Jamat Al Dawa: If It Was Non Banned Then
Salaam to All Friends! Dosto kehty hain ke Insaan ko koi b kaam karny se pehly 100 baar ye sochna chahiye ke jo kaam wo karny ja raha hai aagy chal kar is mein koi noqsaan to nahi ho ga. Dosto kuchh aisi hi sort –e-haal .... edit comments against government ... Dosto aaj main yahan aik Aisi Falaahi Tanzeem ka zikar karny ja raha hon jis ka aaj se kuch mahenay pehly takk is moolak mein Falaahi Eedaaron ka aik bohat bara network tha jis mein Falaahi school, Hospital, College, Universities aur aisy hi dosry Eedaary thy jahan se moolak ke Laakhon Log moostafeed ho rahay thy. Phir jab 8 October ka Qayamat khez Zalzala aaya tha to b isi Falaahi tanzeem nay Zalzaly se Motaasaera logon ki bahali ka kaam is khoobsoorti aur Ehsan tareeqy se kiya ke UNO jaisy Americi Pithho Eedaary nay is Faalaahi Tanzeem ke Imdaadi kaamon ko sarahaty howy na sirf oun ki tareef ki balke Is Tanzeem ko Tareefi Asnaad se b nawaza. Phir 26 Nov. 2008 ka din aaya India mein dehshat gardi ka aik waqeya ho gaya aur India nay bina kuchh sochy samjhy Lashkar-e-Taiba per is ka Ilzaam laga diya aur is Ilzaam ki zadd mein ye maqbool-e-aam Falaahi Tanzeem aa gai. .... edit comments against government . Dosto main kisi aur nahi Balke Jamat-Al-Dawah ki baat kar raha hon. Aur ye baat aaj main nay is liy ki hai ke aaj hamary Moolak mein Motaasreen-ae-Malakandd ki jo halat hai aur jis Aazaab mein wo log Zindgi guzar rahy hain agar aaj b ye tanzeem Aazaad hoti to Yaqeenan in Logon ki Bahali ke kaamon mein sabb se Noumaya hoti. Dosto Khuda ghawa hai mujy in Motaasreen mein jin Logon ko dekhh kar ziyada Dukhh hota hai wo hain choty Bachy aur Noujawan Larkion ko dekhh kar hota hai aur ous ki wajha sirf ye hai ke meri b aik behan hai aur main jab ous ko is Tanaazur mein dekhhta hon ke wo in Campon mein dhaky khha rahi hai to meri Rouh Kamp jaati hai. Isi tarha dosto ye campon mein dhaky khhany wali b to kisi ke behnay kaya aap nay kabi socha hai ke oun ke bhaaion per kaya guzar rahi ho gi jin ki Behnaain jo ko oun ki Izzat b hain in campon mein dhaky khha rahi hain. Khuda Hamari Halat per reham kary (Ameen). Moderator Note: No comments against Government of Pakistan allowed here. If this thread will go against government then it will be deleted without any prior notice.
|