pinky7861
|
Group: Members Joined: 06th Oct, 2007 Topic: 44 Post: 1348 Age:
|
|
Posted on:15th Jan 2008, 10:24pm |
|
|
haa-aay allah beautystar kia ho gaya hay?/ kahin aap ko mohabat wagaira ka masla la-haq tu nahi ho gaya?? aalah aap kay nazuk say dil per raham fermaaay. ameen. waisay main nay aik bhi poem nahi perhi per aap kay bayshumaar submissions say lagta hay kay mamla gher ber hay.
Yah KANGAN kia Wasi sha ka hay??? mujay yah nazm/jo bhi hay, bohat pasand hay. batana zaroor. |
sunehri76
|
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 100 Post: 4647 Age:
38
|
|
Posted on:15th Jan 2008, 10:29pm |
|
|
@usko chaha us ko chaha tu bohat mager wo mila nahi lakh koshish ki mager faasla mita hi nahi us ko zamany nay majbur is qadar kardia meri kisi sada pay wo tehra hi nahi khuda se jholi phela phela k manga usay khuda nay meri is dua ko suna hi nahi har kisi se puchha sabab us k na milny ka har aik nay kaha wo tery liye bana hi nahi |
sunehri76
|
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 100 Post: 4647 Age:
38
|
|
Posted on:16th Jan 2008, 12:36am |
|
|
sochain Purani batain zakham apne apni yadain Azab-e dill zara kam hon to sochain
Tumahari bat agar sach ho to kaho Meri wazahat agar ghalat ho to sochain
Mai wahi hun jo tere MUskurane par khush hun Tumhare lye Seetare bhi gar kam hon to sochain
Kabhi agar apne Zameer se ho teri baat Meri taraf sey kehna ke kuch sochain
Pyar ko kamzoori samajhna kam zarfee hai mere Pyar ko taqat agar samjho to sochain |
BeautyStar
|
Group: Members Joined: 16th May, 2007 Topic: 52 Post: 3586 Age:
27
|
|
Posted on:27th Jan 2008, 1:01pm |
|
|
Tum Kiya Jaanoo ???
*~Tum Kia Jaano ~*
Tum Kiya Jaano Main Khuda Se Kiya Maangta Hoon
Tumhari Salam-ti Ki Hamesha Duaa Mangta Hoon
Agar Anjaane Main Ho Jaaye Koi Tumse khata
Tou Do Mujhe Uski Saza Ye Maangta Hoon
Agar Lag Jaaye Koi Chot Tumko Ya Ho Jaaow Tum Pareshaan
Tou Meray Haq Main Wo Saari Takleefein Maangta hoon
AiY KHUDA Meray Dost Ko Gham Se Door Rakhna
Din Raat Tumhaaray Saaray Gham Maangta Hoon
Tum Ho Hamesha Kaamyaab Tumhaari Her Khwaahish Ho Poori
Buss Ye Chaahta Hoon Aur Tumhari Khushi Maangta Hoon
Main Jaanta Hoon Ke Tum Mayray Nahin Ho Lekin
Main Hamesha Khuda Se Tumhaara Saath Maangta Hoon
|
BeautyStar
|
Group: Members Joined: 16th May, 2007 Topic: 52 Post: 3586 Age:
27
|
|
Posted on:27th Jan 2008, 1:02pm |
|
|
Tum Kiya Jaanoo ???
*~Tum Kia Jaano ~*
Tum Kiya Jaano Main Khuda Se Kiya Maangta Hoon
Tumhari Salam-ti Ki Hamesha Duaa Mangta Hoon
Agar Anjaane Main Ho Jaaye Koi Tumse khata
Tou Do Mujhe Uski Saza Ye Maangta Hoon
Agar Lag Jaaye Koi Chot Tumko Ya Ho Jaaow Tum Pareshaan
Tou Meray Haq Main Wo Saari Takleefein Maangta hoon
AiY KHUDA Meray Dost Ko Gham Se Door Rakhna
Din Raat Tumhaaray Saaray Gham Maangta Hoon
Tum Ho Hamesha Kaamyaab Tumhaari Her Khwaahish Ho Poori
Buss Ye Chaahta Hoon Aur Tumhari Khushi Maangta Hoon
Main Jaanta Hoon Ke Tum Mayray Nahin Ho Lekin
Main Hamesha Khuda Se Tumhaara Saath Maangta Hoon
|
BeautyStar
|
Group: Members Joined: 16th May, 2007 Topic: 52 Post: 3586 Age:
27
|
|
Posted on:27th Jan 2008, 1:25pm |
|
|
Agar who farishta ho na farishtey jaisa ho.....
Agar who farishta ho na farishtey
jaisa ho
Mujhey talash hai uski jo merey jaisa ho
Merey khulus ko pehchanta ho bus kafi hai
Who koi bhi ho, kahin bhi ho, kesa bhi ho
Meri khatir marney ka hosla bhi rkhta ho
Agar kabhi rooth jaoon mein us sey to
Muskra key manayee, woh aisa ho
Jo baat karey to woh nibha bhi sakey
Iradon mein woh apney chatanon jaisa ho
Dukhon mein hansney ka hunar janta ho
Ik aisa hamsafar jo samandar kitarah gahrah ho
Us key pyaar ki thandak ho merey liye aisi
Key woh to bilkul aasman key chand jaisa ho
Woh sirf mera ho, jo nigahon mein haya rakhta ho
Umar bhar saath chalney ka azam-e-wafa rakhta ho
Jo khwab deney ko qadir ho meri aankhon ko
Meri mohabbat ko pehchan sakay woh aisa ho
|
BeautyStar
|
Group: Members Joined: 16th May, 2007 Topic: 52 Post: 3586 Age:
27
|
|
Posted on:27th Jan 2008, 1:26pm |
|
|
Mujhe aur jeeney ki bad’dua na do…!
Aa ker tum khuwaaboon ko mere
jagah na do,
Tarapte dil ke dard ki yunh dawa na do,
Duniya ke ghum soonp ker mujhe,
Ab khush rehney ki dua na do,
Dikhla ker mekhaney ka rastaa phir,
Ab-e-zam zam ki sada na do,
Kaantey bhar ker merey daaman mein,
Mujhe pholoon ki si adaa na do,
Mila ker zeher merey ja’am mein,
Mujhe be-wajah maut ki wajah na do,
Gunaah jo sarzad hua hee mujh se,
Pal pal be gunaahi ki saza na do,
Badnaam ker ke uss ki galiyoon mein ab,
Uss ke aashyaaney ka tumhee pata na do,
Mohabbat kertey hein, dikhana nahi jaantey,
Ilzaam magroori ka de ker ye sila
na do,
Jala rakha hai ummeedoon ka diya sadyoon se,
Pal bhar ki khalish se isey bujha na do,
Mein ek na cheez sahee kisi ke dil ka hisssa hoon,
Mujhe yunh sufha-e-hasti se mita na do,
Zaib nahi deta mujhe mohabbat ka husool,
Nafrat hee sahee,tark-e-talluq ki magar hawa na do,
Cheen ker mujh se zindagi meri,
Mujhe aur jeeney ki bad’dua na do…!
|
BeautyStar
|
Group: Members Joined: 16th May, 2007 Topic: 52 Post: 3586 Age:
27
|
|
Posted on:27th Jan 2008, 1:28pm |
|
|
Kuch Log Badal Gayee Hain....!
Alfaz k jhootay BANDHAN me,
Aghraaz k gehray PARDON me,
Her shakhs MOHABAT kerta ha...
Haal‘aan‘k Mohabat KUCH B NHI!!!
Sub jhootay RISHTAY naatay hain,
Sub DIL rakhnay ki baatain hain,
Kub KON KISI ka hota ha,
Sub asli ROOP chhupaatay hain!
EHSAAS se khaali log yahaan!
Lafton k TEER chalaatay hain!
Ek baar NAZAR me aa k WO!
Phir saari UMR rulaatay hain
Is Raat Ki...Tanhayeeon K
Sab Rang Badal Gaye Hain
Chand Nikla Hai Waisay He
Andharay Badal Gaye Hain
Jin K Bharosay Theen Khushian
Woh Badal Thahar Gaye Hain
Manzilain To Ab Bhi Woh He Hain
Kuch Rastay Badal Gaye Hain
Jin Pe Kiya Tha Bharosa Hum Nay
Woh Dost Bichar Gaye Hain
Dekhay Thay Jo Hum Nay
Woh Khuwab Badal Gay Hain
Jo Banay Thay Kabhi Humsafar
Aaj Woh He Mukar Gaye Hain
Iss Tutay Huay Dil K Saray
Jazbaat Badal Gaye Hain
Na Badla Kabhi Zamana
Na Badley Zamane Ke Khayal
Bas Rona Hai Yehi
Kuch Log Badal Gayee Hain
|
BeautyStar
|
Group: Members Joined: 16th May, 2007 Topic: 52 Post: 3586 Age:
27
|
|
Posted on:27th Jan 2008, 4:25pm |
|
|
meri jeet, meri haar ho tum... gaye dinon ki bahar ho tum jo lut gaya wo qarar ho tum
jo meri nigahon peh cha gaya tha wohi to pehla khumaar ho tum
junoo(n) k hotey, tarap k hotey bikhar gaya jo woh piyar ho tum
meri aankhon mein basney wala gehrey dukh ka ghubaar ho tum
pehli baar jis k taar charey woh khubsurat sitaar ho tum
bey qarari k jungalon mein meri wajah-e-qarar ho tum
paa ker hai jis ko mein ne khoya woh mera pehla piyar ho tum
yaadain jis ki mere gham bhula dain woh dukhon ki raah-e-faraar ho tum
sood-o-zayaan k is nagar mein meri jeet, meri haar ho tum
|
BeautyStar
|
Group: Members Joined: 16th May, 2007 Topic: 52 Post: 3586 Age:
27
|
|
Posted on:27th Jan 2008, 4:36pm |
|
|
Bholley sai zuban par mera naam lati to ho gi
Door to hai lakin usey mere yaad to aati ho gi Chand lamhoon kai liey mujh main kho jati hoo gi Khoya sa rehta hoon us kai sapno main Kabhi khayalon main mujhey pass bitathi to ho gi Jal raha hoon us kai intizar main jaisey Koi shama mere intizar main jalati to ho gi Kattey hain mere din us ki yaad main jis tarah Judai ki har raat usey satati to ho gi Ward kerta rehta hoon us kai naam ka har pal Bholley sai zuban par mera naam lati to ho gi..!
|
BeautyStar
|
Group: Members Joined: 16th May, 2007 Topic: 52 Post: 3586 Age:
27
|
|
Posted on:27th Jan 2008, 4:40pm |
|
|
Baigham-e-Dard
Raat
Aayi Dard Ki Chaadar Liye Hue
Soye Rahe Yeh Bojh Palkon Par Liye Hue
Raaste Mein Mujhko Be-Ghar Dekh Kar
Dost Aaye Hai Haath Mein Patthar Liye Hue
Aaj Uske
Samne Jayenge Hum
Apne Hi Haathon Mein Apna Sir Liye Hue
Meri Aankh Umer Bhar Hasti Rahi
Ek Suhane Khwaab Ka Manzar Liye Hue
Log Aapas Mein Gale Milte Rahe
Aastinon Mein Chhupe Hue Khanzar Liye Hue
Gardishein To Ek Bahana Thi Magar
Khwaahishein Phirti Rahi Dar Dar Liye Hue
Teri
Raah Takte Rahe Par Tu Nahi Aayie
Baithe Rahe Teri Mehfil Mein Khali Jaam Liye Hue
Dhalti Dikh Rahi Hai Zindagi Ki Ghadiyaan
Koi Aa Raha Hai Haathon Mein Maut Ka Paigham Liye Hue
|
nadeem AOL
|
Group: Members Joined: 26th Nov, 2007 Topic: 8 Post: 265 Age:
31
|
|
Posted on:27th Jan 2008, 6:31pm |
|
|
Teri Aankhon Main Yeh ....... I didn't know that a topic regarding poetry has already been started before, I started new topic today because i saw some posts people are sending individually. Now, what i wrote there, m putting that over here.
My class mate in B.com told me this ghazal when he was in love with my another female classmate, i don't know the writer's name but i still remember this ghazal after 3 years when he told me. Their love story has come to an end, as it always (most of the time) happens, seperating them and engaging them on different places 3 months before. It's in rememberance of their 2 years & 9 months long love story.
Teri Ankhon main yeh anjan mohabbat kaisi,
Dil ka derwaza khula to ijazat kaisi,
Choo k dekha bhi nahein, haath lagaya bhi nahein,
Jism kaisa, meri bahoon main to saya bhi nahein,
Bhar gaee ragon main phir bhi yeh hararat kaisi,
Teri aankhon main yeh anjan mohabbat kaisi.
Ik dil or dharakta hay meray seenay main,
Ik soorat or nazar aati hay aaenay main,
Teray hotay huway apni zaroorat kaisi,
Teri aankhon main yeh anjan mohabbat kaisi,
To na' milta to kahan mujh sa faraqi rehta,
Tujhay lotaoun to kuch na main baqi rehta,
To meray payar ki poonji hay amanat kaisi,
Teri aankhon main yeh anjan mohabbat kaisi,
Dil ka derwaza khula to ijazat kaisi. |
pinky7861
|
Group: Members Joined: 06th Oct, 2007 Topic: 44 Post: 1348 Age:
|
|
Posted on:27th Jan 2008, 9:03pm |
|
|
hmm lagta hay kay mohabat ki baymaari kafi logoun ko hoti ja rahi hay. |
nadeem AOL
|
Group: Members Joined: 26th Nov, 2007 Topic: 8 Post: 265 Age:
31
|
|
Posted on:28th Jan 2008, 6:24am |
|
|
Pinky Auntie jee !! Salam to you Auntie jee !!
Jay aseen ais terha diyan chotiya chotiyan beautiful ghalatiyan na kerye tay sahnoon nikka kon akhay ga jee ?? Waisay ay bara suaddi kem hay jee, hehehhehehehehe....... main tay bari der pehlon hi chadd ditta si per aj pata nahein kiun oos premee joray di yad aa gai tay main thora jiya dil hola karan wastay ay likh chaddeya. Waisay tuhanno kaisi laggi ghazal ????
Tuadda Nikka,
Jionday rahwo. |
BeautyStar
|
Group: Members Joined: 16th May, 2007 Topic: 52 Post: 3586 Age:
27
|
|
Posted on:18th Feb 2008, 12:52pm |
|
|
Re: Pinky7861 Yah Beemari tou sab ko hi lagtey hai .... bas kisi ko Shadi se pehley aur kisi ko Shadi k baad... aur kisi kisi ko eak se zayadah baar ;) Jee Haan Kaangan Wasi Shah ki poetry hai ... jo mujhey bhi buhat pasand hai. |
BeautyStar
|
Group: Members Joined: 16th May, 2007 Topic: 52 Post: 3586 Age:
27
|
|
Posted on:18th Feb 2008, 12:53pm |
|
|
Kyun Akeela Chordh Diya ???
Kyun
Akela Chod Diya....
Kyu Rulaate Ho Mujhe ?
Kyu Bhool Jaate Ho Mujhe?
Tere He Sahaare To Jee Rahe Hain Hum..
To Phir Kyu Akela Chodh Jaate Ho ?
Har Baat Ko Chupana Ataa Hai Tumko,
Roothon Ko Manana Ataa Hai Mujhe.
Roothe Ho Tum Na Jaane Kis Baat Par Mujh Se...
To Phir Wo Baat Kyu Nahi Bataate Ho Tum Mujhe?
Jaan Jaati Hai Meri ,
Jab Yaad Aati Hai Tumhari.
Tum To Mujhe Bhula Dete Ho...
To Phir Kyu Yaad Aate Ho Mujhe?
Hum Jeene Ke Bahaane Marte Rahenge,
Pyaar Hum Tumse Karte Rahenge.
Pyaar To Tum Bhi Karte Ho Na..
To Phir Kyu Yu Sataate Ho Mujhe?
Ya Keh Do Zeher Peene Ko,
Ya Kaho Phir Mujhe Jeene Ko.
Agar Mere Saath Main Nahi Chalna Tha Tumko....
To Phir Kyu Mujhe Raasta Zindagi Ka Dikhaya ?
Beech Raaste Main Kyu Is Tarah Akela Chodh Diya?
Kaho ...Kuch Tho Kaho
Kyun Akela Chodh Diya .....
|
BeautyStar
|
Group: Members Joined: 16th May, 2007 Topic: 52 Post: 3586 Age:
27
|
|
Posted on:18th Feb 2008, 12:54pm |
|
|
Haan Woh Tum Hi To Ho ... Jis Ki Band Aankhon Main Mere Khwab Hain Jis Ki Sanson Main Bajte Rubab Hain Labon Ki Pankkhari Jaise Gulab Hain Jis Ki Zindagi Main Band Mere Sare Bab Hain
Woh Mujasma-E-Hayat Tum Hi To Ho Haan Woh Tum Hi To Ho
Jis Se Mansoob Mere Saare Arman Hain Andaz Jis K Takabbur K Hashr Ka Saman Hain Jis Ki Sadgi Main Husn Bhi Qurban Hain Jis Ki Be Rukhi Pe Ye Saare Guman Hain
Woh Meh Parwar Haseena Tum Hi To Ho Haan Woh Tum Hi To Ho
Jab Hawa Tumhe Choo Kar Guzar Jati Hai Aik Aag Si Seene Main Bharak Jati Hai Tum Paas Nahi Hoti To Goya Zindagi Ruth Jati Hai Quwat-E-Goyayi Jis K Samne Salb Ho Jati Hai
Who Naveed-E-Zindagi Tum Hi To Ho Haan Woh Tum Hi To Ho
Tere Peron Se Tapakta Who Pani Teri Sheeri Zaban Ki Uf Woh Rawani Tere Husn Pe Charti Be Khabar Jawani Roshan Chere Par Damakti Aankhen Who Noorani
Who Shakar-E-Husn Tum Hi To Ho Haan Woh Tum Hi To Ho ...
|
BeautyStar
|
Group: Members Joined: 16th May, 2007 Topic: 52 Post: 3586 Age:
27
|
|
Posted on:18th Feb 2008, 12:55pm |
|
|
Kuch Paagal Hotay Hain...
Pyaar
ke deep jalane wale kuch kuch pagal hotay hain..
Apni jaan say jaane walay kuch kuch pagal hotay hain...
Hijar ke gehray zakham milay to mujhko yeh ehsass hua..
pagal ko samjhanay walay kuch kuch pagal hotay hain...
Jaan say pyaare logon say kuch kuch parda laZim hai...
Saari baat batanay walay kuch kuch pagal hotay hain...
khuwabon main bhi piya milan
kay sapnay dekhte rehte hain...
neendon main muskanay walay kuch kuch pagal hotay hain..
Iss jhuti nagri main humne, yehi hamesha dekha hai...
sachi baat bataane walay kuch kuch pagal hotay hain..
Pyaar jinhe hojaye unko chain bhala kab mill pata hai?
shab bhar ashk bahane walay kuch kuch pagal hotay hain
Apni Zaat ke ujray gulshan se woh pyaar kahan karte hain?
Auro“on ko mehkaane walay kuch kuch pagal hotay hain
Kissi ke ishq main bheeg ke sanam hum ko yeh ehsaas hua
Dil ki baat main Aanay Walay kuch kuch pagal hotay hain.
|
mirch
|
Group: Joined: 01st Jan, 1970 Topic: 6 Post: 128 Age:
|
|
Posted on:18th Feb 2008, 5:16pm |
|
|
Mirch key ahmiat
Mirch kay baghair khanay ka khana kharab
Mirch no ho to khana lagta hay khak
P.S: I am not a sha-ir , sirf tuk bandi key hay. |
sunehri76
|
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 100 Post: 4647 Age:
38
|
|
Posted on:18th Feb 2008, 5:44pm |
|
|
Harf mita dene se Harf mita dene se rehte hain Nishaan baki phir bhi chahe to jitna bhulana,yaad ayenge Zamane phir bhi
ek pal ko sab kuch bhula ke so jate hain hum par bure khwab ban ke jagane ate hain phir bhi
Khushi ki justu-gu me rehte hain hum to Daman Na-umeedi se bhar jata hai phir bhi
Ab yaad bhi nahi kab Muskuraye the akhri baar magar Ghamon pe Hansi aati hai unhein phir bhi
ab Bebassi apni chupayen to chupaen kaise Ansoo ban kar beh jate hain agar rokein phir bhi
|
|