Sonu1234:
Walaikum Salam, I'm fine, thanks. And I am sorry to hear keh aap itni stress mein hain. Aap na jo jo questions poocha hain mein unko answer karna ki koshish karta hoon, aur iska lia mein aap ko apna pichla kuch months ka replies ka important points dobarah bata raha hoon takeh aap ko yeh sab information aik hi jagah mil jae: Autosomal recessive disorders ( for example achondrogenesis) mein aksar parents carrier hota hain, yaani unko disease to nahin hoti, magar apna bachon mein disease transmit kar daita hain, jaisa keh mein nay aap ko apna July 6th kay answer mein bataya thaa. Agar donon parents recessive disorder kay carrier hain, to phir har 4 mein say 1 baby ko disease ho gee (25%risk), aur kuch babies carrier ban jaaian gay, aur kuch ko nah disease ho gee, aur nah carrier banain gay. I hope you will understand this. Agar aap donon mein say sirf aik ko problem hai to baby ko disease nahin ho gee, inshallah. Magar iss baat kaa 25%chance ho gaa keh baby achondrogenesis ka carrier ban jae. However, achondrogenesis ke aik rare type hoti hai jis mein sirf aik parent say bhee disease transmit ho sakte hai, magar yeh kaafi rare type ka achondrogenesis hota hai. Unfortunately, iss baat kaa hee chance hai keh aap donon hee carrier hain, otherwise disease transmit nahin hotee ( yaani aap ka baby ko achondrogenesis nahin hota). Baharhaal, har cheez Allah kaa haath mein hai. Aap apna test jald say jald karwa lain. Carrier ka matlab hai keh uss person ko woh disease aur uska signs and symptoms nahin hota, yaani achondrogenesis ka carrier ke physical appearance bilkul normal ho gee. Magar carrier apna bachon mein say kuch ko woh disease pass kar day gaa, yaa uss disease ka carrier bana day gaa. Disease ka matlab hai keh uss person ko disease ka signs and symptoms bhee hain, aur woh apna babies ko yeh disease transmit kar sakta hai yaa disease ka carrier bana sakta hai. Aap aur aap ka husband ko achondrogenesis ke disease nain hai, otherwise aap ke appearance say zahir hota. Magar most likely aap donon disease ka carrier ho saktay hain. Aap ka second baby ko achondrogenesis disease thee, magar aap kay first baby ko disease nahin thee, based upon normal limbs etc, magar iss baat ka chance hai keh agar test kia jaata to woh carrier hota achondrogenesis kaa. Once again, to summarize, nah aap ko aur nah aap ka husband ko achondrogenessi hai, magar aap donon iss ka carrier ho saktay hain, yaani apni babies mein yeh disease yaa iski carrier state pass kar saktay hain. Agar donon parents recessive disorder kay carrier hain, to phir har 4 mein say 1 baby ko disease ho gee (25%risk), aur kuch babies carrier ban jaaian gay, aur kuch ko nah disease ho gee, aur nah carrier banain gay. In other words, agar total 4 babies hon to unn mein say aik ko disease ho gee, aur baaqi 3 mein 2 carrier ho saktay hain ( meaning no disease but they can later on pass it to their own children if their future spouse is also a carrier), aur 1 baby nah carrier ho gaa, nah usko diease ho gee. Kehna ka matlab yeh keh, gee haan, aap aur aap kay husband normal sehat mand bacha deliver kar saktay hain. Even agar bacchha carrier bhee hoa, to aagay chal kar agar uski wife carrier nah hoe to koi problem nahin ho gee. Baharhaal aap koshish karain keh apna test karwa lain takeh aap ko apna risk ka andaza ho jae. Aap na apni jo social situation batai, apna aur apna husband say related, keh aap kay husband,aur kisi had tak aap bhee genetic testing say ghabra rahee hain. Daikha jae to aap donon ka darr aur khoff kisi had tak understandable hai, magar fact yeh hai keh agar aap aur aap ka husband donon hi achondrogenesis kay carrier hoa, tab bhee iss baat ka kaafi chance hai keh inshallah aap ka next baby normal ho gaa ( yaani usko disease nahin ho gee). Aur agar woh carrier bhee hoa to bhee agay chal kar woh inshallah apna babies mein yeh disease pass nahin kara gaa, agar uski future wife carrier nah hoi to. Iss lia agar aap ghor say daikhain to aap ki situation itni pareshan kun nahin jitni aap aur aap kay husband samajh rahay hain. ( mein nay yeh sentence bold mein iss lia likha hai, keh agar aap ko mera reply mein sirf aik baat yaad rakhni ho, to woh yeh baat yaad honi chahye).Aur rahee baat budgumani ki, to achondrogenesis ka carrier hona mein nah aap ka qusoor hai, nah aap ka husband ka... iss waqt aap donon ko aik doosray say badguman hona ki nahin balkeh aik doosray ko support karna ke zaroorat hai. Yeh to thay excerpts mera previous replies say, inko mein na aik jagah ikattha kar dia aap ka lia takeh aap parrh lain aur aap ki tension kam ho, fact yehi hai keh jab tak aap test nahin karwaian gee, aap issi darr aur khof mein ghiri rahain gee... aik martaba himmat kar keh test karwa lain, inshallah you will feel better. Jahan tak aap ka menses irregular hona ki baat hai, sirf 1 month Yaz use karna sa periods regular hona mushkil hai, in my opinion you will have to use it for a few months atleast. First cousins ka matlab hota hai parents kaa brothers aur sisters ka bacha. Autosomal recessive disoreders, jaisa achondrogenesis, unka risk cousin's marriages mein ziada hota hai, magar iska yeh matlab nahin keh har cousin marriage mein bachon mein abnormality ho. Most cousin marriages ka nateeja mein hona waala bachay normal hi hota hain. Mein aap ki situation samajh sakta hoon keh aap ka saath 2 martaba tragedy hoi hai, aur even future ka baaray mein bhee risk hai keh khudaa nah kara keh dobarah koi aisee waisee baat nah ho, magar yeh risk itna severe nahin jitna aap samajh rahee hain ( jaisa mein na ooper bhee bataya). Aap ka lia meri sincere advise yehi hai keh aap aur aap ka husband ko apna test karwa laina chahyein Allah ka naam lai kar, warna aap issi double minded situation mein rahain gee keh pregnancy plan karain yaa nah karain. Waisa to sab kuch allah Taala ka haath mein hai, magar test sa aap ko apna risk ka andaza ho jae gaa, phir aap aur aap ka husband khoob soch samajh kar faisla karain jo aap ko munasib lagay, magar test nah karwana aap ki pareshani ka solution nahin hai. Bohot saari doaian aur best wishes aap ka lia. Apna bohot khayal rakhain, aur stress sa bachain, otherwise aap ki health par asar parr sakta hai.
|