Assalam alekum, mera ek sawal hai ke jumma ke namaz ki niyyat farz hai ya wajib. aur juma ke bad 4 rakat zuhar ke uski kiya niyyat hai, plz reply me, thanks
1. jummah ki namaaz farz hai. lehaza niyyat iss tarah karaiN: maiN 2 rekaat namaaz jummah farz k niyyat karta houN
2. jummah ki namaaz zohar ki namaaz ka qaaim moqaam hai... yaani jummah ki namaaz paRh li to oss din phir zohar ki namaaz nahi paRhni hogi. aur agar kissi wajah say jummah ki namaaz nahi paRh sakay to ap ko jummah k din zohar ki namaaz hi paRhni hogi... jummah k namaaz tanhaa nahi paRhi jasakti... aur baaz choTay village maiN agar jamaa masjid nah ho to wahanaaN bhi jummah k din zohar ki namaaz hi adaa ki jaati hai... mosaafir ko bhi agar jummah ki baa.jamaat namaaz nah milay to woh zohar ki namaaz hi adaa karega
3. jummah ki namaaz wajib nahi hosakti k wajib, farz ka qaim moqaam nahi hosakta. jummah ki namaaz ki qaza bhi nahi hai...yaani agar jummah ki namaaz chooT gayee /nahi paRhito apnay waqt k ander ander zohar ki namaaz hi paRhni hai aur waqt k baad zohar hi ki qaza paRhni hai, jummah kiqaza nahi
4. logouN ko jummah k waajib honay ka shobah shayad eidain ki namaaz say hota hai k eidain ki namaaz wajib hai (farz nahi) aur eid ki namaaz ki qaza bhi nahi hai k agar nahi paRh sakay to qaza kar laiN... issi tarah eid ki namaaz alag /tanhaa bhi nahi paRhi jaati
5. jummah ki namaaz ki mokammal rekaataiN 14 haiN, jo iss tarah haiN aur issi tarah niyyat bhi karni haiN...zohar ki niyyat nahi ki jati,
a) 4 rekaat sunnat (qabl farz) b) 2 rekaat farz c) 4 rekaat sunnat (baad farz) d) 2 rekaat sunnat e) 2 rekaat nafail
wallaho aalam bissawab
(PS: jumaah ki namaazouN ki yeh tarteeb ahlay sunnat wal.jamaat k motaabiq hai...deger aqliati maslakouN walay apnay apnay fiqay k motaabiq namaaz ada karaiN )
For More Detail Click On Page No: 1
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.