MOHD PARVEZ |
Group: Members Joined: 15th Nov, 2012 Topic: 1 Post: 1 Age:
20
|
|
Posted on:16th Nov 2012, 12:22am |
|
|
Kya Islam Mein Pyar Kerna Jaiz Hai?
Assalamualaikum dr . Sahab aur sab logo ko. Mera yeh sawal hai ki mai ek se ladki se pyaar karta hu . Woh bhi school ke dino . Lekin dr . Sahab mera yeh sawal hai ke kya islam iski ezazat deta hai . Zara tafseel se batai . Kyun ki jaanta chahta hu jo mai karraha hu woh sahi hai ya galat . Plz reply kijiye . Allah hazif . Allah hum sab ki hifazat farmaye .
|
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 110 Post: 6307 Age:
53
|
|
Posted on:16th Nov 2012, 2:36am |
|
|
naa.mahram 1. islam maiN naa.mahram baaligh laRkay laRki ka apas maiN milna julna, free ho kar baat cheet karna, yeh sab allowed nahi hai ... piyaar karna, romance karna, romaanwi bataiN karna, outing karna, aik doosray ko touch karna yeh sab bhi allowed nahi hai.aur HARAM hai
2. albattah agar kissi ko koi laRki ya laRka acha lagay, aur woh oss say shadi karna chaahay to sirf iss gharz say aik doosray say direct yaa kissi aur ki maarfat raabitah karkay shadi ka paighaam dia jasakta hai... chand logouN ki maujoodgi maiN aik doosray ko apnay gharouN k patay diyeh jasaktay haiN takay donouN karents aik doosray say contact karkay baat ko agay baRha sakaiN
3. islam love after wedding ka qaail hai. islam love before wedding (LBW) k sakht khilaaf hai. |
Bewaqoof |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 249 Post: 4224 Age:
37
|
|
Posted on:16th Nov 2012, 8:50pm |
|
|
Islam aur piar mohabbat agree with myrizvi aik doosre ko pasand ker saktay hai, lekin Ishq nahi lara saktay.
|
tote_sapne |
Group: Members Joined: 02nd Nov, 2011 Topic: 5 Post: 1134 Age:
26
|
|
Posted on:17th Nov 2012, 2:04am |
|
|
myrzvi ne bilkul sahi kaha..........
|
tandolkar |
Group: Members Joined: 07th Jan, 2011 Topic: 9 Post: 30 Age:
22
|
|
Posted on:17th Nov 2012, 1:51pm |
|
|
lbw is forbidin in islam agree with myrzvi lbw (love before weeding) islam mai jaez nahi hy, |
greeny |
Group: Members Joined: 29th Apr, 2012 Topic: 9 Post: 61 Age:
27
|
|
Posted on:19th Nov 2012, 6:39am |
|
|
I tend to disagree Parvez
me ne aik dafa parha tha jo admi kisi k ishq me mubtala ho jae. ( ishq dil ka mamla hai Allah ne buhat c batu pe hamara ikhtiar nae rakha) aur wo uss par sabr kre yani uss khatoon ko bdnam na kre . uss k sath koi ghair islami relation ya behavior apnane ki koshish na kre bl k iss aag me jal jal kr mar jae to wo shaheed hai q k us ne apne nafsani jazbay ko Allah k liay mara. so pyar , pasand, Ishq jo g me ae kre magar majnu bn kr laila laila na pukaro. na koi aur ulat pulat socho. na hi kuch haraam me paro. baqi Allah Malik hai
|
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 110 Post: 6307 Age:
53
|
|
Posted on:19th Nov 2012, 9:36am |
|
|
agreed with greeny agar kissi ko kissi say sacha ISHQ hojaa.ay to oska apnay aap par ikhteyaar hi nahi rahta...aisa fard agar sabr karay...aur majnoo bankar ghair islami harkaats ay bachay to iska baRa ajar hai
parvez sb abhi ISHQ k oss marhalay maiN daakhil nahi howay...majnoo kabhi bhi yeh nahi poocha karta k maiN jo laila say piyar karta houN woh sahih hai ya aghalat
|
ali8765 |
Group: Members Joined: 24th Jul, 2012 Topic: 6 Post: 204 Age:
24
|
|
Posted on:19th Nov 2012, 9:44am |
|
|
kia yai ziada behtar nahin? her bandy ki apni apni soch hoti hai.kia yai ziada behtar nahin kai aap us larki kai parents sai shadi ki baat ker lain??? |
WellKnOwN |
Group: Members Joined: 06th Sep, 2011 Topic: 43 Post: 3238 Age:
24
|
|
Posted on:19th Nov 2012, 11:34pm |
|
|
greeny App ne jo statement pesh kiya. kiya ap bata sakti hai ke kiya ye Quraanic Ayat hai ya Pir Hadees Mubarak hai?? plz explain |
|