Hurf_e_Akhir
Kuch din pehley merey clinic mein Bio Test Clinic shadman 1 lahore mein 2 naujawan aaey. Inn mein sey ek married tha aur doosra unmarried. Magar donon ka ek hi problem tha. Donon kay khayal mein woh shaadi kay qabil na thay. Kuch month pehley ek naujawan ko issi wajah sey apni biwi ko talaq deni pari. Na janey kitney ghar khamoshi sey ujarr jatey hain. Mein ney jab bhi jinsi masail ka analysis kya to ek hi baat samney aaee kay naujawan larkey aur larkiyon kay minds mein iss hawaley sey bohut sey misconception aur ghalat fehmiyan hoti hain jinki wajah sey woh kisi jinsi beemari mein mubtala ho jatey hain. In ka apna koi azeez dost aur bara inn ki barwaqt rehnumaee nahi karta. Lehaza neem hakeem iss surat e haal sey khoob faeda uthatey hain. Halan kay aisey sab naujawan mareez bilkul normal hotey hain. Inhein sirf educate karney ki zaroorat hoti hai. Hamarey elaj sey aisey sab patients chund weeks mein bilkul normal hojatey hain. Bul kay itminan aur aetmaad ki ek new dolat aur kafiyat sey hamkinar ho jatey hain. Yad rahey kay inn jinsi beemariyon ka elaj nafsiyati reason maloom kye baghaer sirf adviyat (medicine) sey mumkin nahi.
Iss kitaab ka buniyadi maqsad naujawan nasal aur walaedaen ko sex kay hawaley sey Quran o sunnah, latest research aur apney zaati paeshawarana tajurbaat ki roshni mein sahi maloomaat fraham karna hai takay inn kay jinsi misconceptions clear ho jaein aur normal pursukoon zindagi basar kar sakey.
|