How To Develop Self-Esteem In Children Part-III
Descriptive Praise kaisay ki jati hay: 1-Parents bachay ki baat ki tareef piyaar beray andaaz main iss tara kertay hain Example #1 ….…..aaj main nay daikha hay kay aap nay mairay sath sabzi lanay main bohat madad kit hi, aap sabzi ko utha ker gher tak lay thay aur phir ussay kitchen main rakhnay main bhi mairi madad kit hi. Aur main nay yah bhi aaj daikha hay kay aap nay wapis aa ker hood hi hath dho liay thay aur mujay bilkul kahna nahi pera………. Example #2 ……..Main nay note kia hay kay aap nay aaj beri achhi tara say apna bister hood hi subah uth ker theek kia tha aur phir choti behan ki madad bhi thi iss ka kaam hatam kernay main…… 2-bacha iss tareefi andaaz ko sunnay kay baad apni tareef hood dil main kerta hay ……..wow mairi ammi nay mairi tareef ki hay kayounkay main bohat achha bacha houn, ab main ainda bhi ammi kay sath issi tara madad keroun ga aur mujay patta hay kay madad kaisay kertay hain kayounkay main samajdar hoon…………. Ab iss sari tafseel main daikhain kay maan nay bachay ko koi motay motay tareef kay alfaaz nahi kahay lakin iss kay bawajood bacha khoosh ha jata hay, aur na sirf khoosh hota hay balkay ainda kay liay bhi irada kerta hay kay main achay kaam keroun ga. Swaal yah hay kay aisa kayoun hota hay? Iss ka jwaab yah hay kay Iss kisam ki tareef bachay main khoodmukhtari aur aazadan sochnay ka hoosla paida kerti hay. Ussay lagta hay kay wo aik zimadaar aur samajdar insaan hay aur loag uss kay kamoun say khoosh hotay hain. Aur yahi baat us ski self esteem main izafay ki bunyaad banti hay. Jab bachay ki slahiyatoun per bharoasa kia jay tu wo hood apni slahiyat per bharoasa kerna shuru ker daita hay, aur apnay kaam shuru kernay, ya kisi ki madad kernay kay liay doosroun kay approval ki taraf nahi daikhta rahta. Aisay bachay kay ander ahista ahista itna aitmaad a jata hay kay wo hood hi apnay chotay chotay faislay kernay lagta hay aur iss baat kay qabil ho jata hay kay aapnay kiay gay faislay ko tabdeel ker sakay ya uss ko durust ker sakay. Aik Choata bachha ager aik drawing bana ker maan ko daita hay tu ussay yah na kahain kay ……yah beri acchi drawing hay ……..balkay drawing ki gai cheesoun ki baat kerain. Ussay batain kay aap nay yah gher tu bohat piyara banaya hay aur inn balloons main rang bhi kitnay achay bheray hain, haas toar per peela rang mujay bohat hi pasand aaya hay, mujay khooshi hay kay aap nay yah drawing banai hay wagaira wagaira………. Iss sab kay liay practice ki zaroorat hay: Parents iss baat per hamisha khoosh hotay hain kay bachha un ka DEPENDENT rahay aur her kaam kay liay un say aa ker ijazat laini ki zaroorat mahsoos keray. Aur iss kay sath sath wo yah bhi chahtay hain kay bachhay main sel esteem bhi ziada ho. Tu zahen main rakhain kay sirf DESCRIPTIVE PRAISE hi aisi cheese hay kay bachhay main self esteem aur self confidence tu beray ga hi lakin iss kay sath sath wo aap ko bhi hamisha apnay kamoun main poori ahmiyat day ga aur aap ki respect bhi keray ga.
|