honest advice
My dear sisterSee honestly speaking, aap ko nikah say pehlay sochna chahiye tha. To be very frank, ab baat door nikal chuki hai. Par ab aap ko mentally prepared hona hoga. May be k aap nay os apnay husband ko jana na ho, may be k woh acha insan ho, aap allah ka shukar ada karen q k es daur may shadi ho jaye bari baat hai, boahat si bechari ya to rishtay na honay ki waja say kunwari rwh jati hain ya zalil larkay onhen kahen ka nahe chortay.
Allah pak ka shukar ada kijiye. Aur aglay ko samajhiye shayad woh thik ho. Koi bhe perfect nahe es dunya may. Na he kabhe life ideal ho sakti hai. Par yeh aap par hai k aap apni zindagi ko kaisay pur sukon banain. Apnay dil may os k kiye etni nafrat na paida karen k bohat mushkil hojye dono k liye. Huzur pak (pbuh) nay farmaya: k qayamat k din merey nazdeek woh loog hongay jo achay ikhlaq walay hongay.
So my advice for you is; always see worst case scenario in your life. Life may insan ko hamesha apnay say nichay dekhna chahiye na kay upar dekhen. Meri behan allah pak tumhen sabar, khushiyan or aqal e saleem day. Ameen
|