Noor Clinic Books For Pakistani and Indian
Shy Men Women Boys and Girls
Sex Education In Urdu and Roman Hindi
By Dr. Rizwan

   
Home | Sex Education in Urdu for Women | Painful Intercourse - Takleef deh Mubashrat 2  
List in Urdu >> Page 1
List in English >> Page 1 | Page 2 | Page 3 | Page 4
Read Health Articles

Total views since 15 October 2009:
53617
 
Painful Intercourse

    Khawand mubashrat kay waqt zakar ko chikna karey to phir mubashrat mein dard na hoga. Ba'az auqaat condom kay ooper laga hua chemical ya koi cheez maslan sabun waghaera allergy ka sabab ban jata hai jis sey mubashrat mein takleef hoti hai aisi surat mein inn ka istaemaal bund kar kay dekhein ba'az auqaat kisi wajah sey bacha daani, bacha daani kay mu'nh ya qazif naaliyon mein infection ya tumor hota hai jo kay dard ka sabab banta hai. Iss kay elawa bachay ki paeda'esh kay ba'ad bachey daani mein zakham ki wajah sey bhi mubashrat takleef deh ho sakti hai umar kay barhney ki wajah sey faraj mein ratoobat ki kami aur faraj ki deewaarein patli ho jati hain to mubashrat mein dard hota hai.

    Ta'hum jab bhi mubashrat mein dard ho to kisi achi doctor sey raabta karein muaaeney kay waqt usey bataein kay mubashrat kay kis marhaley mein aur kis jagah dard hota hai takleef deh mubashrat mein amooman teen maqamaat per dard hota hai.

  1. Faraj (vagina) kay dahaney mein yani dakhool kay waqt
  2. Gehrey dakhool mein stroke lagatey huey
  3. Bazer (clitoris) mein

    Agar dard faraj kay dahaney mein hota hai to iss ki ka'ee wajoohaat ho sakti hain maslan infection, zakham aur allergy waghaera agar faraj ka dahana humesha bohut hassas hota hai aur iss mein budbuu daar mawad zyada miqdaar mein nikalta hai to yeh koi khatarnaak beemaari ho sakti hai iss surat mein fori tor per doctor sey raabta kya jaey.

 

 
 
<< Next       Prev >>
171172173174175176177178179180181
 
Tell a Friend
 
   Home
   Dr. Rizwan
   Terms & Cond
   FAQ - Women
   FAQ - Men
   FAQ - Married
   Book for All
   Book for Women
   Book for Men
*******************  
   Forum new
   Your Comments
   General Articles
   Daily Questions
*******************  
   Islam and Sex
   Health & Sex Articles
   AIDS and STDs
   Infertility
   Breast
   Vagina & Hymen
   Menses
   Pregnancy
   Depression
   Cancer
   Cosmetic Surgery
 
noorclinic
pakrishta
magurdu
makemoney
 
tell a friend
 
Share

    

 

 
 
 
   
All the above pages are taken from Book of Prof Arshad Javed. Editor and webmaster of www.noorclinic.com is Dr. Syed Rizwanul Haque. The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012