Mardana Quwwat Ko Check Karney Ka Ghalat Rasta Ikhtiyar Na Karein
Apni mardana quwwat (male potency) ko test karney kay liye kabhi bhi kisi buri aurat kay pass na jaein. Yeh beemari ka ghar hoti hain aur insan iss test mein prostitute kay behaviour, khauf, nakami kay khauf aur shadeed ehsaas e gunah ki wajah sey taqreeban hamesha nakam rehta hai aur phir mustaqil tor per jinsiyati mareez ban jata hai. Iss nakami mein law of reverse effect ka kirdar bohut ahem hai. Aap kisi ka name bhool jatey hain, aap isey zehen mein laney ki jitni zyada koshish kartey hain utna hi nakam rehtey hain. Issi tarhan aap tanau (erection) paeda karney ki jitni zyada koshish karein gey utni hi nakami hogi. Mazeed zina kay gunah e kabira honay mein to koi shak nahi. Aisey tajurbey karney waley log bar bar nakam rehtey hain. Ek to gunah phir sharmindigi aur nakami ka ehsaas. Woh baqi age jinsi mareez ki zindagi basar karney per majboor ho jatey hain.
Har shakhs mardana quwwat mein ezafa chahta hai. Siwaey exercise kay kisi bhi cheez sey mardana quwwat (male potency) mein mustaqil ezafa nahi kya jata. Iss hawaley sey koi khoorak, jiinsi tonic aur adviyat (medicine) faida mand nahi. Tonic aur adviyat (medicine) waghaera ka asar aarzi aur waqti hota hai aur baaz auqat to khatarnak aur jaan lewa bhi sabit hota hai.
Maghribi Mumalik Ki Jinsi Kutub Ka Muqaddas Rishton Ki Bey-Ahterami Mein Kirdar:
Naujawano ko fahash films aur books sey har surat bachna chahiyie. Yeh donon cheezein insan ko gunah aur zina ki taraf ley jati hain.
|