka pura hisab rakhain, original amount say jitnay ziada paisay account mai hon, wo sab kisi naik kaam mai donate kar dain....
Josh bahi bank may aik account jis ka NAME CURRENT ACCOUNT ha agar ap us may deposit kerwaoo gay too passay utnay he rehtay ha....aur dosri baat yeah kay bank kay sood ka profit lay ker Naik kam may donate nahi kiya ja sakta ha.........Naik kam may donate kernay kay liyay PURE EARNING honi chahay.... |
josh
|
Group: Members Joined: 30th Jul, 2007 Topic: 47 Post: 2285 Age:
37
|
|
Posted on:6th Oct 2008, 5:58pm |
|
|
goodman. "Re: bank kay sood ka profit lay ker Naik kam may donate nahi kiya ja sakta ha.........Naik kam may donate kernay kay liyay PURE EARNING honi chahay...." |
goodman
|
Group: Members Joined: 11th Oct, 2007 Topic: 62 Post: 7602 Age:
33
|
|
Posted on:6th Oct 2008, 6:06pm |
|
|
SAB KHAZANAY ALLAH KAY HA BAHI josh ma app kee batt koo samj raha hoo...........leekan mara mind is fatway koo nahi manta...........jab bank may current account ha........too current may money save keroo.........bas batt khatam..............
aur dosri batt yeah kay fatwa danay walay nay kuch samj ker he fatwa diya hoo ga ............per mujay iss bat kee samj nahi a rahi ha kay jab aik cheez ka profit he hamay miltay jana ha aur us may loss name kee kooi cheez nahi ha.......too us profit aur is dolat naik kam may laganay kee bee kooi zarrorat nahi ha...........aur na hee ALLAH koo assay EARNING AUR DOLAT Kee zarrorat ha..............SAB KHAZANAY ALLAH kay ha...josh bahi do not mind........be happy....... |
nikama
|
Group: Members Joined: 15th Oct, 2007 Topic: 47 Post: 1808 Age:
35
|
|
Posted on:6th Oct 2008, 10:16pm |
|
|
acha.. theek hai......lagay rahooo |
josh
|
Group: Members Joined: 30th Jul, 2007 Topic: 47 Post: 2285 Age:
37
|
|
Posted on:25th Oct 2008, 4:23pm |
|
|
usage of bank interest. goodman dear, apki bat bi logical hai, k jab current account ki facility hai to phir saving ac ki kia zaroorat hai..... jis bat par dil na manay wo kaam karna bi nahi chahiye, ap wohi karo jo apka dil aur dimagh kehta hai...
apnay kaha"na hee ALLAH koo assay EARNING AUR DOLAT Kee zarrorat ha"
Allah ko dolat ki zaroorat nahi hai, par Allah ki makhlook ko bohat zaroorat hai aur Allah tala apni makhlook ki madad insano k zariye hi karatay hain... ajkal k dor mai paisay ki bohat ziada importance hai, dolat ki khatir log fraud, chori, dakaiti aur even katal bi kar detay hain...
muje wo molvi sahab ki baat theek lagi hai, isi liye mainay uskay mutabik hi bat ki, k agar kisi k bank acount mai aditional amount hai, maslan 100,000 jama karaya par kuchh months k bad check kia to usmai 105,000 hai, to ye 5000 interest ka hai, isay kisi achay kaam mai donate kar daina chahiye, ta k wo paisa kisi k kaam aa jaey..
agar koi ye sab hisaab kitab nahi rakh sakta, k kitnay paisay pehlay they aur kitnay baad mai aye, to behtar hai k jaisay goodman nay current account ka btaya , to uskay liye current account open karna hi behtar hai, ta k is bat ki tasalli ho k atleast is mai sood shamil nahi hoga... |
|
For Detail Click On Page No: 1 |
|