sonu1234 |
Group: Members Joined: 19th Jun, 2011 Topic: 7 Post: 129 Age:
28
|
|
Posted on:7th Apr 2012, 10:01am |
|
|
Birth Defects:
aoa mera question psydoc se hy kiun k unhien meri p ori reports ka pata hy mene apna anomly scan kerwaya jis me bpd 5.3cm hc 18.9cm ac 15.5 cm or fl .7 cm hy jo k bohat kam hy or fetal weight 196 grams hy
|
sonu1234 |
Group: Members Joined: 19th Jun, 2011 Topic: 7 Post: 129 Age:
28
|
|
Posted on:7th Apr 2012, 10:04am |
|
|
problem aoa
doc ne abort ka sugest ki a tha jo k mene nahe ekrwaya ab mene 31 weeks ka ultra sound kerwaia jis me
bpd 82.7mm
fl 17.8mm
hc 294mm
ac 229mm
presentation cephalic hy |
sonu1234 |
Group: Members Joined: 19th Jun, 2011 Topic: 7 Post: 129 Age:
28
|
|
Posted on:7th Apr 2012, 10:06am |
|
|
problem doc ne chromosome abnormalty kahye hy b coz i already lost my one child
kia ab aap bta sakte hyn k mujhy kon kon se test kerwane chahye ..ye problem kiun hy or kis waja se is ka koi hul hy k nahe plzzzzzzzz ans me |
sonu1234 |
Group: Members Joined: 19th Jun, 2011 Topic: 7 Post: 129 Age:
28
|
|
Posted on:7th Apr 2012, 10:07am |
|
|
problem mere pichle sari report genetic disorder me visible hy kindly help me ans me |
sonu1234 |
Group: Members Joined: 19th Jun, 2011 Topic: 7 Post: 129 Age:
28
|
|
Posted on:7th Apr 2012, 10:18am |
|
|
chromosomes problem color doppler ubilical artery
a/b ratio 4.0
resistivity index .70
pulsativity index 1.0
normal color doppler flow
head:
bones of skull vault normal
ventricles lateral ventricles .7cm not dialated
decreased echgenicity around ventricles
no brain haemorrhage seen
no mass seen
eyes nose lips normal
spine;
normal no spinal bifida
heart:
four chamber normal
fetal abdomen:liver gall bladder spleen normal
no pleural effsion seen
stomach normal
u l extremities : small
both femora tibia humerius vulva are medium small and feeet seeen.
cord insertion : normal |
psychdoc |
Group: Members Joined: 04th Mar, 2011 Topic: 11 Post: 1239 Age:
33
|
|
Posted on:7th Apr 2012, 11:47pm |
|
|
Sonu1234:
Walaikum Salam,
Kaisi hain aap?
Gee, mujha yaad hai keh aap ka baby ko achondrogenesis suspect kiya jaa raha thaa, aur jab aap say last time baat hoi thee to aap yeh decide nahin kar paa rahin theen keh pregnancy continue karain yaa nahin.
Aap na apna jo 31 weeks ultrasound share kiya hai, uss mein bhee femur length ( thigh bone length) bohot hee kam aaie hai, aur abdominal circumference bhee bohot hee kam aaya hai. Aap na apna jo doppler scan karwaya hai uski date aap nay mention nahin kee.
Jaisa keh mein nay aap ko aap kay original topic mein bataya thaa, yeh diseases aksar ( but not always) unn bachon mein hotee hain jinka parents aapas mein cousins hon ( blood relatives hon).
Aur Allah taala say doa bhee kartee rahain.
I wish you all the best.
|
psychdoc |
Group: Members Joined: 04th Mar, 2011 Topic: 11 Post: 1239 Age:
33
|
|
Posted on:7th Apr 2012, 11:49pm |
|
|
Sonu1234:
Walaikum Salam,
Kaisi hain aap?
Gee, mujha yaad hai keh aap ka baby ko achondrogenesis suspect kiya jaa raha thaa, aur jab aap say last time baat hoi thee to aap yeh decide nahin kar paa rahin theen keh pregnancy continue karain yaa nahin.
Aap na apna jo 31 weeks ultrasound share kiya hai, uss mein bhee femur length ( thigh bone length) bohot hee kam aaie hai, aur abdominal circumference bhee bohot hee kam aaya hai. Aap na apna jo doppler scan karwaya hai uski date aap nay mention nahin kee.
Jaisa keh mein nay aap ko aap kay original topic mein bataya thaa, yeh diseases aksar ( but not always) unn bachon mein hotee hain jinka parents aapas mein cousins hon ( blood relatives hon.
Aur Allah taala say doa bhee kartee rahain.
I wish you all the best.
|
sonu1234 |
Group: Members Joined: 19th Jun, 2011 Topic: 7 Post: 129 Age:
28
|
|
Posted on:10th Apr 2012, 1:57pm |
|
|
problem aoa, me thik shukar hy ALLAH ka k me gunha se bach gy .ab jo dopler scan tha wo anomly scan 20 week ka tha is k ilawa 31 weeks ki report b behji hy ultra sound ki ye achondrogensis k result me aisa hota hy kia?
or ab mujhy next konn kon se test kerwane chahye?or ye leukodestrophy kia hota hy kindly ye b bta dein thnx again |
sonu1234 |
Group: Members Joined: 19th Jun, 2011 Topic: 7 Post: 129 Age:
28
|
|
Posted on:10th Apr 2012, 2:01pm |
|
|
problem aoa ,ye cousin marriage hy he , leken fisrt child phusical tu thek tha tu ab aise kiun? kia ye koi skeltal problem hy? or kia dobara bhe aise hy chance ho sakta hy ? ya kooi treatment kerwane ki zaroorat hy hamee ?ya future me avoid kerna chahye?or test kon kon se?
or AC kiun kam aya hy is ki kia waja hy halakeh iski pehly measurement s thik aa rahe thein mene aap se bohat se sawal kiye hyn isl kiye sorry plzzz thnx alot k ap answer dete hyn |
sonu1234 |
Group: Members Joined: 19th Jun, 2011 Topic: 7 Post: 129 Age:
28
|
|
Posted on:11th Apr 2012, 4:15am |
|
|
reply aoa , i am waiting ur reply plz answer me |
psychdoc |
Group: Members Joined: 04th Mar, 2011 Topic: 11 Post: 1239 Age:
33
|
|
Posted on:11th Apr 2012, 10:46am |
|
|
Sonu1234:
Iss ultrasound mein femur length ( thigh bone length) jaisa keh mein nay bataya, bohot kam aaie hai, magar iss ultrasound report mein humerus length ( arm bone length) nahin mention kee gae. Iss waqt aap ko regularly apni doctor kay paas visits kay liya jaana chahye takeh agar koi aur complication develop ho, for example premature labor yaa fetal distress to usko properly manage kiya jaa sakay. Leukodystrophy bhee aik genetic disorder hai jo parents say bachon mein transmit hota hai ( but not in all cases) . Iss mein brain kay white matter mein abnormalities hotee hain. Aap ko leukodystrophy kaa baaray mein kis naa bataya? Cousin marriages mein zaroori nahin keh har bacha mein hee abnormalities hon. Infact most bachay jinka parents cousins hon, woh healthy hee hota hain. Baby kaa abdominal circumference pehla kitna thaa? I completely understand keh aap iss waqt anxious hain, aur aap kay zehan mein bohot say sawal hain. Aap ko sorry karna kee zaroorat nahin, aap jo poochna chahain pooch saktee hain. My prayers and best wishes for you.
|
sonu1234 |
Group: Members Joined: 19th Jun, 2011 Topic: 7 Post: 129 Age:
28
|
|
Posted on:12th Apr 2012, 1:34pm |
|
|
reply aoa kon se complications aap keh rahe hein? jis k liye mujhy visit ziada kerna ho doctor k pas kia aise bache ki birth normal hoti hy?or ab hamien kon se test kerwane hon gy genetics ,or kia is test k bad koi medicine bhe use kerne hoti hein ?or ye k kia mere baby ko achondrogensis hy means k ye problem hy is me tu baby i think survive nahe kerta ya koch or problem hy? leuko destrophy mene 20 weeeks jab ultrasound kerwaia tha us me unho ne kaha tha may b leukodestrophy hy, mene aaap ko 20 weeks ki or 31 weeks ki donno ki ultra sound reprt di hy.
thnx k aap rely kerte hyn .mujhe pain tuu her waqt rehta hy leken doctor ne mujhy pain killer dy di or ye bhe kaha k ye problem tu ham dekh sakte hyn is k ilawa koi or bhe problem ho sakta hy koch keh nahe sakte, |
sonu1234 |
Group: Members Joined: 19th Jun, 2011 Topic: 7 Post: 129 Age:
28
|
|
Posted on:12th Apr 2012, 1:36pm |
|
|
reply ac 20 weeks me 15.5 cm the jo k i think thik the or 31 weeks me bohat kam aye hy 229mm hy |
psychdoc |
Group: Members Joined: 04th Mar, 2011 Topic: 11 Post: 1239 Age:
33
|
|
Posted on:13th Apr 2012, 9:58am |
|
|
Sonu1234:
Mera kehna kaa matlab yeh hai keh regularly doctor kay paas visit kartee rahain. Aksar fetal distress yaa premature labor kee complication ho jaatee hai iss liya prepared rahain keh kabhee bhee doctor kay paas jaana parr saktaa hai. Gee haan, normal birth ho sakti hai. Genetics ke liya ab iss waqt aur kisi test kee zaroorat nahin, next pregnancy plan karna say pehla inn tests kee zaroorat ho gee jo aap aur aap kay husband ke history aur family history ko daikhta hoa aap ko bata dain gay keh kiss test kee zaroorat hai. Gee haan, abdominal circumference bohot kam aaya hai.
|
sonu1234 |
Group: Members Joined: 19th Jun, 2011 Topic: 7 Post: 129 Age:
28
|
|
Posted on:13th Apr 2012, 2:01pm |
|
|
reply aoa yehe tu pocha hy k kis kism k test ki zaroorat ho gy shyd aap samjh nahe rahe sawal ? k mere or husband k test hon gy kia unk baaad medicine ka use kerna perta hy ager koi problem ho ? or hamari family me tu first time aisa hoa hy aisa kabhe hoa hy nahe thakia ager koi problem aye tu doctor conceive kerne se bhe mana ker sakte hy k ainda bhe aisa problem ka chance ho sakta hy ye pochna chah rahe the me |
sonu1234 |
Group: Members Joined: 19th Jun, 2011 Topic: 7 Post: 129 Age:
28
|
|
Posted on:14th Apr 2012, 1:59pm |
|
|
reply aoa i m waiting 4 reply |
psychdoc |
Group: Members Joined: 04th Mar, 2011 Topic: 11 Post: 1239 Age:
33
|
|
Posted on:14th Apr 2012, 11:48pm |
|
|
Sonu1234:
Gee mein aap kay questions bohot acchee tarah samajh raha hon aur aap ko bohot clearly unka answer bhee day raha hoon magar shayed aap ko mera answers samajh nahin aa rahay.
Iss waqt aur kisi genetic test kee zaroorat nahin hai. Agar next few weeks mein khuda nah kara fetal distress ho to uss soorat mein further tests kee zaroorat parray gee, fetal maturity determine karna kay liya ( magar abhee unka baaray mein fikar karna kee zaroorat nahin hai) , magar jahan tak genetic tests kee baat hai, unki iss waqt zaroorat nahin hai, magar next pregnancy plan karna say pehla aap ke aur aap kay husband ke medical history aur family history kay basis par further tests kee zaroorat parr saktee hai ( as I already mentioned to you a couple of times). Mujha nah aap ke medical history patah hai, nah aap kay husband kee, aur nah aap ke family history, iss liya mein iss position mein nahin hoon keh aap ko bata sakoon keh kon say tests karwana hon gay.
Aik martaba phir mention kar doon keh genetic disorders kee wajah say sirf kuch hee babies effected hota hain, har baby nahin.
|
sonu1234 |
Group: Members Joined: 19th Jun, 2011 Topic: 7 Post: 129 Age:
28
|
|
Posted on:15th Apr 2012, 2:38pm |
|
|
replyy aoa ,aap mujh se as a genetic specialist ban k mukhtilf q ker sakte hyn me isliye keh rahe hon kiun k me next pregnancy ko plan kerne se pehly ye test kerwana chahte hon halakeh abhe bhe pregnant hon in baton ko bohat deeeeeeer hy leken me chahte hon k mujhy ye sab pata ho k mujhy kia kia kerwana ho ga sirf isliye ab tu jo hona tha woh ho gya aap mere liye dua kerien RUb koi mojza bhe tu ker sakta hy |
psychdoc |
Group: Members Joined: 04th Mar, 2011 Topic: 11 Post: 1239 Age:
33
|
|
Posted on:16th Apr 2012, 3:51pm |
|
|
Sonu1234:
I understand keh aap anxious feel kar rahee hain, magar iss waqt aap kay liya itni zyada tension acchhee nahin hai. Mein aap ke help karna chahta hoon magar genetic assessment aik complex procedure hai jo internet par questions kay zarya nahin ho saktaa. Iski choti si misal yeh hai keh bohot see aisi genetic conditions hain jinka baaray mein andazaa kisi person ke physical apperance ko daikh kar lagaya jaata hai, for example the shape of eyes, position of eyes, shape of nose, position of ears, shape of the chin etc etc etc. Iska illawa bhee bohot see different cheezain hote hain including detailed history etc . Zahir hai yeh sab internet par nahin kiya jaa sakta, yeh sab future kay liya hai, iss waqt apni present condition ko daikhta hoa aap jitna stress say bachain gee aap kay liya behtar ho gaa. Gee haan, meri duain aap kay saath hain, aur yaad rakhain keh har cheez Allah kay haath mein hai, aur medical science kuch bhee kaha, hota wohi hai jo Allah Taala ke marzi hoti hai.
|
sonu1234 |
Group: Members Joined: 19th Jun, 2011 Topic: 7 Post: 129 Age:
28
|
|
Posted on:20th Apr 2012, 6:20am |
|
|
reply thanx alot aap se baat ker k bohat tasli ho jate hy koi na koi haal mil jata hy thanx alot in futire ager koi b problem ho ga tu aap se discuss keron gy thanx alot |
|