Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

Balochistan Jal Raha Hai. What Do You Say??

Politics
 
 
 
Bhimji Group: Members  Joined: 07th May, 2008  Topic: 13  Post: 1837  Age:  30  
Posted on:13th Apr 2009, 3:18am
 

Balochistan Jal Raha Hai. What Do You Say??

Inn dinoon mulki haalat ke hawalay se kahin se b kher ki khabar nahin aati chaahe woh Swat ho, Wazeerastaan ho, Drone hamlay hoon, khud kush hamlay ya Politics lkn iss saaray moaamlay main aik aur maslay ne taizi se sar uthana shuru kar dia hai aur woh hai Balochistaan ka masla. Khaas tor par Balochistan main 3 Baloch Qom parast leaders ke aghwaah aur murder ke baud haalat bht kasheeda ho ge hain. Wahan Petrol Pumps, Buildings aur Railway lines waghera tabaah ki ja rahi hain aur Mulki Imlaak ko nuqsan pohanchaya ja raha hai.

Kuch logoon ka kehna hai ke shuru se hi Baloch awaam ke sath zeyadati ki ja rahi hai. Gas Balochistan se nikalti hai lkn Baloch iss se mehroom hain. Gawadar Port bana diya gya lkn uska benefit b baaqi le jayen ge aur Baloch dekhte reh jayen ge. Iske ilawa Balochistan main development ka jo haal hai woh b sab ke saamne hai. Gas royality ke hawalay se b shikayaat hain logoon ko.

Kuch logoon ki opinion yeh hai ke Balochun k elected leaders khud apni Qom se sincere nahin halaan ke unke leaders PM ki seat tk b pohanchay lkn unhun ne apni Qom ki falaah-0-behbood aur unity k liay kabhi kuch nahin kia. Iss saaray matter main yeh b hai ke Balochistaan main alehadgi pasand tehreekain shuru se hi mojood rahi hain lkn jab tk looli langri jamhooriyat mojood rahi aur inke polititians elect ho kar aatay rahe jiski wajah se inn tahreekun ko pazeerai nahi mil saki lkn jab Musharraf naami hasti ne Siyaasi basaat lapait di aur Balochun ke sarkarda leaders jese Balaach Murree aur Nawab Akbar bhugti ko maara gya tou International players like India and others b iss khhel main shaamil ho kar bht zeyada active ho gye aur as a result poora Balochistaan ab sulag raha hai. No doubt, hum loag apne mulak se bht muhabbat krte hain aur jazbaati lagao b hai apne mulak se lkn yeh haqeeqat b apni jagah mojood hai ke agar Balochistaan ke haalat par tawajjoh na di gai, Baloch Qom-Parastoon ko Qomi Dhaaray main na laya gya aur Balochistan main Universtities, Colleges and Other Developments na ki gaieen tou Khuda na Khawasta koi Qomi saaneha b roonma ho skta hai kyun ke aik writer ke baqol tareekh humain Balochistan ke baaray main aakhri warning de rahi hai. Reasons jo b hoon unhain khatam krna hamari qomi qyadat ki zimmedaari hai. Khuda hamaray Mulak ka haami-0-nasir ho. Ameen..

 

Yeh Bastiyaan hain ke maqtal Dua kiay jaayen,

Dua k din hain musalsal Dua kiay jaayen,

Koi fughaan, koi naala, Koi bkaa, koi bain,

Khhulay ga baab-e-maqfal Dua kiay jaayen,

Hawaey Sarkash-0-safaak k muqaabil bhi,

Yeh dil bujhain ge na mash-al Dua kiay jaayen,

Qabool hona muqaddar hai harf-e-khalis ka,

Har ik aan har ik pal Dua kiay jaayen...

Bhimji Group: Members  Joined: 07th May, 2008  Topic: 13  Post: 1837  Age:  30  
Posted on:13th Apr 2009, 3:28am
 

Moderators

Mera yeh wala topic jaldi ki wajah se ghalat category main aa gya hai. Kindly issay relevant category main transfer kar dain..Thanks

Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:13th Apr 2009, 4:35am
 

thek hae

ok abhi karte hain kuch is ka:)
eagle fly Group: Members  Joined: 18th Aug, 2010  Topic: 74  Post: 2115  Age:   
Posted on:9th Aug 2011, 12:41am
 

Balochistan k masale ka hal kya hy?

  • kya Balochistan main Army aur agencies operation kar rahi hyn?
  • agar Army aur agencies wahan operation kar rahi hyn tou kya woh durust kar rahi hyn? kya Balochistan ka masa'ala operation se hal hoga?
  • kya Balochistan ka masa'ale ka hal yeh hy k Nawab Akbar Bugti jaise buzurg siasatdan ki tarah deegar Baloch naraz logoun ko bombari kar k mar dia jae?
  • kya Balochistan ka masa'ala muzakirat k zariay hal kia ja sakta hy?
  • agar hal kia ja sakta hy tou Aakhir kya waja hy k naraz logoun se muzakirat nahi kiay jate?
  • kya mojooda hukoomat aur Pakistani Army ki Balochistan k hawale se policy durust hy?
  • kya Balochistan k saath hamesha se hee ziadti ki jati rahi hy?
  • Aap k nazdeek Balochistan k masa'ale ka hal kya hy?
eagle fly Group: Members  Joined: 18th Aug, 2010  Topic: 74  Post: 2115  Age:   
Posted on:11th Aug 2011, 9:42pm
 

Balochistan k masale ka hal kya hy?

Balochistan main agencies karwaen kar rahi hyn aur agencies aur Baloch aledgi pasandoun main zabardat qism ki tassal chal rahi hy. mera khayal hy k agencies jo kuch  kar rahi hyn woh bilkul ghalat kar rahi hyn agar Pakistan Army aur agencies ne apna rawaya nahi badla tou khakam badan Pakistan toot jaega. afsos k saath kehna parta hy k hamare siasatdanoun aur Army ne 1971 main East Pakistan main ki gae himakatoun se kuch nahi seekha.

agar Musharaf sahib Nawab Akbar Bugti jaise buzurg siasatdan ko bombari kar k nahi marte tou muamlat itne haath se bahar na hote. magar afsos se kehna parhta hy k hamari Army ko taqat ka aik nasha hy aur ye nashe main dhut ho kar apne hee logoun ko marte hyn. pehle inhoun ne Bangladesh main ghaltian kar k East Pakistan gawan dia aur ab lagta hy k Balochistan main bhi sudharne ka irada nahi.

Balochistan k masa'ale ka hal muzakirat se nikala ja sakta hy. magar hamari establishment aur government ko is ki koi fikar nahi. Government apne iqtidar ko tool dene main masroof hy aur Balochistan jal raha hy. baqool Ex-PM Zafarullah Jamali Balochistan alag hone se sirf do qadam k fasle par hee hy. agar tamam naraz logoun ko ghair mashroot muafi de dee jae aur shariat na lagaen jaen aur Balochistan k saath ziadtian karna band kee jaen tou mera khayal hy k masa'ala muzakirat se hal ho jaega.

Federal Government aur Military establishment ko sanjeedgi ka muzahira karnay chahiay. tamam naraaz logoun sy muzakirat ki raah nikalni chahiay. muzakirat k liay shartain nahee lagani chahiay. ghair mashroot a'am ma'afi ka a'ailaan karna chahiay. un k jaiz mutalibat tasleem karnay chahiay. Agencioun ki khud saree khatam kar dynee chaiay. Pakistan k media ny bhi Balochistan ko buri tarah nazar.andaz kia hoa hy jaisay sab ny Balochistan ko nazar andaz kia hoa hy.

tahamul bardasht, burdbaree aur hikmat ka muzahira karnay ki zarurat hy. qabaelioun ki nafsiat aur rivayaat har shay par muqadam hotee hyn. in k diloun main ghar karnay ki rahain talwar aur bandooq sy nahee muhabaat dosti, apnaiat aur ehtaram sy tarashi jaati hyn.

eagle fly Group: Members  Joined: 18th Aug, 2010  Topic: 74  Post: 2115  Age:   
Posted on:11th Aug 2011, 11:17pm
 

re:Hum Bohat Kuch Khushi Se Bardasht Kar Rahe Hyn?

"Mein kehta hoon East Pakistan tooh Banaah, Baluchistaan Nahin baneygaa.. Wooh Pakistan hi raheinga.. Pakistan. Ek aur harkat aisi bardaasht nahin karenga Pakistan.. "
 
Pakistan kae cheezian bardasht kar raha hy. Drone attacks (bal keh drone attacks ki tou hamri Army aur Civil qiyadat ne khud ijazat dee hoi hy), hamari sarhadoun ki pamali (is ki misal Abbotabad operation hy), GHQ par attack aur PNS Mehran par attack is ki motti motti examples hyn. Pakistan jab tak apni strategy change nahi karega youn hee shoq se yeh cheezian bardasht karni paraingi humare jazbati na'aroun se kuch nahi hone wala.
 
hamain 1971 main bhi yehi bataya jata tha k Bangladesh main hum ghaddaroun k khilaf operation kar rahe hyn magar in the end pata chala k hamare kartoot hee kharab thay.
Mufti Group: Members  Joined: 10th Oct, 2011  Topic: 5  Post: 708  Age:  39  
Posted on:13th Dec 2011, 5:07am
 

alirajput

Dekhein bhai jahan bhi koi masla start hota hai wahan koi na koi zulm ya ziadati hoti hai khua woh balochistan ho,bangladesh ho ya kashmir ho...

Iss duniya ka masla yeh hai k yeh duniya jitni bhi advance ho jaye electronic media hamesha se hi kisi na kisi k qabza mein hota hai aur neutral hota hai...

Humein kaha jata hai k bangladesh mein india ne fasad kiya...

Lakin humein yeh nahi bataya jata k hamari apni army aur uss waqt ki pro-army jammat islami ne kitna zulm kiya...

Kitnay qatal kiye,kitnay rape huay kitnay zulm huay...

Yeh to aap unn se pochein jin k ghar berbaad huay thay uss waqt...

Pakistan ki history hi dekh lein aap...

quaid e azam ne yeh mulk bunaya uss k sath kiya kia ??

Ussay utha ker phenk diya ziarat mein aur jab unn ko laya gaya to aik kharab se ambulance mein le jaya gaya jo rasta mein hi kharab ho gaye aur koi bhi unn ko lenay na aaya aakhir mein unn ko sakht beemari ki halat mein truck mein daal ker hospital phnchaya gaya...

Aap soch saktay hain k aik president aur mohsin jis ne ahsaan kiya uss k sath yeh halat hui ho ??

Nahi soch saktay magar aisa hua hai...

Mein ne jab samajhna shuru kiya to mein yehi perhta aaya k GM SYEd jo alag sindhu-desh ka nara lagata tha...yeh perha k woh ghaddar hai etc...

Lakin aap uss ki history perhein to woh pakistan bunanay mein quiad e azam ka right hand tha magar jab uss ne quaid k sath zulm dekhay,uss k sath khud zulm huay aur iqtedar per unn loagon ne qabza ker liya jo kal congress k supporter thay to tab uss ne tang aa ker alag mulk ka naara lagaya...

Islam ki ya pakistan ki...history bohat talkh hai balkeh kuch ziada hi talkh hai..dono mein aik hi situation bani k jo haq-daar thay unn ko haq na mila aur jin ka koi role na tha woh iqtedar per qabza ker k muaziz bun bethay...

Issi liye meray bhai jab bhi koi history ka waqiya suno to uss k dono pehluon ko dekho k kahin tarikh ne uss ka haq aur khidmat maskh to nahi ker dein k jis se woh humein dushman nazar anay lag gaya...

1
 
 
 
 
 
Urdu Magazine Islam In Urdu Urdu Greeting Cards Urdu Jokes Urdu Funny Stories Urdu Stories Urdu Recipes Urdu Poetry
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012