How To Develop Self-Esteem In Children-II?
Bachoun main self esteem kaisay develop ki ja sakti hay Self Esteem kia hay? Self esteem ka matlab hay ham apnay baray main kia mahsoos kertay hain aur apni skhsiyat kay baray main kis tara say sochtay hain, aur manay ya na manain doosroun kay samnay hamaray rawayay say yah baat beri aasani say zaher ho jati hay kay hamari self esteem low hay ya high hay. Jab beray apni low self esteem ko chupanay say qasir hotay hain tu bachay tu phir bhi bachay hotay hain aur un ka rawaya tu bohat hi khula aur sab kay samnay hota hay. Iss liay maan baap aur bahen bhai bohat aasai nay iss baat ka patta chla saktay hain kay bachay ki self esteem kiti high/low hay aur iss ko mad-e-nazer rakh ker us ski help ker saktay hain. High aur low self esteem walay bachoun ki pahchaan iss tara say ki ja sakti hay. High self esteem · Bachay aazadana kaam kertay hain · Zimadari uthatay hain · Ager koi gussa keray tu kafi haad tak berdasht ya ignore ker saktay hain. · Apni kaamyaabi per khoosh hona jantay hain aur ussay celebrate kertay hain · Nay kaam aur nai cheesain try kertay hain · Apnay positive aur negative hyalaat aur ahsaasat ko samajtay hain · Doosroun ki madad kernay kay liay tyaar rahtay hain. · Aasaani say kisi ki galat baat ka aser nahi laitay aur apna acha bura samjtay hain Low self esteem walay bachhay inn sab batoun kay bilkul opposite hotay hain Sab say ziada bachay ki self esteem high kernay main kis ka hath hota hay? Iss ka aasaan sa jwaab hay kay maan aur baap ka aser sab say ziada apni aulaad per hota hay issi liay wohi apnay bachay ki self esteem ko bather bana saktay hain. Self esteem berhanay ka tareeqa Iss silsalay main sab say ziada zaroori tareeqa bachay ki munasib andaaz main tareef kerna hay, j okay self esteem berhanay main sab say aham kirdaar adda kerti hay.
|