Banjhpan
Infertility In Men
Agar shaadi kay ba'ad regular sex ki jaey yani rozana mubashrat ki jaey ya ek din chor kar ki jaey ya humarey bataey gaey tariqey kay mutabiq ovulation (baeza raezi) kay waqt mubashrat ki jaey aur phir bhi ek saal tak hamal na ho to ho sakta kay mian biwi mein sey koi ek banjh ho America mein 12% log banjh hain ek resaerach sey ma'aloon hua kay inn mein sey 33% nuqs aurton mein hota hai aur 33% mardon mein aur baqi donon mein ek aur research kay mutabiq 40% mard banjh pan ka shikar hotey hain.
Albatta agar poori koshish kay bawajood aurat haamla na ho to sab sey pehley mard apney aap ko check karaey mard mein amooman banjhpan ki 2 wajoohaat hoti hain.
- Sperms hotey hi nahin.
- Sehat mund sperms ki taa'daad kam hoti hai.
Yeh jannney kay liye kay asal kharabi kahan hai mard ko apni mani (seminal fluid) ka tajziya karana chahiyie behter hai kay mani laboratory mein hi nikal jaey ghar sey ley janey ki surat mein amooman result sahi nahin hota agar waqaee mard mein kharabi hai to woh kisi achey doctor
|