How To Develop Self Esteem In Children - I
Bachoun main self esteem kaisay develop ki ja sakti hay Self esteem ka matlab hay ham apnay baray main kia mahsoos kertay hain aur apni skhsiyat kay baray main kis tara say sochtay hain, aur manay ya na manain doosroun kay samnay hamaray rawayay say yah baat beri aasani say zaher ho jati hay kay hamari self esteem low hay ya high hay. Jab beray apni low self esteem ko chupanay say qasir hotay hain tu bachay tu phir bhi bachay hotay hain aur un ka rawaya tu bohat hi khula aur sab kay samnay hota hay. Iss liay maan baap aur bahen bhai bohat aasai nay iss baat ka patta chla saktay hain kay bachay ki self esteem kiti high/low hay aur iss ko mad-e-nazer rakh ker us ski help ker saktay hain. High aur low self esteem walay bachoun ki pahchaan iss tara say ki ja sakti hay. High self esteem Bachay aazadana kaam kertay hain Zimadari uthatay hain Ager koi gussa keray tu kafi haad tak berdasht ya ignore ker saktay hain. Apni kaamyaabi per khoosh hona jantay hain aur ussay celebrate kertay hain Nay kaam aur nai cheesain try kertay hain Apnay positive aur negative hyalaat aur ahsaasat ko samajtay hain Doosroun ki madad kernay kay liay tyaar rahtay hain. Aasaani say kisi ki galat baat ka aser nahi laitay aur apna acha bura samjtay hain Low self esteem walay bachhay inn sab batoun kay bilkul opposite hotay hain Sab say ziada bachay ki self esteem high kernay main kis ka hath hota hay? Iss ka aasaan sa jwaab hay kay maan aur baap ka aser sab say ziada apni aulaad per hota hay issi liay wohi apnay bachay ki self esteem ko bather bana saktay hain. Self esteem berhanay ka tareeqa Iss silsalay main sab say ziada zaroori tareeqa bachay ki munasib andaaz main tareef kerna hay, j okay self esteem berhanay main sab say aham kirdaar adda kerti hay. 1-Tareef bachhay ki sab say beri zaroorat hay: iss liay khul ker kerain Lahaza jab bhi moqa milay aur bachay ka koi kaam achha lagay tu ussay sirf dil main hi na tasleem kerain, balkay bachay kay samnay us ski bherpoor andaaz main tareef bhi kerain. Hamaray yahan maan baap bachay ki khami ko tu foran uss kay samnay byaan kertay hain, lakin aisa kam hi hota hay kay bacha ager acha kaam keray tu us ski tareef bhi kertay houn. Yahi sab say bunyaadi galti hoti hay jissay maan baap kam hi samajtay hain, balkay kabhi tu bilkul ahmiyat hi nahi daitay. Aik bachay ko uss waqat tak patta nahi chalay ga kay aap uss kay baray main kitna achha soach rahay hain jab tak aap ussay nahi batain gay. Parents kay liay shyad yah tareef kerna aik choti si baat ho lakin yaad rakhain kay bachhay iss tareef ko bohat seriously laitay hain aur yah un kay liay aik hzana hoti hay. Wo aik baar ki janay wali tareef ko apnay zahen main hamisha kay liay mahfooz ker laitay hain aur phir dil hi dil main haftoun iss baat ko yaad ker ker kay khoosh hotay rahtay hain. Iss liay koshish kerain kay her rozebachay ki kisi bhi choti say choti achhi aur pasandeeda baat ko bahana bana ker us ski tareef kerain. Yaqeen ker lain kay iss tara kernay ki waja say aap apnay bachay ko aik acha mutaqbil dainay ja rahay hain. Tareef kernay ka sahee tareeqa: Ji haan tareef bayshak tareef hi hoti hay lakin aik bachay kay liay ki janay wali tareef ka andaaz ager theek na ho tu wo bachhay ko koi haas faida nahi day gi balkay ulta ussay mazeed shermeela bana day gi. Yah kaisay possible hay daikhyay: Bachay kay kaam ki bajay bachay ki tareef kerna Evaluative Praise kahlata hay j okay tareef ka theek tareeqa nahi hay: Ager app bachay kay kisi kaam say khoosh ho ker uss ki iss tara say tareef kertay hain kay, "aap tu bohat achhay ho…..shabaash ……zabardast …wagira wagaira, tu iss tara kay alfaaz bachay kay liay tareef ki bajay derasla shermindgi ka zaerya ban jatay hain. Maslan ager aap kisi bachay ko kahian kay…..''wow, aap tu zaberdast painter ho……to wo kia kahay ga? Sherminda ho ker yahi kahay ga kay nahi nahi, aisi koi baat nahi hay. maira dost, bhai ya koi aur muj say bhi acha painter hay. Tu iss ka matlab hay kay bachay ko tareef say koi faida na houa. Iss liay kay wo iss tara ki tareef say COMFERTABLE nahi mahsoos kerta. Kayounkay deraasal aap bachay ki tareef kernay ki bajay ussay EVALUATE, yani judge ker rahay hain, aur kisi ko bhi pasand nahi hota kay ham uss ki personality ko judge kerain chahay wo achi judgement hi kayoun na ho. Tareef ka konsa tareeqa theek hay? Ab masla yah paida hota hay kay phir kia tareeqa ikhtiyaar kia jay jis ko apna ker bachay ki durast tareef ho sakay aur jo us ski self esteem main bhi izaafa keray? Iss baat ko samjain kay ager aik maan apnay bachy ko tareefi andaaz main kahti hay kay ……aap bohat mazboot aur taqatwer bachhay ho…….tu iss say bachay ki sel esteem main koi izaafa nahi ho raha. Albatta ager kisi kaam ko daikh ker maan kahti hay kay……..yah saamaan bohat bhaari tha phir bhi aap nay utha lia, bohat bohat shukeria mairi madad kernay ka…….. Tu iss tara kay khul ker kahay gay jumlay say bachhay main hosla aur aitmaad paida ho ga kay mairi maan muj per bharoasa kerti hay aur main aisay kaam kernay kay qabil houn. Phir yahi baat uss main faisla kernay ki taqat paida kerti hay kay, achha mairi maan ka hayal hay kay main bohat mazboot houn tu ab main ainda bhi issi tara un ki aur doosroun ki help keroun ga. Ab iss main daikhain kay pahlay wali tareef Evaluative tareef thi aur doosray wali descriptive tareef. Aur inn ka aser bachay per aik doosray say bohat mukhtalif houa hay. Issi liay bachay kay liay DESCRIPTIVE PRAISE istimaal ki jay, yani kay jab us ski tareef kerain tu explain kerain kay us ski kiss HAAS baat, ya rwayay ki tareef ki ja rahi hay. Iss kisam ki tareef ko ham do hisoun main taqseem ker saktay hain, pahla jis main bachay kay kaam ko tafseel say ussi kay samnay byaan kia jata hay aur doosra jis main bacha iss byan kiay gay hoi tafseel main say apni tareef kay pahloo hood hi dhoondh laita hay. 1-Parents bachay ki baat ki tareef piyaar beray andaaz main iss tara kertay hain Example #1 ….…..aaj main nay daikha hay kay aap nay mairay sath sabzi lanay main bohat madad kit hi, aap sabzi ko utha ker gher tak lay thay aur phir ussay kitchen main rakhnay main bhi mairi madad kit hi. Aur main nay yah bhi aaj daikha hay kay aap nay wapis aa ker hood hi hath dho liay thay aur mujay bilkul kahna nahi pera………. Example #2 ……..Main nay note kia hay kay aap nay aaj beri achhi tara say apna bister hood hi subah uth ker theek kia tha aur phir choti behan ki madad bhi thi iss ka kaam hatam kernay main…… 2-bacha iss tareefi andaaz ko sunnay kay baad apni tareef hood dil main kerta hay ……..wow mairi ammi nay mairi tareef ki hay kayounkay main bohat achha bacha houn, ab main ainda bhi ammi kay sath issi tara madad keroun ga aur mujay patta hay kay madad kaisay kertay hain kayounkay main samajdar hoon…………. Ab iss sari tafseel main daikhain kay maan nay bachay ko koi motay motay tareef kay alfaaz nahi kahay lakin iss kay bawajood bacha khoosh ha jata hay, aur na sirf khoosh hota hay balkay ainda kay liay bhi irada kerta hay kay main achay kaam keroun ga. Swaal yah hay kay aisa kayoun hota hay? Iss ka jwaab yah hay kay Iss kisam ki tareef bachay main khoodmukhtari aur aazadan sochnay ka hoosla paida kerti hay. Ussay lagta hay kay wo aik zimadaar aur samajdar insaan hay aur loag uss kay kamoun say khoosh hotay hain. Aur yahi baat us ski self esteem main izafay ki bunyaad banti hay. Jab bachay ki slahiyatoun per bharoasa kia jay tu wo hood apni slahiyat per bharoasa kerna shuru ker daita hay, aur apnay kaam shuru kernay, ya kisi ki madad kernay kay liay doosroun kay approval ki taraf nahi daikhta rahta. Aisay bachay kay ander ahista ahista itna aitmaad a jata hay kay wo hood hi apnay chotay chotay faislay kernay lagta hay aur iss baat kay qabil ho jata hay kay aapnay kiay gay faislay ko tabdeel ker sakay ya uss ko durust ker sakay. Aik Choata bachha ager aik drawing bana ker maan ko daita hay tu ussay yah na kahain kay ……yah beri acchi drawing hay ……..balkay drawing ki gai cheesoun ki baat kerain. Ussay batain kay aap nay yah gher tu bohat piyara banaya hay aur inn balloons main rang bhi kitnay achay bheray hain, haas toar per peela rang mujay bohat hi pasand aaya hay, mujay khooshi hay kay aap nay yah drawing banai hay wagaira wagaira………. Iss sab kay liay practice ki zaroorat hay: Parents iss baat per hamisha khoosh hotay hain kay bachha un ka DEPENDENT rahay aur her kaam kay liay un say aa ker ijazat laini ki zaroorat mahsoos keray. Aur iss kay sath sath wo yah bhi chahtay hain kay bachhay main sel esteem bhi ziada ho. Tu zahen main rakhain kay sirf DESCRIPTIVE PRAISE hi aisi cheese hay kay bachhay main self esteem aur self confidence tu beray ga hi lakin iss kay sath sath wo aap ko bhi hamisha apnay kamoun main poori ahmiyat day ga aur aap ki respect bhi keray ga.
|