shahidsha |
Group: Members Joined: 14th Jul, 2012 Topic: 1 Post: 13 Age:
32
|
|
Posted on:26th Jul 2012, 7:15am |
|
|
TALAQ mera aur meri bv ka ghar bilkul sath sath he aur wo wahan buhat ziyada
jati he to ik dafa mene un se kaha k tum wahan ja k hamesha raho?aur ye
"istesfar" k andaz me kaha tha tum wahan pori ja k raho??? i meam
sawaliya andaz kaha tha. aur us waqt talaq ki koi b niyat b nahi thi .ab
pochahna ye he k kya is se talaq ho gae aur kitni dafa hue aur ab hal
kiya he???/
|
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 108 Post: 5928 Age:
53
|
|
Posted on:26th Jul 2012, 9:48am |
|
|
talaqe bine gol mol ilfaaz maiN yani kinayat k ilfaz maiN talaaq denay ko talaqae bine kahtay haiN.... tum wahaaN jaa k hamesha raho ... iss fiqray say isharatan talaaq hi moraad hai ... aisi talaq fauran valid hojati hai, bah sharte kay niyyat talaaq ki ho
talaqe bine k baad nikaah fauran TooT jata hai ... iddat k ander rajoo ka haq nahi rahta... albattah yeh aik talaaq count hoti hai... dobarah nikaah kia jasakta hai
chouNkay apka bayaan hai k apnay talaaq ki niyyat yaa khayaal say aisaa nahi kahaa to osoolan talaaq nahi honi chaahiyeh...magar apka yeh farmaan talaaq valid honay k khauf say bhi hosakta hai... sawaal yeh hai k.... tum wahaaN jaa k hamesha waheeN raho.... ka phir kia matlab hai... kia ap bhi waheeN osi k saath hamesha rahnay k iraday say aisaa kah rahay thay (agar woh as apki biwi hamesha wahaaN rahay tab) ...zaahir hai k apki niyyat yeh nahi hogi... doosra matlab yehi hoga k tum wahaaN jaa k hamesha raho... maiN yeheeN apnay ghar maiN hamesha rahouNga... yeh soorat talaaq hi ki to hoti hai
ab ap kia karaiN
ap k in ilfaaz say 2 result nikal saktay haiN 1. talaaq hogayee 2. talaq nahi howi... agar talaq nahi howi to koi baat nahi lekin agar talaq hogayee aur ap saath rahtay rahay to yeh sari omar ka gonaah hai.
lehaza behtar yehi hai k issay aap talaqe bine samjhaiN. yani aisi aik talaaq jo fauran valid hogayee aur bila nikaahay saani rajoo ki gunjaish nahi... lekin iskay bawajood sirf aik talaq valid howi aur abhi apkay pass 2 mazeed talaq ka haq hai... yani ap insay dobraha nikaah kar saktay haiN
lehaza mera mashwarah hai k EHTEYATAN aap insay khamoshi say NEW NIKAAH kar laiN. 2 mard gawahouN k saamnay ejjab o qabool kar laiN aur new mahar bhi moqar.rer kar laiN... baqi logouN ko iss nikaahay saani ki batlaanay yaa qazi waghairah ko bolanay ki zaroorat nahi... na hi koi taqreeb ki zarootay hai... iss tarah ap sari zindagi k waswasay say mahfooz rahengay insha Allah
wallaho aalam bissawab
|
shahidsha |
Group: Members Joined: 14th Jul, 2012 Topic: 1 Post: 13 Age:
32
|
|
Posted on:27th Jul 2012, 1:57am |
|
|
gawahoon ki sharaait mashaallah ap to koi alim maloom hote hen.ap ka jawab buhat valid he.main sirf ye kehna chahta hon k meri bv ka fasla 30 second b mushkil se hoga mene unse kaha thak tum wahan ja k pora raho.aur ye k hamari joint famaly he aur ghar buhat chhota he aur me apna alg ghar lene ki koshish me b hn.q k hamein wahan kafi takleef he.agr us waqt jab me ne wo jumala kaha tha to usi waqt meri bv ya koi aur mujh se pochhata k tum talaq de rahe ho to khuda ki qasm me ye kehta k nahi talaq nahi de raha balake aise he kaha he.aur adaz aisa tha k apni bv ko choice de raha hn yanee mera jumala sawaliya(??) lagata tha.aur main ye b sochta hn k agr w apne walden k ghar ja rehti to main wahan chala jata us se milne q k wo b meri phooophi ka ghar he. ab sawal ye he k agar me dobara nikah karta hn to us me gawahoon ki kia sharait hn ?kia mere sage bhaee gawah ho sakte hn??kia meri bv k walden ko batana zaroori he???plz ap is ka reply jaldi den to bari meharbani ho gi q k me bara preshan hn aur jab se ap ki post perhi he t khana b sahi nahi khaya. qk sochata hn k meri zare barabar talaq k niyat b nahi thi aur wo ho b gaee??? thanks a lot mr--
|
genetist |
Group: Members Joined: 11th May, 2012 Topic: 1 Post: 126 Age:
30
|
|
Posted on:27th Jul 2012, 2:06am |
|
|
olema say poochheeen mein nay chooonkeh deen ka elm bhheee hasil kia hua hay iss liay meray ilm kay mutabiq choonkeh aap ki niyyat talaq ki naheen thee iss liay tallaq naheen hui hay...aap say yeh guzarish hay keh aisay sawalaat olemaa aur mufti sahibaan say poochhaa kareen jaisaa keh aap baymaar hotay hein to dawai sirf MBBS doctr say hee laitay hein...iss tarha deen ka muamlaa bohat nazik hay
|
genetist |
Group: Members Joined: 11th May, 2012 Topic: 1 Post: 126 Age:
30
|
|
Posted on:27th Jul 2012, 2:08am |
|
|
to myrizvi agar aap aik aalim /mufti naheen hein to khudara iss tarha logoooon ko gumrah nah kareeen....agar aap kay ghalt batay hoay maslay peh kissi nay amal kar dia to qiamat mein ALLAH tahalaa ko kia jawab dein gay
|
shahidsha |
Group: Members Joined: 14th Jul, 2012 Topic: 1 Post: 13 Age:
32
|
|
Posted on:27th Jul 2012, 2:17am |
|
|
to myrizvi
|
shahidsha |
Group: Members Joined: 14th Jul, 2012 Topic: 1 Post: 13 Age:
32
|
|
Posted on:27th Jul 2012, 2:21am |
|
|
to myrizvi mere khayal durust he ap alim hn. ap ne mere asul sawalat ka jawab nahi dya k 1...kia mere bhaee gawah ho sakte hn? 2..meri bv k walden ko batane ki zaroot he ya nahi actually me buhat wahmi hn aur agr aisa karne se me mutamaen ho jaon ga.plz reply
|
shahidsha |
Group: Members Joined: 14th Jul, 2012 Topic: 1 Post: 13 Age:
32
|
|
Posted on:27th Jul 2012, 2:25am |
|
|
to genetist mere khayal me ap alim hn. ap ne mere asul sawalat ka jawab nahi dya k 1...kia mere bhaee gawah ho sakte hn? 2..meri bv k walden ko batane ki zaroot he ya nahi actually me buhat wahmi hn aur agr aisa karne se me mutamaen ho jaon ga.plz reply
|
shahidsha |
Group: Members Joined: 14th Jul, 2012 Topic: 1 Post: 13 Age:
32
|
|
Posted on:27th Jul 2012, 2:28am |
|
|
to genetist me samjha k myrizvi ne reply kia tha. mr genetist ap ka taluk kon se maslak se he.mene tableegh me waqt lagaya he
|
shahidsha |
Group: Members Joined: 14th Jul, 2012 Topic: 1 Post: 13 Age:
32
|
|
Posted on:27th Jul 2012, 2:29am |
|
|
to genetist mere khayal me ap alim hn. ap ne mere asul sawalat ka jawab nahi dya k 1...kia mere bhaee gawah ho sakte hn? 2..meri bv k walden ko batane ki zaroot he ya nahi actually me buhat wahmi hn aur agr aisa karne se me mutamaen ho jaon ga.plz reply
|
shahidsha |
Group: Members Joined: 14th Jul, 2012 Topic: 1 Post: 13 Age:
32
|
|
Posted on:27th Jul 2012, 2:30am |
|
|
to myrizvi
|
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 108 Post: 5928 Age:
53
|
|
Posted on:27th Jul 2012, 2:34am |
|
|
aalim, mufti aur NCF ham nay yeh baarha kahaa hai k yahaaN koi aalim yaa mufti nahi hai... aur yeh koi islamic forum bhi nahi hai k yahaaN islamic issues par fatway diyeh jayaiN. fatway haasil karnay k khaahish mand apnay qareebi darul aloom, darul ifta yaa kissi aurhentic online islamic website sa rajoo karaiN
ELAAN KHATAM HOWA
baar baar k iss qism k elaan k baad bhi bahoot say log yahaaN islmaic hawalouN say sawaalaat kartay rahtay haiN. aisay sawaalaat par yahaaN k senior members apni apni knowledge k motaabi apni roy pesh kartay haiN. jiss say bahoot say readers ko faida hota hai, issliyeh ham quran o hadees ki raushni maiN jawaab denay aur maslay k mokhtalif pahloo.ouN par bahas kartay rahtay haiN
yahaan say koi FATWA jari nahi hota. just awareness /aagahi milti hai aur apko woh raastah milta hai, jis par chal kar ap apnay maslay ka hal dhoonD saktay haiN
|
shahidsha |
Group: Members Joined: 14th Jul, 2012 Topic: 1 Post: 13 Age:
32
|
|
Posted on:27th Jul 2012, 2:41am |
|
|
reply ok that right but im still waiting for answer of my qiestion.
|
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 108 Post: 5928 Age:
53
|
|
Posted on:27th Jul 2012, 2:44am |
|
|
genetist / shahidsha talaqe bine ko define kartay hi maiN nay kahaa thaa k ... chouNkay apka bayaan hai k apnay talaaq ki niyyat yaa khayaal say aisaa nahi kahaa to osoolan talaaq nahi honi chaahiyeh ....
lekin chouNkay shahid k zehan maiN yeh waswasa aayaa k kaheeN oski talaaq to nahi hogayee... issi liyeh oss nay yeh maslah poocha aur iss waswasa ko door karneka 2 hi tareeqah hai... kissi mufti say fatwa lia jaa.ay, jo yahaaN say nahi mil sakta ... lehaza ham nay EHTEYATAN yeh bmshwarah dia k khamoshi say nikahe saani kar laiN takay waswasay say hamesha k liyeh bach jayaiN
|
shahidsha |
Group: Members Joined: 14th Jul, 2012 Topic: 1 Post: 13 Age:
32
|
|
Posted on:27th Jul 2012, 3:00am |
|
|
myrizvi han me b ye he to pochh raha hon k agr nikah me mere brother gawah ho jaen to kesa he??? is se me to mutmaen ho jaon ga.plz agr ap k ilm me ho to ap bataen???mene abi ik book me gawaah ki tarait perhi hn jo 10 hn lekn us me ye nahi likha k bhaee wagarah ho sakta he ya nahi???/
|
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 108 Post: 5928 Age:
53
|
|
Posted on:27th Jul 2012, 3:38am |
|
|
shahidsha yeh to mujhay bhi confirm nahi k sagay bhai nikaah k gawaah ban saktay hain yaa nahi ... yaa to aap kissi aalim /mufti sahab say pooch laiN yaa ehteyatan apnay kissi qareebi 2 dost ko gawaah bana laiN... parents ko batlana bhi zaroori nahi hai, agar ap onsay chopana chaahtay hain to
wallaho aalam bissawab
|
shahidsha |
Group: Members Joined: 14th Jul, 2012 Topic: 1 Post: 13 Age:
32
|
|
Posted on:27th Jul 2012, 7:35am |
|
|
myrizvi achha to ka meri bv b unk samne honi chahiye ya wo phone pe sath ho sakti he. achha ik bat he k agr mujhe pata hota k ye alfaz kehne se talaq hoti he to me wo alfaz nahi krhta.yanee me apni bv ko uswaqt talaq nahi de raha tha.per gusse me wo alfaz nikl gae aur mujhe pata tha ye kehne se wo apne walden k ghar hamesha k lie nahi jae gi.ye aise he k koi aise he tayamum karde aur karte waqt uska tayamum ka irada na ho to kia uska tayamum hojae ga.merae masale ko b agr is point of view se dekhen to ?????
|
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 108 Post: 5928 Age:
53
|
|
Posted on:27th Jul 2012, 8:19am |
|
|
shahid 1. it is best for you k ap kissi aalim /mufti say one to one molaqaat karkay apni tashaffi kar laiN. coz aisa lagta hai k ap yahaaN k jawaab say satisfied nahi haiN.
2. apkay maslay k saray pahloo apkay saamnay rakh diyeh gaye haiN... now its up to you k ap kis baat ko opt kartay haiN. agar ap samajhtay haiN k talaq nahi howi to just enjoy your life. shak o shobah nah karaiN...
3. lekin agar ap samajhtay haiN k shayad talaq hogayee hai to ehteyatan new nikaah kar laiN...
3. kissi 2 mard dostouN k saamnay ap donouN ejaab o qabool karaiN. with new mahar. nikaah ki majlis maiN donouN gawahouN aur ap donouN k aamnay saamnay hona zaroori hai.
4. baqi misaloun ka nikah talaq say koi nisbat nahi hai... apki kind information k liyeh arz hai k log ghussay maiN hi talaq detay haiN, piyar mohabbat maiN nahi
5. nikaah, talaaq k masaail baaz aqliati masaalak maiN bilkul alag bhi haiN. agar apka talluq kissi aisay hi maslak say hai to apnay maslak k mufti say rajoo karaiN.
shukarya
|
WEHSHI |
Group: Members Joined: 17th Aug, 2010 Topic: 39 Post: 2169 Age:
47
|
|
Posted on:27th Jul 2012, 8:44pm |
|
|
shahid sha
jab ap ne TALAQ ki niyat se biwi yeh nhn kaha to ab is sawal k poochnay ki zaruret kiun pesh aai ???? Talaq aisa masla hai k isay mazaq ya dillagi k tor per bhi use nhn kiya jata jesa k ap k alfaz hain us lehan se talaq ka koi shaiba nhn aisa barha kaha jata hai k "phir tum waheen ja ker raho " is main talaq nhn hojati FUQAHA yahan tak kehtay hain jo log ghussay main biwi ko maan behan k beraber kehdetay hain us main bhi talaq ki niyat nhn hoti lekin us main aik terah se yeh alfaz keh ker biwi ko khud per haram kernay ki niyat aajati hai isi liyay un alfaz ko talaq e rijaai kaha jata hai ap ki bataai hui surat main ager ap ki niyat talaq ki nhn thi to balkay ghussa main aisa kah tha to talaq nhn hai is k ilawa talaq aisa amal hai jis k liyay kisi gawah , kisi shahadat , ya ejab o qabool ki zaruret nhn yani ais akuch nhn k shoher ne talaq bheji aur biwi ne reieceve na ki to talaq na ho gi balkay jab shoher ne niyat ki aur amal ker diya to talaq ho gai ab yeh sherait alag hain k talaq rijaai hai ya bain aisi baton main bohat ehtiyat ki zarurt hoti hai baqi as myrizvi said k ap apnay maslak k mufti saheb se rabta kerain |
shahidsha |
Group: Members Joined: 14th Jul, 2012 Topic: 1 Post: 13 Age:
32
|
|
Posted on:28th Jul 2012, 11:25pm |
|
|
khyda hafiz ok im going to contact to any alim or mufti..and finishing this id...i mean ye id khatam kar raha hon thanks all who give oppinion to me..
|
|