khawajah sara
bil.amoom 3 "qism" k hotay haiN
1. naa.mokammal mard, jo incomplete penis /testis ki wajah say jinsi amal mokammal taur par karnay say qaasir hotay haiN
2. naa.mokammal aurat, jo incomplete vagina ki wajah say jisnsi amal maiN normal tareeqay say hissah nahi lay sakteeN. magar inkay ander ovaries /uterus etc maujood hotay haiN
3. aisay human beings jin maiN male females both sexual organs hotay haiN...like ovaries / uterus bhi ho aur vagina ki jagah penis /testis bhi ho
yeh teersay qism k log bahoot rare hotay haiN aur inki surgery k zariyah inhaiN mokammal /naa.mokammal mard yaa phir mokammal /naa.mokammal aurat maiN "tabdeel" kia jasakta hai
youN hamaray amalan khajaa saraaouN maiN 2 wazah group k log nazar aatay haiN... aik naa.mokammal mard aur doosray naa.mokammal aurtaiN ... aap inhaiN disabled mard aur disabled aurtaiN bhi kah saktay hain
in donoun groups k darmayaan shadiyaaN ossi tarah hosakti hain jaisay deger desabled logouN ki shadiyaaN hoti haiN. yeh apas maiN aik doosray ki kaami /maazoori ko jaantay howay aik doosray say shadi karsaktay haiN... apni apni kami /maazoori ka ishtehaar peeTay beghair ...
issi tarah inmaiN say kissi aik ki doosray normal human (male /female) say bhi shadi hosakti hai. yaani naa.mokammal female say aik normal male bhi shadi karsakta hai. aisa male jo bawajooh normal female say shadi nahi karsakaa /nahi karnaa chaahtaa ... k shadi k liyeh jinsi amal maiN hissah lena laazmi /farz nahi hai. aur insay normal mard doosri shadi bhi karsaktay haiN takay inhaiN protection day sakaiN... etc etc
issi tarah agar kissi overaged laRki / bay sahara bewah /mutleqah aurat ko normal male husband nah mil raha ho... aur oskay saamnay koi incomplete-man ho, jo society maiN established ho, acha kamata khata ho... agar aisi laRki /aurat chaahay to apni social life ko normal rakhnay k liyeh iin say shadi karsakti hai
yeh saari soortaiN shar'an jaaiz haiN. aur society maiN laa.wald joRouN maiN kaheen kaheeN above mentioned types k naa.mokammal mard aur naa.mokammal aurtaiN already paayee jati haiN... jinkay spouse inhaiN iss liyeh accept kiye howay hotay haiN k woh apni social life ki zaroorat par apni sexual life ki needs ko qurban kardetay haiN
yeh bsically parents ki zimmah daari hai k woh aisay incomplete kids ko bhi normal kids ki tarah parwarish karaiN... jahaan mumkin ho surgery /treatment kara laiN, khaah iss say woh Normal hosakaiN yaa nahi... aur inki parwarish as male yaa as female karaiN... as 3rd sex nahi aur nah hi aisay bachouN ko khaja sara group k hawalay karaiN...
wallaho aalam bissawab
|