Noor Clinic Books For Pakistani and Indian
Shy Men Women Boys and Girls
Sex Education In Urdu and Roman Hindi
By Dr. Rizwan

   
Home | Sex Education in Urdu for Women | Painful Intercourse - Takleef deh Mubashrat 3  
List in Urdu >> Page 1
List in English >> Page 1 | Page 2 | Page 3 | Page 4
Read Health Articles

Total views since 15 October 2009:
42568
 
Painful Intercourse

    Ba'az auqaat shadeed jinsi jazbaat ki wajah sey faraj kay dahaney mein zyada khoon chala jata hai jis sey faraj  ka mu'nh sooj kar tung ho jata hai aur mubashrat takleef deh ho jati hai aisi surat mein jinsi jazbaat ki shiddat zyada honay sey pehlay dakhool ho jaey iss kay elawa agar bazer ko mushta'il kya jaey to faraj ka dahana tung ho jata hai aur agar faraj ko mushta'il kya jaey to faraj relax ho jati hai. To iss surat mein foreplay mein bazer ki bajaey faraj ko mushta'il kya jaey to faraj relax hogi aur mubashrat takleef deh na hogi.

    Doosri surat mein gehrey dakhool  mein jhatkey lagtey waqt aurat ko takleef hoti hai iss ki ek aam wajah yeh hoti hai kay ba'az positions mein zakar bacha daani ya bacha daani kay mu'nh ko zarab lagata hai jis sey aurat ko takleef hoti hai agar jinsi jazbaat poori tarah na ubhrey hun to ba'az khawateen ko gehrey dakhool mein ba'az auqaat takleef hoti hai aur kabhi baeza daani faraj ki pichli deewar aur bacha daani kay darmiyan aa jati hai jis ki wajah sey zakar kay stroke sey uss per daba'u parta hai jis sey mubashrat takleef deh ho jati hai. Ba'az aurton ki faraj baeza raezi kay waqt zyada hassas ho jati hai aur phir gehrey dakhool mein aurat takleef mehsoos karti hai iss kay elaj kay liye mubashrat ki woh position tark kardein jo takleef ka baa'iss ho iss kay elawa doctor sey bhi raabta kya jaey.

    Ba'az khawateen ko bazer ko mushta'il karney sey sukht takleef hoti hai agar yeh dard haal hi mein shuru hua ho to bazer aur uss kay dhakney ko achi tarah khud check kar lein iss kay liye aa'eney ko istaemaal karein agar yeh surkh aur sooja hua hai to shayad

 

 
Painful Intercourse - Takleef deh Mubashrat
 
<< Next       Prev >>
172173174175176177178179180181182
 
Tell a Friend
 
   Home
   Dr. Rizwan
   Terms & Cond
   FAQ - Women
   FAQ - Men
   FAQ - Married
   Book for All
   Book for Women
   Book for Men
*******************  
   Forum new
   Your Comments
   General Articles
   Daily Questions
*******************  
   Islam and Sex
   Health & Sex Articles
   AIDS and STDs
   Infertility
   Breast
   Vagina & Hymen
   Menses
   Pregnancy
   Depression
   Cancer
   Cosmetic Surgery
 
noorclinic
pakrishta
magurdu
makemoney
 
tell a friend
 
Share

    

 

 
 
 
   
All the above pages are taken from Book of Prof Arshad Javed. Editor and webmaster of www.noorclinic.com is Dr. Syed Rizwanul Haque. The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012