Piyara |
Group: Members Joined: 21st Sep, 2008 Topic: 10 Post: 71 Age:
26
|
|
Posted on:21st Sep 2008, 6:32am |
|
|
Differens Between Love And Liking?
SALAM TO ALL, main aap sab se poochna chahta hoon k mohabbat or pasand main kia diffrence hai? kia ye aik hi cheez hai? Ager aikk larki aik larke ko pasand kerti hai. jab k aik larki aik larke se mohabbat kerti hai kia ye same hi baat hai ya difference plz tel me. main bohat ziada confuse hoo. specially girls zarooz reply karen plz muje umeed hai aap sab apni apni raye btayen ge.
|
katherine |
Group: Members Joined: 21st Sep, 2008 Topic: 0 Post: 3 Age:
30
|
|
Posted on:21st Sep 2008, 11:43pm |
|
|
love and licking there is no diffrence in love and licking |
ash28 |
Group: Members Joined: 02nd Aug, 2008 Topic: 7 Post: 347 Age:
27
|
|
Posted on:21st Sep 2008, 2:21pm |
|
|
Love & Liking..... Yes there is a big Different between Love & Liking......but its depending on age factor...
|
~~HITMAN~~ |
Group: Members Joined: 09th May, 2011 Topic: 122 Post: 4287 Age:
27
|
|
Posted on:21st Sep 2008, 2:22pm |
|
|
Love is Special.......Liking is Precious Love aur liking main buhut fark hai ...ye ek dosre k oposite hain,
Kisi person ko jab app like karnay lagtay hain tou app chahtay hain k
us say dosti ki jaye uskay baray main jana jaye, apko us say mil kar
khushi hoti hai, us kay saath wakt guzarna acha lagta hai.....ap uskay
har action pe conscious hotay hain k wo aesa kyun hai kyun itna
pasandeda hai........yani liking just ek friendship ki tarha hai ....
Kya kabhi appne us person say dosti ki hai jis say apko nafrat hai ya
jo appko acha nahi lagta ?......kyun nahi ki dosti us say?...kyun wo
apko acha nahi lagta?...kyun k wo appko pasand nahi hai....app usay
like nahi kartay......misaal k tor pe apko agar apne group main 5
opposite sex persons ko like kartay hain tou kya iska matlab ye hai k
appko un 5 person say love hai?........Nahi, love sirf ek say kiya jata
hai sab say nahi.........
jabkay love like karnay say zyada deep hai.. love friendship say barh
kar hai aur ek azeem relation hai......love main more sacrifice hai ,
more giving hai, more honesty hai, more forgiving hai aur more sharing
hai. aur sab say barh kar love main 1 person say commitment hoti hai,
iskay ilawa kisi say nahi...
.Love sirf ek baar milta hai jabkay liking tou chalti hi rehti
hai.....love ko talash karna thora mushkil hai, jabkay like ko talash
karna thora asaan hai......love ko hasil karnay ki khuahish hoti hai
aur love k mamlay main app pagal pan ki had tak bhi jasaktay hain,
likin liking k mamlay main aesa nahi hai.......
love aur liking ek dosre say mukhtalif hai aur love liking say buhut zyada agay hai aur gehra hai.....
|
sunehri76 |
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 96 Post: 4593 Age:
36
|
|
Posted on:21st Sep 2008, 2:31pm |
|
|
Hitman jee Kya samjhaya hai apne !!!
Zabardast.... i total agree with you.... |
Sooth |
Group: Members Joined: 18th Jul, 2007 Topic: 303 Post: 1941 Age:
|
|
Posted on:21st Sep 2008, 4:28pm |
|
|
My Opinion:love and liking are two different thing. ager aap uss insaan ki care aur qader nahi kerain gay jo aap se pyar kerta hai,aap ki care kerta hai ya aap uss ko hurt kerain gay tu aap ko jis se pyar ho ga wo bhi in return aap ke saath aisa hi keray ga.koi ladki aap ke saath serious hai aur shaadi bhi kerna chahti hai islamic way me tu uss ke saath mazakh mat kerain aur typical ladkoon ki tara flirt etc mat kerain.ager aap ko koi ladki pasand kerti hai ya aap se pyar kerti hai tu first uss ka character aur baki characteristics check kerain jo hadith me bhi bataye gaye han then shaadi kerain aur baki ke premarital relations per believe mat kerain.
Hazrat Muhammad (sallallaahu alaihi wasallam) ne fermaya:
“ke jis ne kisi auraat se sirf uss ke husn-o-jamaal aur maal-o-dulaat ki wajja se shaadi ki tu wo dono uss ke haath se nikal jatay han laikin jis ne deen dari aur paarsahi ko ahmiyaat-o-awaliyat di,ussay maal-o-jamaal dono hasil hon gay”.
Aik aur hadees me bayaan hua hai ke muhaabat kernay wali auraat se nikaah keroo.
Hazrat Muhammad (sallallaahu alaihi wasallam) ne fermaya:
“aisi auraat se nikaah keroo jo muhabat kernay aur bachay jannay wali ho,kuin ke main tumhari kasrat-e-aulaad ki wajja se doseri ummatoon per fakhir keroon ga”.
|
dragen |
Group: Members Joined: 21st Sep, 2008 Topic: 1 Post: 11 Age:
27
|
|
Posted on:22nd Sep 2008, 12:29am |
|
|
~*~ Difference between somebody you LOVE & somebody you LIKE! ~*~ -------------Edit-----------------
Moderator Note: Copy Paste material is not allowed here. |
dragen |
Group: Members Joined: 21st Sep, 2008 Topic: 1 Post: 11 Age:
27
|
|
Posted on:22nd Sep 2008, 12:32am |
|
|
LOVE & LIKING Importent is that we love ONE but we LIKE many...
What u people say about this ?
DRAGEN |
zeb |
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13614 Age:
31
|
|
Posted on:22nd Sep 2008, 5:06am |
|
|
wow very nice replies
im agreed to hitman, sooth and dragon |
Piyara |
Group: Members Joined: 21st Sep, 2008 Topic: 10 Post: 71 Age:
26
|
|
Posted on:22nd Sep 2008, 6:38am |
|
|
to phir ye kia hai? ok i agree now tell me k ager aik larki muj se kahe k main tumhen pasand kerti hun or main tum se shadi kerne k liye raazi hun. or shadi k baad main tum se itna piyar kerun gi k tum soch b nhi sakte duniya main kisi ne kisi se itna piyar nhi kia ho ga, tum duniya ma apne aap ko sab se ziada khushnaseeb samjo ge. KIA YE PIYAR NHI HAI? YA YE LIKING HI HAI? specially dragon, sooth, hitman and girls must tell me |
Sooth |
Group: Members Joined: 18th Jul, 2007 Topic: 303 Post: 1941 Age:
|
|
Posted on:22nd Sep 2008, 7:30am |
|
|
re: liking bhi ho sakti hai aur pyar bhi but ye to aap ko uss se baat ker ke hi patta chalay ga ke kya hai.laikin aik baat hai ager wo shaadi kerna chahti hi tu sumjhe lain wo aap ke saath serious hai so uss ko value dain. |
Piyara |
Group: Members Joined: 21st Sep, 2008 Topic: 10 Post: 71 Age:
26
|
|
Posted on:22nd Sep 2008, 7:35am |
|
|
Thanks sooth, Thanks yaar ye to maine pocha hai but wo kehti hai k main tum ko abi pasand kerti hoon lpiyar nhi. kia waqi? becos hum akser raaton ko ghanton baaatein b kerte hain or aik doosre ko end main i miss u b kehte hain. |
Sooth |
Group: Members Joined: 18th Jul, 2007 Topic: 303 Post: 1941 Age:
|
|
Posted on:22nd Sep 2008, 7:51am |
|
|
re: may be wo aap ko battana nahi chahti ho that she loves u.like tu kerti hai aur ager miss kerti hai tu ye mujhe pyar hi lagta hai.i think u must marry her bcoz aap khud hi dekhain ab aap ki koi care kerta hai,aap ko importance aur value daita hai so u r lucky.aisay insaan aap ko dhoondnay se mahi miltay jo aap se pyar kertay hon. |
~~HITMAN~~ |
Group: Members Joined: 09th May, 2011 Topic: 122 Post: 4287 Age:
27
|
|
Posted on:22nd Sep 2008, 8:07am |
|
|
rE: Piyara Dekho pyaray, shadi k baad pyaar khud hi hojata hai (agar niyat sahi ho tou).....muslim women k liyain shadi k baad uska husband hi sab kuch hota hai...muslim women western women ki tarha husband nahi badalti ,usko us hi husband k saath rehna hai pori life......
liking first step hota hai uskay baad love second step hota hai, kya app baghair kisi ko like kiyai us say love karlo gaynahi.?......kya app jab bhagair like kiyai kisi say shadi karlo gay? nahi app pehle pasand karogay larki ko uskay baad shadi karo gay....baaki shadi say pehle pyaar hona zarori nahi, asal pyaar shadi k baad hi pata chalta hai........
agar wo larki apko pasand karti hai aur app bhi kartay ho aur dono shadi k liyain tayyar hain tou thek hai app shadi karlo us say, app kya chahtay ho k pehl wo larki appko pyaar karay?......bhai pyar koi aesa emotion nahi hai jo jab chahay ajaye jab chahay chala jaye, pyaar khud say hota hai pehle liking hi hoti hai.........
app bajjaye shak karnay k us larki say shadi karlo agar wo appko achi lagti hai aur usko bhi app achy lagtay ho....baaki pyaar bhi hojaye ga shadi k baad.....(bas niyat sahi rakhna, ye na ho k shadi k baad dosri larkiyon pe nazar rakhin shuru hogaye....).........Good luck
|
Piyara |
Group: Members Joined: 21st Sep, 2008 Topic: 10 Post: 71 Age:
26
|
|
Posted on:22nd Sep 2008, 8:39am |
|
|
re Sooth Yes sooth u r right main to chahta hoon shadi kerna us se but pta nhi kiyu mere dil main ye khuwahish hai k woh muj ko shaadi se pehle hi toot ker chahay. kia aisa ho k wo muje pehle hi chahne lage?
|
Piyara |
Group: Members Joined: 21st Sep, 2008 Topic: 10 Post: 71 Age:
26
|
|
Posted on:22nd Sep 2008, 8:45am |
|
|
re HITMAN yeah Hitman tum thek kehte ho. yar main tumse boht ziada impress hua hoon beleive me bta nhi sakta. yaar kia aisa nhi ho sakta k wo muj se pehle hi izhaar kare? must tell me |
khayali |
Group: Members Joined: 08th May, 2008 Topic: 28 Post: 1443 Age:
24
|
|
Posted on:22nd Sep 2008, 11:40pm |
|
|
piyara or wo larki such kehrahi hai tu ye PHAYRE hai is ko linking nahi kehty,,,,,,,,, |
Sooth |
Group: Members Joined: 18th Jul, 2007 Topic: 303 Post: 1941 Age:
|
|
Posted on:22nd Sep 2008, 1:50pm |
|
|
re: listen koi bhi ladki further step lainay se derti hai.ager wo aap se pyar kerti hai tu wo aagay step tab hi lay gi jab uss ko aap ki teruf se hope aur pyar milay ga otherwise she will be back.ager wo aap ko pyar kerti rahay and aap uss ka saath kabhi bhi chor dain ya wo sure na ho ye flirt hai ya aap serious han tu wo bahot hurt ho gi.wo tab hi aisa ker paye gi jab aap uss ko in return wo sub dain gay jo wo aap ko daiti hai.shaadi se pelhay pyar kerain aur liking bhi but limits me rah ker exceed mat kerna plus another thing ager koi ladki aap ko kahay that she loves u tu uss ka meaning yehi hotta hai ke wo aap se sahi ka pyar kerti hai aur ager aap ki life me wo hai tu kisi aur ko mat aanay dain kuin ke ye aik ladki kabhi bhi berdasht nahi ker sakti.love aur liking es base per kerain aur aagay barhayain jab aap dono ki niyaat shaadi kernay ki ho. |
~~HITMAN~~ |
Group: Members Joined: 09th May, 2011 Topic: 122 Post: 4287 Age:
27
|
|
Posted on:22nd Sep 2008, 2:03pm |
|
|
rE: Piyaray i jaldi kisi say impress na hoa karo, kal ko shadi k baad agar kisi
dosre larki say impress hogaye tou apki biwi ka hogaya kaam.......
app aesa kyun chahtay ho k wo apse pyaar ka izhaar karay?....jab app
aur wo razi ho shadi k liyain tou phir kya masla hai, pyaar ka izhar
tou hota rahay ga shadi k baad.........ab ye alag baat hai app uspe
shak kar rahay ho?
|
Piyara |
Group: Members Joined: 21st Sep, 2008 Topic: 10 Post: 71 Age:
26
|
|
Posted on:22nd Sep 2008, 2:10pm |
|
|
re sooth haan ye to tum ne sooth thek kaha hai us ne muje b aik baar kaha tha k jab humari mangani hoo jaye gi jab muje yakeen ho jaye ga k tum sirf or sirf mere ho to main tum ko itna piyar doon gi tum se itna piyar kerun gi k tum soch b nhi sakte. kia waqi wo aisa kare gi? |
|