baigan ki chaTni 1.darmayanay siz k gol walay 4 baigan laiN... issay achi tarah check karaiN k yeh tazay aur aur iski skin chamak.daar ho... koi soraakh yaa daagh dhabbay nah ho
2. har baigan main 10 bareek hole karkay 05 holes maiN chilay howay lussan aur 05 holes maiN red chilli Thoos daiN.
3. baigans yaa to tazah bujhay howay tandoor ki raakh (ash) maiN ghanTa bhar k liyeh choR daiN yaa choolhay ki low aag par rakh daiN... baiga ko thoRi thoRi dair k baad ulaT palaT kartay jayaiN hatta k poora baigahn pilpila hojaye ... gal jayee... koi15-20 mint lagengay
4. ab baigan ko choolhay say otaar kar iskay chilkay ko cheel kar alag kar laiN... iss maiN ThoRi imli, namak, kaali mirch, aur garam masalah /chaaT masalah (thoRa say just for smel) Daal laiN
5. in sab ko sil baTTay par pees laiN ...bareek nahi balkay thoRa moTa... ya juicer grinder maiN mix kar laiN thoRa sa paani Daal saktay haiN... jab thick-paste ban jaye to thoRa say sarsouN ka kaRwa tail aag par paka kar oss maiN zeerah bhoon kar paste ko taRka laga daiN
behtareen chaTni tayyar hai... daal chawal k saath nosh karaiN... aur haaN khatay waqt my rizvi ko yaad rakhna nah bhoolaiN... lol |