sabat
|
Group: Members Joined: 15th May, 2008 Topic: 0 Post: 9 Age:
42
|
|
Posted on:22nd May 2008, 9:06pm |
|
|
dil ka amir, muqaddar ka ghareeb thamil k bicharna dost bas apna naseeb thaapna safar taweel huwa manzil na mil sakiqadmon mai uljha reh gaya rasta ajeeb thagulshan dayar-e-zeest ka weeran ker gayawo jis ki sada mai naghma-e-andaleeb tha ab iss
dil ka amir, muqaddar ka ghareeb tha mil k bicharna dost bas apna naseeb tha
apna safar taweel huwa manzil na mil saki qadmon mai uljha reh gaya rasta ajeeb tha
gulshan dayar-e-zeest ka weeran ker gaya wo jis ki sada mai naghma-e-andaleeb tha
ab iss qadr kiyun tang hui jati hey mujh per dunya ka tassavur to bahoat hi muheeb tha
na janey doston ne kiyun adawat se liya kaam ham ney to dua di usey jo apna raqeeb tha
kuch ker na sakey, ashyan jalta raha sabat kehney ko to darya bohat ghar k qareeb tha
by saim sabat. |
hamzi
|
Group: Members Joined: 24th Mar, 2008 Topic: 11 Post: 1070 Age:
28
|
|
Posted on:27th May 2008, 8:36am |
|
|
good write sabat Bazahir aam lehjay me kaha tha main ne jab us se "Badal" lo raasta apna
juda raahain yahin kar lo hamare chahne na chahne se kuch nahi hota
yehi sach hai k hum do mukhtalif raston k raahi hain tu phir keun dil ki mane hum shuru me manti hoon main azziyat dil ko pohanche gi magar phir waqt guzre ga sabhi zakhmon ko bhar de ga" Mere is aam se lehjay pe wo ik pal ko chonka tha meri ankhon me ankhain daal kar hairat se poocha tha
"Ye sab jo kah rahi ho khud ko ye samjha bhi paao gi"
Bht hi jee karda kar ke main us dam muskurai thi bht khud pe jabar kar ke main us se keh ye pai thi
"Meri tum fikr rehne do" sambhal jaon gi main khud hi sabhi zakhmon ko si loon gi bhula kar sari batoon ko akaili b main jee loon gi"
Bht hi be yaqeen ankhon se us ne mujh ko dekha aur Bina ik lafz bole wo gia or phir nahi aya aur ab tark_e_taalluq ko agarche umar beeti hai magar is dil pe us ki zaat ka jo naqsh qaaim tha kabhi dhundla nahi hota mujhe mehsoos hota hai keh jaisay mere kanon me wo apni bolti ankhon se sargoshi si karta hai
"Wo sab JO Keh Rahi THi" "Khud Ko Wo Sanjha B Pai Ho" ??. |
hamzi
|
Group: Members Joined: 24th Mar, 2008 Topic: 11 Post: 1070 Age:
28
|
|
Posted on:27th May 2008, 8:39am |
|
|
Aitebar sajid Us ney kaha mujh sey tumhain kitna piyar hey?? Main ney kaha sitaaron ka koi shumaar hey??
Us ney kaha key kon tumhain hey bohat azeez? Main ney kaha merey dil pey jisey ikhtiyaar hey
Us ney kaha kon sa Tohfa tumhain main doon? Main ney kaha woh shaam jo ab tak udhar hey
Us ney kaha khizan main mulaqat ka jawaaz...?? Main ney kaha key qurb ka matlab bahaar hey
Us ney kaha senkron gham zindagi main hain Main ney kaha key gham nahin jab ghamgusar hey
Us ney kaha saath kahan tak nibhaao gey...? Main ney kaha jitna yeh saanson ka taar hey
Us ney kaha mujh ko yaqeen aaye kis tarah Main ney kaha key naam mera aitbaar hey....
|
hamzi
|
Group: Members Joined: 24th Mar, 2008 Topic: 11 Post: 1070 Age:
28
|
|
Posted on:27th May 2008, 8:45am |
|
|
aik aur barayy dino se ha bekhabar wo jo meray pal pal se ba-khabar tha
kabhi main tooti to jorta tha wo meray kadmon pe doorta tha
main r00th jati manata mujh k0 tarah tarah se hansata mujh ko
kabhi bicharnay ki baat hoti....! to saadh leta tha chup hAmesha
wo jo akela chala nahi tha kabhi jo gham se dara nahi tha
kahan gaya wo? kidhar gaya wo?
wo shakhs jo bara ba-hunar tha...
baray dino se jo be khabar hay w0 mery PAl pal se ba khabar tha... |
hamzi
|
Group: Members Joined: 24th Mar, 2008 Topic: 11 Post: 1070 Age:
28
|
|
Posted on:27th May 2008, 8:46am |
|
|
aik aur barayy dino se ha bekhabar wo jo meray pal pal se ba-khabar tha
kabhi main tooti to jorta tha wo meray kadmon pe doorta tha
main r00th jati manata mujh k0 tarah tarah se hansata mujh ko
kabhi bicharnay ki baat hoti....! to saadh leta tha chup hAmesha
wo jo akela chala nahi tha kabhi jo gham se dara nahi tha
kahan gaya wo? kidhar gaya wo?
wo shakhs jo bara ba-hunar tha...
baray dino se jo be khabar hay w0 mery PAl pal se ba khabar tha... |
hamzi
|
Group: Members Joined: 24th Mar, 2008 Topic: 11 Post: 1070 Age:
28
|
|
Posted on:27th May 2008, 8:46am |
|
|
suno Raat ki gheri khamoshi main chupkay se dheemay se sergoshi main koi mujh se bola
suno! tum wohi ho na jo raat hotay he meri Ankhon mai utar aati ho meri aankhon mai jugnoon ki tarha roshan ho jati hai ek roshan taray ki tarha neendo main utar aati ho tum wohi ho na?
Main boli haan main wohi hon
Woh bola...bohut buri ho meri neenden ura ker khud chain se so jati ho |
hamzi
|
Group: Members Joined: 24th Mar, 2008 Topic: 11 Post: 1070 Age:
28
|
|
Posted on:27th May 2008, 8:47am |
|
|
HAWA..... Hawaa!!!
Tum janti hoo Sab k main ne raat k peechle pehhar chupke se sari dastaan tumko sunai thi tume tu yaad hi ho gi Tabhi... Jab Ashk meri baat k rastay mein haill thi Tabhi.. Jab laffz meri dard ki shidaad se ghail thay meri sochay jab uski chaap k peechay gai thi tu Hawa tumne hi mera bheega pallo sukhaya tha Hawa tum sun rahi thi na k jab usne kaha tha "Muntazir rehna main aoo ga!" Hawa...tum tu ghawaii hoo k tab se ab talaak in rastoo se meri anhko k diye poojne nahi paye Hawa tum tu ussi k rastoo se ho k aii hoo Hawa!!! Woh a raha hai na??? Hawa!!! bolo na chup kiun hoo??? |
hamzi
|
Group: Members Joined: 24th Mar, 2008 Topic: 11 Post: 1070 Age:
28
|
|
Posted on:27th May 2008, 10:38am |
|
|
aik shair YEH MEHROOMI NAHI PAAS-E-WAFA HAI KOI TERE SIWA DEKHA NA JAA'AY |
hamzi
|
Group: Members Joined: 24th Mar, 2008 Topic: 11 Post: 1070 Age:
28
|
|
Posted on:27th May 2008, 10:42am |
|
|
aik shair Zindagii To Kabkii Hogaye Hai Khamoshh Dil To Bus Adatan Dharakta Hai! ``` |
BeautyStar
|
Group: Members Joined: 16th May, 2007 Topic: 52 Post: 3586 Age:
27
|
|
Posted on:27th May 2008, 12:36pm |
|
|
Re: Hamzi (1 Shari 2 Versions) Zindagii To Kabkii Hogaye Hai Khamoshh Dil To Bus Adatan Dharakta Hai! ```
Zindagi tou kab ki routh gaey hai... Abb tou bas Dafnane ki rasam baqii hai...!
|
hamzi
|
Group: Members Joined: 24th Mar, 2008 Topic: 11 Post: 1070 Age:
28
|
|
Posted on:2nd Jun 2008, 7:25am |
|
|
good bs Ek shararat kertay hain
Aao mohabbat kertay hain
Hansti aankhoun se keh do
Dareya hijrat kertay hain
Kuch dil aisay hain jin per
Hum b hakumat kertay hain
Koi baat to hai mujh main
Dushman b izzat kertay hain
Zinda rehna hai dushwaar
Acha.. to himmat kertay hain
Waisay hotay nahee hain log
Jaisi chahat kertay hain
Aksar apnay aap se hum
Teri shikayat kertay hain |
hamzi
|
Group: Members Joined: 24th Mar, 2008 Topic: 11 Post: 1070 Age:
28
|
|
Posted on:2nd Jun 2008, 7:36am |
|
|
aik aur Vo Kehti Hay, Jaana Kuch Dinoon Se Boltay Kam Ho? Main Kehta Hoon, Kayii Dukh Bolney Se Rok Dety Hain
Vo Kehti Hay, Mujhay Yeh Soch Kar Batlao Main Kaisi Hoon? Main Kehta Hoon, Jaana Sochney Mein Waqt Lagta Hay
Main Kehta Hoon, Tumhein Darya Kinarey Kaisy Lagtey Hain? Vo Kehti Hay, Tumhein Bichrrey Sahary Kaisy Lagtey Hain?
Main Kehta Hoon, Mujhay Tum Hansti Gatii Achi Lagti Ho Vo Mujh Se Poochti Hay, Dard Se Darney Lagay Ho Kya?
Vo Boli, Raat Se Kya Baat Kartey Ho Akaily Mein? Main Bola, Dard Ki, Kuch Kuch Muhabbat Ki, Judayii Ki
Vo Boli, Chaand Kya Aata Hay Tum Se Chonchlein Karney? Main Bola, Haan Kabhi Sapnoon k Aangan Mein Utarta Hay
Vo Boli, Kon Aksar Yaad Aata Hay Udasi Mein? Main Bola, Kuch Puraney Raastey, Bachpan Aur Ek Larki
Vo Boli, Dard Ki Juziyaat Mein Parney Se Kya Behtar? Main Bola, Dard Ko Khush Khush Sahein Aur Kooch Kar Jayein |
hamzi
|
Group: Members Joined: 24th Mar, 2008 Topic: 11 Post: 1070 Age:
28
|
|
Posted on:2nd Jun 2008, 7:41am |
|
|
meri apni ghazal KABHI KHAYAL KE GHUNGHAT JO HUM UTHATE HAIN TO KHWAB BAN KE DULHAN RAAT BHAR SATATE HAIN
TERE WAJOOD KI KHUSHBOO MAHAKNE LAGTI HAI TERE WISAL KE LAMHAAT YAAD AATE HAIN
LARAZTE JISM KI CHADHTI UTATI SANSON MEIN TAMAAM FAASLE SHAB KE SIMAT SE JAATE HAIN
GUZARTE LAMHON SE KAR KE WASOOL SAARA KHIRAJ HISAAR-E-PAL MEIN SADI KA SURAGH PAATE HAIN
BADAN KI QAID AAZAD HO KE AB DANI CALO KI ROOH MEIN DUJE KI PHIR SAMATE HAIN |
hamzi
|
Group: Members Joined: 24th Mar, 2008 Topic: 11 Post: 1070 Age:
28
|
|
Posted on:2nd Jun 2008, 7:46am |
|
|
Main Dunya Main Nahin Hoon Ga Agar Saare Zamaane Main Hazaaron Laug Bhi Tum Se Mohobbat Karte Hoon
Tu Tum Itna Samajh Lena Ke Un Main Ek Main Bhi Hoon Agar Bilfarz Dunya Main Aik hi Shakhs Ho Aisa Jisay Tum Se Mohobbat Ho Agar Tum Janna Chaho to Wo Ek Shakhs Main Hoon Ga
Agar Saare Zamaane Main Milay Na Koyi Aisa Jisay Tum Se Mohobbat Ho Yakinan Phir Yehi Hoga
Main Dunya Main Nahin Hoon Ga |
hamzi
|
Group: Members Joined: 24th Mar, 2008 Topic: 11 Post: 1070 Age:
28
|
|
Posted on:2nd Jun 2008, 7:47am |
|
|
one my fav Ager Koi Pochay Tumsay Haal Ehwaaal Kaisa Hai? Kaisi Guzar Rahe Hai Faqat Itna Keh Daina Suno! Zindagii Mein Gum Hai Gum Mein Maza hai Aurr Mein Mazay Mein Hun :) |
hamzi
|
Group: Members Joined: 24th Mar, 2008 Topic: 11 Post: 1070 Age:
28
|
|
Posted on:2nd Jun 2008, 7:50am |
|
|
us nay phir pocha Us ne phir poocha meri khamoshi ka sabab, Is rangein duniya mein udasi ka sabab..
Is terha toot kay chahne ka sabab, yun apne dil mein Basane ka sabab..
Har lamha us ko sochne ka sabab, apne naam Se yun jorne ka sabab..
Bahoon mein rakhne ki tamana ka sabab, labon se choone ki tamana ka sabab..
Juda ho janay kay dar ka sabab, kho janay kay dar ka sabab..
Bichar janay kay dar ka sabab, bhool janay kay dar ka sabab..
kia kahoon mein...kia kehta bas yahi keh saka...Kay tum meri ho mujhay tum se mohabat hai |
friendly
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2007 Topic: 4 Post: 37 Age:
28
|
|
Posted on:2nd Jun 2008, 10:20am |
|
|
Judai ka waqt (*GHAZAL*) This is my own ghazal i hope u all like it.
The title of this Ghazal is judai ka waqt...
Na ji sakain gai tery bin bay hal kar dai gi yai tanhai
aay gi yad bohot teri her baat satay gi.
Na bhul paaon ga mulaqaton ko na teri har baton ko.
Dushwar ho jay ga sans layna na rok sakun ga aansuon(tears) ko.
wo tera muskra k baatien karna tera sharmana tarpay ga bohot.
kesi hai yai judai na jany kesa aaya hai yai waqt.
nahi yai bus mai k rok paaon mai tujhe.
bay hal kar day ga yai judai ka waqt mujhe.
yai judai ka waqt tarpay ga rulay ga her pal mai.
alvida karnay ki himat ab nahi hai mujh mai.
yahan per yai batana lazmi hai yai ghazal mai nai kisi k lye likhi thi (somebody special) but i am sharing with all of u. mai yai janna chahon ga k aap logon ko yai ghazal pasand ai hai k nae. Thanks your friend friendly |
|