Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
 
    Start New Topic  My Profile
 

Kya husband wife aik hi jae namaz pe namaz parh sakte hai ?

Religion and Culture
 
 
 
Ubaid_zia Group: Members  Joined: 11th Jan, 2011  Topic: 6  Post: 16  Age:  22  
Posted on:4th Aug 2012, 2:42pm
 

Kya husband wife aik hi jae namaz pe namaz parh sakte hai ?

Salam..Kya husband wife aik hi jae namaz pe namaz parh sakte hai ?
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 108  Post: 5976  Age:  53  
Posted on:4th Aug 2012, 10:52pm
 

husband aur wife ka aik saath namaazaiN PaRhna

jae namaaz etni baRi ho k shauher agli saf maiN aur biwi pichli saf maiN namaaz asaani k saath adaa kar sakay.

islami osool yeh hai k agli saf / safouN maiN mard houN, darmayani saf /safouN maiN kids houN aur aakhri saf /safouN maiN aurtaiN houN ... takay namaaz k dauran makhloot mahaul nah ho aur aik doosray ko attract karnay walay opposite sex k baaligh logouN ki namaaz par tawajjah rahay aur aik doosray ka khayaal nah aa.ay

husband wife ko bhi alag alag hi namaaz paRhni chahiyeh ... lekin agar kissi majboori ki wajah say waqt bhi tang ho k aik k baad aik k namaaz paRhnay ka waqt nah ho, aur alag alag jaghaiN bhi dastyaab nah houN to aik hi baray jae namaaz /chadar etc par aagay peechay (agay husband, peechay wife) namaaz adaa karsaktay hain.... aik hi saf maiN left-right aik saath khaRay ho kar namaaz nahi parh saktay




Ubaid_zia Group: Members  Joined: 11th Jan, 2011  Topic: 6  Post: 16  Age:  22  
Posted on:5th Aug 2012, 3:03am
 

Help

But agar 2 jae namaz left right bacha le, tb to sahi ho ga na. Any hadees about this, k aisa correct nahi hai.... I dnt think. k is mai kuch ghalat hai. Aik hi jae namaz mai left right parne se kea ghalat ho sakta hai
WEHSHI Group: Members  Joined: 17th Aug, 2010  Topic: 39  Post: 2186  Age:  47  
Posted on:5th Aug 2012, 5:29pm
 

Ubaid_zia

husband wife hi hain ager koi aur nhn yani bachay ya koi aur to biwi husband se thora peechay kheri ho gi puri 1 SAf k faslay per nhn
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 108  Post: 5976  Age:  53  
Posted on:6th Aug 2012, 11:11pm
 

agreed with wehshi bhai

miyaaN apni jae namaaz aagay aur biwi thora peechay bicha kar namaaz adaa karsakti hai... left right bicha kar naheeN

ubaid: apko iss baat par israr kiyouN hai k husband wife left right sath sath rah kar hi namaaz adaa karaiN. yahaaN baat apki ya hamari nahi hai... ulmaa.e ummat ka yehi kahna hai k agay peechay hokar namaaz adaa karain, left right rah kar nahi.... agar apko hamari baatouN par yaqeen nahi hai to apko yahaaN sawaal karna hi nahi chaahiyeh... aap kissi bhi mostanad aalimay deen say jaa kar pooch lijyeh. go yahaan koi aalime deen nahi hai, magar ham log aksar olema k qaul k motaabiq hi jawaab detay haiN... take aisay logoun ko jawab mil sake jo olema tak nahi pahonch saktay aur yahaan apnay deeni oljhanoun ka jawaab chaahtay hain ... ilmi discussion sirf onhi logouN k darmayaan momkin hai, jo deen e islam say gahri waqfiat rakhtay houn... har sawaali say ilmi bahas karna mumkin nahi :)

wallaho aalam bissawab
1
 
 
 
 
 
Urdu Magazine Islam In Urdu Urdu Greeting Cards Urdu Jokes Urdu Funny Stories Urdu Stories Urdu Recipes Urdu Poetry
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012