Hum ney ahem jinsi mughliton (common sexual misconceptions) ki haqeeqat beyan kardi hai aur sath sath ahem jinsi masail (important sexual problems) aur inn kay hal bhi bata diye hain. Baaz auqat mardana kamzori ka masla apney tor per hal nahi kya ja sakta. Iss ki wajah yeh hoti hai kay insan kay masley ki gehri lashaouri wajoohaat hoti hain. Iss soorat mein jab tak nafsiyati elaj sey inn wajoohaat ko maloom kar kay inn ko khatam na kya jaey uss waqt tak masla hal nahi hota. Agar aap ko hamarey bataey gaey tareeqoon per amal kar kay bhi apney tor per kamiyabi nahi hoti to phir kisi achey mahir e nafsiyat jo kay nafsiyati analysis ka mahir ho, sey elaj karana chahiyie.
Ab yeh baat clear ho chuki hai kay ehtelam, jiryan aur qatrey (drops) waghaera koi beemari nahi aur na hi inn ka elaj karaney ki zaroorat hai. Yeh sab kuch fitri process hai issi tarhan musht zani kay bhi kisi tarhan kay koi nuqsanat nahi aur na hi yeh gunah e kabira hai. Issi tarhan penis kay size, jisamat, curve aur veins kay hawaley sey bhi pareshan honay ki zaroorat nahi. Issi tarhan semens thook sey zyada qeemti nahi aur na hi yeh quwwat, taqat ya johar e hayat hai. Iss ka mardana quwwat kay sath bhi hargiz koi ta'alluq nahi. Iss ka ek hi kaam hai kay iss kay zariye sperms jism sey baher aatey hain aur iss mein sperms kay liye khoorak hoti hai. Naujawano ko yeh baat bhi zehen mein rakhni chahiyie kay hymen ki mojoodgi ya ghaer mojoodgi hargiz aurat ki ismat ya badkirdari ki daleel nahi hai.
|