Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

pakistani matrimonial
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Quran & Hadith Download
 
Warning: This Website is not for people less than 16 years of age. Please exit
 
forum new question
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
New Topics (General)
Recent Reply (General)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

Poetry: Post Your Poetry Here

Urdu
 
 
hamzi Group: Members  Joined: 24th Mar, 2008  Topic: 11  Post: 1070  Age:  28  
Posted on:18th May 2008, 7:44am
 

usay kehna

Usay Kehna...
Wo jo bare sukh main hay
Usse kehna
K raat ka pichhla peher hay
Aur hum jagte hain
Hamari aankhon se neend koson dur hay
Hamare lab abhi tak Us k naghme gungunate hain
Hamara zehen ab bhi Uski baaten sochta hay to
Kabhi hum hans dete hain
Kabhi g bhar k rote hain
Shab-e-tanhayi ki yakh basta hawao
Usse kehna
Hum ab bhi ba wuzu ho ker Tumhara naam lete hain
Usse kehna ya apna naqsh dho jaye
Ya phir se apna ho jaye...
hamzi Group: Members  Joined: 24th Mar, 2008  Topic: 11  Post: 1070  Age:  28  
Posted on:20th May 2008, 9:50am
 

tumhain main yad atin houn

tumhein kis ne kaha pagli tumhein mein yaad kerta hun,,
ke mein khud ko bhulnay ki musalsal justaju mein hun,,
tumhein na yaad aanay ki musalsal justaju main hoon,,
mager yeh justajoo meri bohat nakaam rehti hai,,
mere din raat main abb bhee tumhari shaam rehti hai,,
mere lafzooN ki her maala tumharay naam rehti hai,,
tumhein kis ne kaha pagli tumhein mein yaad kerta hoon,,
poorani baat hai jo log akser gungunatay hain,,
ounhain hamm yaad kertay hain jinhein hamm bhool jatay hein,,
ajab pagal si lerki ho,,
meri masroofiyat daikhoo,,
tumhein dil se bhulaooN tu tumhari yaad aaye na,,
tumhein dil se bulanay kee mujhay fursat nahin milti,,
aur iss masroof jeewan mein,,
tumhaaray khat ka ikk jumla,,
“tumhein mein yaad aati hooN ?”
meri chahat ki shiddat mein kami honay nahin daita,,
bohat raatein jagata hai mujhay sonay nahin daita,,
so agli baar apnay khat mein yeh jumla nahin likhna,,
ajab pagal si larki hai mujhay phir bhee ye likhti hai,,
mujhay tum yaad kertay ho,,
Tumhain mein yaad aati hun...
hamzi Group: Members  Joined: 24th Mar, 2008  Topic: 11  Post: 1070  Age:  28  
Posted on:20th May 2008, 9:57am
 

main nay us ko yahin khoya tha

"Sar-e-mehfil..!

Kahin Jo Mil Jaye

Uss Say Kehna..

Ke Tera Matlaashi

Aaj Bhi Reh-guzar Pey Baitha Hai..

Aur..Wahin Say Guzarney Waalon Ko

Tera Huliya Bata Ke Kehta Hai..

"TUM NE ISS KO KAHIN DAIKHA HAI..??

MAINEY USS KO YAHIN KHOYA THA..."
hamzi Group: Members  Joined: 24th Mar, 2008  Topic: 11  Post: 1070  Age:  28  
Posted on:20th May 2008, 10:01am
 

my fav

suno!
jab loug pochtay hain
kay kon hai jo
tumhare lafzoun main bolti hai
to kia kahoun
unse?
wohi
jo her call per
'I Miss You'
keh ker
Mughy bhool jati hai!
hamzi Group: Members  Joined: 24th Mar, 2008  Topic: 11  Post: 1070  Age:  28  
Posted on:21st May 2008, 4:38am
 

ATHWAAN DIN (Adhoori Mohabbat Ki Ek Nazm)

Peer Ki Shab Aankhoun Mein Kati
Mangal Aya, Tum Nahi Aye
Budh Ko Mein Saj Ban Kar Bhaiti
Aankhein Bhi Dehleez Per Rakhein
Lamha Lamha Gin Gin Kata
Gounj Utha Dil Ka Sannata
Jumerat Ki Raat Ko Sajna!
Meine Suna Tumne Ana Hai
Dil Ne Kaha, Yeh Afsana Hai
Daikh Lia? Phir Tum Nahi Aye
Phail Gaye Yadoun Ke Saye
Juma Aya
Apne Ander Ki Larki Ko
Ahista Ahista Jagaya
Khushbo, Ghaza, Mehndi, Kajal,
Kangan, Bindiya, Jhumke, Payal
Jo Khuch Mere Pass Tha Janum!
Khoob Rachaya, Khoob Sajaya
Dhal Gaya Laikin Din Ka Saya
Hafta Aya
Khuch Bhi Na Paya, Aankhein Hi Kia
Dil Pathraya
Aur Itwar Ko
Ek Dastak Ne
Mere Andar Ke
Saray Arman Jagaye
Dil Mein Jo Murjhaye Hoye Thy
Phool Khilaye
Doorr Ke Darwaze Tak Pohanchi
Kaan Lagaye
Koe Na Bola, Koe Na Bola
Mein Pohanchi, Darwaza Khola
Koe Nahi Tha
Jagti Aankhoun Ka Sapna Tha
Wo Sapna BHi Tout Gaya
Dil Apna Bhi Tout Gaya
Dil Touta Tou Yaad Aya, Haan
Tumne Kia Tha Wada Mujhse
Athwain Din Ka
Athwaan Din Kab Aya Janam!
Tum Naam Batao Athwain Din Ka
Ya Phir Meri Baat Suno!
Ashkoun Ki Barsaat Suno!
Ayo Suno Ke Meine Janam!
Bannana, Sawarna Chor Dia Hai
Tumse Pyar Hai Ab Bhi Laikin
Tumse Mohabbat Ka Dam Bharna Chor Dia Hai
Jeena Seekh Lia Hai Meine
Rooz Ka Marna Choor Dia Hai!!
hamzi Group: Members  Joined: 24th Mar, 2008  Topic: 11  Post: 1070  Age:  28  
Posted on:21st May 2008, 4:38am
 

Juda tmse nahi hona....!!!

Bicharnay aur judai main zara sa farq hota hai

juda ho kar pher kise se koe nahi milta

bichar jaen tu milnay ka koe imkan rehta hai

juda ho kar kise ki yaad dil main reh nahi sakti

bichar jaen tu dil main ek diya jalta he rehta hai

juda ho kar kise ka piyaar dil main reh nahi sakta

bichar jaen tu dil main bus usi ka piyaar rehta hai

tu pher aay humsukhan meray tu mera faisala sun le

mujhay tum se bicharna hai,juda tum se nahi hona
hamzi Group: Members  Joined: 24th Mar, 2008  Topic: 11  Post: 1070  Age:  28  
Posted on:21st May 2008, 4:46am
 

ik pal

~Tujhe Bhoolne ke liye ik pal hai kafi hai...

wo ik pal, jisse hum maut kehte hein!~

hamzi Group: Members  Joined: 24th Mar, 2008  Topic: 11  Post: 1070  Age:  28  
Posted on:21st May 2008, 4:47am
 

one of my fav

Samander Poochta Hai Ab Wo Dono Kyon Nahi Attey
Wohi Donno Jo Bhegi Reet Per
Ek Dosarey Ka Haath Thammay Duur Taak
Kabhi Hansttey,Kabhi Kuch Gungunattey
Ya Kabhi Chup Chap Baithey Duur Ufaq Ki Goodh Main
Ropposh Honay Walla Sooraj Dekhtey
Ansoo Bhahattey Loat Jattey!
Samander Poochta Hai Ab Wo Donno Kiyu Nahi Attey??
Jo Attey Thay To Apnay Saath Kitnay Khwab Lattey Thay
Kabhi Sahil Say Dhero Seepiyaa Chunttey Thay
Nangay Paoo Pani May Challey Attey Thay
Bhegi Reet Say Nannay Gharondhay Bhi Banattey Thay
Aur Unmay Seepiya,Rangeen Say Kuch Sangreezay Yu Sajattey Thay
Kay Jaisay Aj Kay Jugnoo say Lamhay
Anay Walley Kal Ki Moothhi May Chupattey Thay!
Samander Poochta Hai Ab Wo Donno Kiyu Nahi Attey
Mager Samander Ne Khiza Ki Siskiya Laiti Hui
Ek Shaam Ko Wo Nau-jawan Ko Dekha
Jo Dair Tak Tanha Sar-e-Sahil Baitha Raha
Phir Ussnay Dher Sarey Khat
Bohut Se Sookhay Phool Aur Tasveeray
Aur Apnay Akhri Ansoo
Samander Kay Hawalley Ker diye .....
hamzi Group: Members  Joined: 24th Mar, 2008  Topic: 11  Post: 1070  Age:  28  
Posted on:21st May 2008, 5:03am
 

mughay tum say muhabat hai

kisi kamzor lamhey mein
agar mein tum se ye keh doon
mujhey tum se MUHABBAT hey
to ye mat samjh lena
k mein ne sach kaha ho ga...
aisy dil nashee'n bato'n ko
pairaye mein kehna
mujhey bachpan se aata hey...
meri aankhein, mera chehra
mera ye bey saakhta lehja
ye sab jhoot kehta hey..
par is jhoot mein ek sach bhi hey...
MUJHEY TUM SE MUHABBAT HE..!!!
hamzi Group: Members  Joined: 24th Mar, 2008  Topic: 11  Post: 1070  Age:  28  
Posted on:22nd May 2008, 4:38am
 

aik sair

Bas Ak Yea Bat Nahi BholTi Us Ki !ATIF!
Wo Jo Bat Bat Pe Kehti Thi ''Bhol Jaongi Tumhen''
hamzi Group: Members  Joined: 24th Mar, 2008  Topic: 11  Post: 1070  Age:  28  
Posted on:22nd May 2008, 4:43am
 

AIK JAISA MUQALMA

Bicharte lamhon main
us ne mujh se kaha Tha dekho

"Hamari Rahain juda juda hain
magr hamin aik dosre ka
khiyal rakhna hai zindagi bhar
kisi b lamha udasiuon ki
Fasil hail na hone dena
hawa k hathon pe likhte rehna
judauon k tamam Qisse
Qadam Qadam pe jo paish Aain
wo saa-nhe b nazar main rakhna

main Jab b laota
to apne Honton ki Tazgi ko
Tumhari bujhti howi
Ankhon main la rakhon ga
Jo mere Apni hain Sirf Mre

Bicharte lamhon main us ne mujh se
Na jaane kiya kuch kaha suna tha

Aur ab
usse b yahi kahe ga
Wo jis k Hathon main Hath daale
Naye safar pr nikal para hai

hamzi Group: Members  Joined: 24th Mar, 2008  Topic: 11  Post: 1070  Age:  28  
Posted on:22nd May 2008, 4:52am
 

almiya

Uss ka maa'mool tha,
phool walay se jub bhi...
wo haar aur gajray bnany ko kehta,,
tou............
phoolon k rung aur tanasub,
k baray mein TAQRAR krta...!


EK din phool walay ne poocha,
bhala kon se phoolon ka haar bnwaen ge??
uss ne bharrai hui awaz mein sirf itna kaha,
BUS...........mjhe
AAJ......kuch....
kuch phool dy dijiye!!!
hamzi Group: Members  Joined: 24th Mar, 2008  Topic: 11  Post: 1070  Age:  28  
Posted on:22nd May 2008, 4:55am
 

mohabat ki bat

Baat thi mohabbat ki.........

Baat thi mohabbat ki..
umar bhar ki chaht ki..
Bheer main zamaney ki....
Saath Saath chalna tha...
Imtehan bhi anay they..
Zinadagi k sab hi pal saath hi bitaney they..
Janey tum nai kia socha, Bus ik pal main youn tum nai..
baat khatam ker Daali...
Zindagi jo poori thi, Wo khatam ker dali..
Per kon tum ko Samjhaey, K mohabbat k mosam bhe...
Roz to nahi atey...
youn zindagi main apno'on ko..
CHOR to nahi jate......!!!!!!!!!!!!!!!
hamzi Group: Members  Joined: 24th Mar, 2008  Topic: 11  Post: 1070  Age:  28  
Posted on:22nd May 2008, 4:56am
 

Bachpan K Dukh

Bachpan kee dukh kitny ache hote the

Tab dil nai khilony tota kerty thy

Wo khushian bee jany kasi khushian thein

Titli pakr ker uchla kerty the

Choty the too maqr _ o_faraib bee choty the

Dana dal kar chirian pakra kerty the

Apne jal jany ka bee ehsas na tha

Jalty sholoon ke teraf lapka kerty the

Ab ek ansoo bee giry to ruswa ker deta hai

Bachpan main too ge bhar ker roya kerty the....
hamzi Group: Members  Joined: 24th Mar, 2008  Topic: 11  Post: 1070  Age:  28  
Posted on:22nd May 2008, 5:00am
 

SUBHA BUKHAIR

Soraj Daikhnay Wali Aankhain


Mehnat Karnay Walay Haath


Jaltay Thaktay Nangay Pair


Achay Logoooo........!!!!!!!


Subh Bakhair..............................!!!!!!!!!!!!!!!!!

hamzi Group: Members  Joined: 24th Mar, 2008  Topic: 11  Post: 1070  Age:  28  
Posted on:22nd May 2008, 6:29am
 

Muhabat Aur Kahani

Tumhein Kaisy Batayein Hum
Muhabbat Aur Kahani Mein Koi Rishta Nahi Hota
Kahani Mein
To Hum Wapis b Atay Hain
Muhabbat Mein Palatney Ka Koi Rasta Nahi Hota
Zara Socho!
Kabhi Dil Mein Kharashein Daltii Yaadon Ki Saffakii
Kabhi Daman Se Liptii Hay
Kisi Bhooli Hui Saa'at Ki NumNaaki
Mujhay Dekho...
Mery Chehrey Par Kitnay Mausamon Ki Gard Hay
Aur Iss Gard Ki Teh Mein
Samay Ki Dhoop Mein Rakha Hua Ek Aayina
Aur Aayiney Mein Taa Hadd-e-Nazar Tak Phaily
Muhabbat k Sitarey Aks Ban Kar Jhilmilatey Hain
Nayii Duniyaoon Ka Rasta Batatey Hain
Lakeeron Mein Kahani Hay
Kahani Aur Muhabbat Mein Azal Se Jung Jari Hay
Muhabbat Mein Ek Aisa Morr Ata Hay
Jahan Aa Kar Kahani Haar Jati Hay
Kahani Mein To Kuch Kirdaar Hum Khud Farz Kartay Hain
Muhabbat Mein Koi Kirdaar b Farzii Nahi Hota
Kahani Ko Kayii Kirdaar
Mil Jul Kar Kahin Aagay Chalatey Hain
Muhabbat Apney Kirdaron Ko Khud Aagay Barhatii Hay
Kahani Mein Kayii Kirdaar Zinda Hi Nahi Rehtay
Muhabbat Apney Kirdaron Ko Marney Hi Nahi Deti
Kahani k Safar Mein
Manzaron Ki Dhool Urrti Hay
Muhabbat Ki Musafat RaahGeeron Ko Bikharney Hi Nahi Deti
Muhabbat Ik Shajar Hay
Aur Shajar Ko Iss Se Kya Matlub
k Iss k Saye Mein Jo b Thaka Haara Musafir Aa k Baitha Hay
Ab Iss Ki Nasl Kya Hay, Rung Kaisa Hay
Kahan Se Aaya Hay Kis Simt Jana Hay
Shajar Ka Kaam To Bas Chhaon Dena
Dhoop Sehna Hay
Isay Iss Se Garaz Kya Hay
Parrao Dalney Walon Mein Kis Ne
Chhaon Ki Taqseem Ka Jhagrra Uthaya Hay
Kahan Kis Ehad Ko Torra, Kahan Waada Nibhaya Hay
Magar Hum Jantey Hain
Chhaon Jab Taqseem Ho Jaye
To Aksar Dhoop k Naizey
Rag-o-Pay Mein Utartey Hain
Aur Iss k Zakhm Khurda Log
Jeetay Hain Na Martay Hain...!!!
hamzi Group: Members  Joined: 24th Mar, 2008  Topic: 11  Post: 1070  Age:  28  
Posted on:22nd May 2008, 4:19pm
 

Ankhein Bheeg Jatin Hain

suno!!

Us se kehna k "hum khush heyn"

Bus

Un ki yaadeyn sataatee heyn

Unki doori ka gham nahi mujhe

Bus

Zara

Palkeyn bheeg jaati heyn...!!
hamzi Group: Members  Joined: 24th Mar, 2008  Topic: 11  Post: 1070  Age:  28  
Posted on:22nd May 2008, 4:22pm
 

tum chupkay chupkay roo laina

Jub Barish Chehra Dho Daley
Aur Ashk Bhi Boondein Lagtey Hoon
Woh Lamha Hergiz Mat Khona
Aur Chupkey Chupkey Roo Lena

Yeh Dunya Zalim Dunya Hai
Yeh Baat Bohoot Phailaye Gi
Tum Samney Sub Ke Chup Rehna
Aur Chupkey Chupkey Roo Lena

Jub Seena Ghum Se Bojhal Ho
Aur Yaad Kisi Ki Aati Ho
Tub Kamrey Main Bund Ho Jana
Aur Chupkey Chupkey Roo Lena

Jub Aankhein Baghi Ho Jaein
Aur Yaad Main Meri Bhar Aaein
Phir Khud Ko Dhuka Mat Dena
Aur Chupkey Chupkey Roo Lena

Jub Pulkeen Kerb Se Mondi Hoon
Aur Sub Sumjhein Tum Sotey Ho
Tub Mon Pe Takya Rakh Lena
Aur Chupkey Chupkey Roo Lena
hamzi Group: Members  Joined: 24th Mar, 2008  Topic: 11  Post: 1070  Age:  28  
Posted on:22nd May 2008, 4:23pm
 

my fav

janay us shakss ko kesa ye hunar ata hai
raat hoti hai to aankhon mein utr ata hai
mein us K khayaal se nikloon to kahaan jaon
wo meri soch K hrr rastey pe nazar ata hai
hamzi Group: Members  Joined: 24th Mar, 2008  Topic: 11  Post: 1070  Age:  28  
Posted on:22nd May 2008, 4:28pm
 

A master piece by wasi shah

truly depicts the felings of a person ditched in life by some one

Tum Meri Ankh K Taiwar Na Bhula Paoogi
Ankahee Baat Ko Samjhoogi To Yaad Aonga

Ham Ne Khushyon Ki Tarah Dukh Bhi Ekathe Dekhey Hain
Safah-e-zist Ko Paltoge To Yad Aoonga

Isi Andaz Mein Hote The Mukhatib Mujh Se
Khat Kisi Or Ko Likhoge To Yad Aoonga

Sard Raton K Mahkate Hue Sannaton Mein
Jab Kisi Phul Ko Chumoge To Yad Aoonga

Ab Tere Ashk Main Honthon Se Chura Leta Hun
Hath Se Khud Unhen Ponchoge To Yad Aoonga

Shal Pahnayega Ab Kon Decembar Mein tumhen
Barishon Mein Kabhi Bhego Ge To Yad Aoonga

Aj Tum Mahfil-e-yaran Pe Ho Magrur Bahut
Jab Kabhi TOt K Bikhroge To Yad Aoonga

Hadse Ayenge Jiwan Mein''To Tum Ho k Nidhal
Kisi Diwar Ko Thamoge To Yad Aoonga

Is Mein Shamil Hai Meri Bakht Ki Tariki Bhi
Tum Siyah Rang Jo Pahnoge To Yad Aoonga...!!

For More Detail Click On Page No: 1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13  >>
 
 
 
Pakistani Driver Honesty In Dubai  Medical School Admission Story  Bangladeshi Community Celebrating Canada Day In Toronto

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 30th May 2014