Baluchistan ke Punjabi Aabadkar
Baluchistan mai rehne wale Punjabi aabadkar cheekh cheekh kar federal aur punjab government ko help ke liye bula rahe hai. on ke wafood dhara dhar Lahore aur Islamabad jaa rahe hai. Nawaz Shareef, choudhry shujaat, yousuf raza gilani, rahman malik aur deegar siasatdano ke ilawah danishwaron aur sahafio se mil rahe hai aur onhai bata rahe hai keh Baluchistn Libration Army ke log Chaghi aur Turbat se Hub tak jagah jagah punjabi bolne wale aabadkar ka qatal aam ker rahe hai, lehaza on ki madad ki jaaye. Punjab ke siasatdan on ki dukh bhari dastanai sun ker izhar hamdardi kerte hai, lekin saath hi yeh poochte hai keh bhaio tum ne kabhi socha ke baloch no jawan kio tumhare peeche pare hai? tu baluchistan ke aksar aabadkar sada sa jawab dete hai keh BLA wale Indian agen hai, Pakistan torna chahte hai aur isi liye ham ko maarte hai, kio keh ham wafaq ke hami hai. Baluchistan ke aksar aabadkar jaante hi nahi keh on ka qasoor kia hai? on ka sab se bara qasoor yeh hai keh onho ne aaj tak Balucho ke masayel ko samajhne ki koshish hi nahi ki. Baluchistan mai mojood punjabi aabadkaro ko chahiye keh woh agar baluchistan mai rahte hai, waha ka khaate hai tu woh bhi balucho ke masayel ko samjhe, on par hone wale zulm o sitam ki muzammat kare, baluchistan mai fouji operation ki bandish ka mutalba kare, nawab akbar bugti samet kai baloch rahnumaon ke qatal aur gumshadgi ki muzammat kare, lekin afsos ke baluchistan ke punjabi aabadkaro ki samajh mai yeh baatai nahi aati. Baluchistan ke aabadkaro ko yeh samajhne ki zaroorat hai keh maazi ki fouji hakoomato ke adwar mai baluchistan ke sath bahut zulm hua, afsos iss baat ka hai keh yeh zulm Zulfiqar Ali Bhutto ke siasi dor mai bhi jaari raha, Benazir aur Nawaz shareef ne balochon ke saath chalne ki koshish ki lekin iss mulk ke khofia adaro ne siasi hakoomato ko balocho ke saath chalne nahi dia balke onhai balochon ke saath zulm per oksaya. Balocho ko har dor mai iss liye bhi maar pari keh on ki siasi qayadat muttahad hone ki bajaye aapas mai larti rahi, Ata-ullah mangle, Khairbakhsh mari, Akbar bugi aur Ghos bakhs baznjo ne hamesha punjab ke istehsal ke khilaf awaz uthayee lekin yeh sab hamesha aapas mai bhi larte rahe, baloch leadron ki bah'mi laraion ka faida on ke dushman uthate rahe aur poora sooba pasmandgai ke andhero mai dooba raha. General Pervez Musharraf ke dor mai Nawab Akbar Bugti ke qatal ne baloch nojawano mai aik naayee baghawat ko janam dia. iss baghawat ne kisi munazzam siasi tahreek ka rang ikhtiar kerne ki bajaye ghair munazzam aksariat ka rang ikhtiar ker lia aur iss ghair munazzam aksariat ke nateeja mai aabadkaro ka qatal aam shurru ho gaya. sitam zadah baloch nojawano ne zulm ke jawab mai zulm shuru ker dia , lekin iss ke bawajood pehli dafa punjab ki siasi aur ilmi asharafia yeh mahsoos kerti hai keh balocho per zulm band hona chahiye, onhai insaf dilana punjab ki zimmadari hai, kio keh maazi ke hukmarano ne hamesha punjab ki siasi aur fouji qiadat ke bal bote per baoocho ko maara. Punjab ke siasatdan aik long march ke zaria mazool judges ko bahal kerwasakte hai tu aik aur long march ke zaria balocho ko bhi insaf delwawa sakte hai. waqt aa gaya hai keh punjab ki siasi qayadat apne qomi farz ko pahchante huye lahore se dera bugti ki taraf long march ka elan kare, iss long march mai Pakistan ki tamam siasi jamato ko shirkat ki dawat di jaaye, yeh long march sirf balocho ko insaf nahi delwaye ga balkeh baluchistan ke punjabi aabaddaro ko tahaffaz bhi delwaye ga. Muslim (N) ke qayed Nawaz shareef ne iss long march ke liye apne saathio se salah mashwarah shuru ker dia hai, Pakistan ko bachana hai tu balocho ko on ke haqooq dene ho ge, iss ke sewa koi doosra raasta nahi. reference: Article by Hamid Meer (Weekly Akhbar-e-Jahan)
|