Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
 
    Start New Topic  My Profile
 

true love

Religion and Culture
 
 
 
hinanoor Group: Members  Joined: 14th Jul, 2012  Topic: 4  Post: 41  Age:  22  
Posted on:28th Jul 2012, 9:11am
 

true love

A.O.A kia agr do log apas mein schi mohobat krte hun or os mohobat mein esa koi kam na kren jo allah ko napasand ho or wo is jahan mein ek na ho paein to kia waqai wo dosre jahan mein yani jannat mein ek hojate hein ya mrne k baad ek dosre ko dekh pate hein ya qayamat mein hi dekhenge islamic point se bataein or marne ky baad jab hum apne kisi aziz ki qabar par jate hein to kai wo humhe dekh sun sakta hai kia murdon ki rohein apas mein batein krti hein kuch log kehte hein k jb hum qabar pr ja k apne kisi foot hoe aziz se baat krte hein to un ki awaz bhi ati hai wo hme jawab b dete hein kbhi kbhi kia waqai esa hota hai kia mrne k baad qayamat tak insan ki roh osi qabar mein rahegi ya roh allah k pas chali jati hai qabar k azab ya hisab k baad or urat bilqul bhi qabristan q nahi ja skti apne aziz ki qabar k pas beth k os ki maghfirat k liye dua q nahi kr skti plz islam k nazriye se ans kren kia islam mein mohobat krna bura hai ya is ka koi gunnah nahi agar hum dua krein to hum os jahan mein osy pa leinge jise hum is jahan mein nahi pa pate ?
WellKnOwN Group: Members  Joined: 06th Sep, 2011  Topic: 39  Post: 3055  Age:  24  
Posted on:29th Jul 2012, 1:15am
 

hinanoor

sister apko love hogaya hai lekin pata nahe real ya sirf attraction. or app ne jo batei sunni hai wo shayed kissi ne apki tassalli ke liye kiye honge essa kuch bi nahe hai. Aaaj kal duniya mai sahe love nahe hosakta bass atraction ko log true love kehte hai.
1) Pehli baat ye ke marne ke baad roh Allah ki paas jati hai or skeleton qabar mai hota hai.

2) Murday marne ke baad ek doosre ko nahe dekh sakte.

3) Quraan mai Allah tala farmata hai ke "Shaheed mara wa nahe hota aslan wo zinda hota hai lekin tum dekh nahe sakte" Iss irshad ka mafhoom ye hai ke jab shaheed wafat hojaye to physically logo ko ye elm ho ke ye margaya lekin osski rooh duniya mai hoti hai or Allah osse rizq bi deta hai lekin ab ye pata nahe ke wo sare shaheed ek doosre ko dekh sakte hai ya nahe.

4) App ne jo logo se suna hai wo sara sar ghalat hai. Jab app aziiz ki qabar ko ja kar to oski maghfirat ke liye dua mangte hai to na wo apko dekh sakta hai or na hi ap ose dekh sakte hai or na hi kuch awaz ki gunjaesh hai. lekin shaheed ki jism ko ek kharoosh bi nahe ati bass even osski agar koi jaga wet reh jaye to essa hi reh jata hai.

5) sister app jitni bi dua karlo jab qayamat ajaye to pir log ye nahe dekhte ke ye mera ashiq tha/thi sab log apne appne apne gunaho ko dekhte hai or yahi sochte hai ke onke sath kiya hone wala hai.

WellKnOwN Group: Members  Joined: 06th Sep, 2011  Topic: 39  Post: 3055  Age:  24  
Posted on:29th Jul 2012, 1:25am
 

hinanoor

6) Koi insan bi gaurantee nahe de sakta ke wo jannat mai jaega. Haa purane zmane ke Ashab the lekin ab zamane ke loog nahe. Kiyo ke hosakta hai ke koi kitna bi neek hoo to hoskta hai ke wo koi mamoooli se gunah pe jahannam jaye ya pir koi maamuli si nek kaam par Jannat jaye.


7) Sister apko mashwara hai ke ye sab batai bool jaye or apni life guzare or Allah ki ebaadat karle ta ke Allah ap se hamesha khush hoo or jab jannat mai jaogi to ye sab batei bhool jaogi...

hinanoor Group: Members  Joined: 14th Jul, 2012  Topic: 4  Post: 41  Age:  22  
Posted on:29th Jul 2012, 9:41am
 

shukriya

a.o.a mujhe jis se mohobat thi wo ab is dunia mein nahi hy and ap se agree karti hun bas apni taslli k liye poch rahi thi and plz help mene --
hinanoor Group: Members  Joined: 14th Jul, 2012  Topic: 4  Post: 41  Age:  22  
Posted on:29th Jul 2012, 9:43am
 

shukriya

-- mere is sawal ka mukhtasir ans dein plz help
hinanoor Group: Members  Joined: 14th Jul, 2012  Topic: 4  Post: 41  Age:  22  
Posted on:29th Jul 2012, 2:43pm
 

urat ki namaz ka asan trika

urat ki namaz ka asan trika

A.O.A kindly mujhe urat ki namaz ka asan triqa bataein step by step asan lafzon mein namaz ki rakatein b batein ye bhi k sunnt farz sunnt muktada witr ye sab kia hein in ka mtlb kin k prhne se sawab milta hai or kin k na prhne se gunna q k mein kisi mjbori k teht full namaz ada nahi kar sakti hun mujhe bataein k namaz k agr farz prh liye jaein baqi chor diye jaein to kia gunnah hoga ap kaheinge k mein ye sab namaz ki kitab mein prhun to mene hr koshish ki hai pr namaz ki kitab k lafz mushkil hein jo mujhe smjh nahi ate allah ap ko is ka ajr dega plz help and ek or ye baat k kia wuzu k wqt urat k sr pr duptta hona lazmi hai or wuzu k baad kalma shahadat tk bhi prh liya jae to kafi hai yani ashaduallah se le kar wa rasool o ho tk ya is k age ki dua prhni b lazmi hai plz tell kia namaz k baad jo tasbihat prhni hoti hein wo b farz hein ya salam pherne k baad namaz mukammal hojati hai jazzakallah
hinanoor Group: Members  Joined: 14th Jul, 2012  Topic: 4  Post: 41  Age:  22  
Posted on:29th Jul 2012, 2:50pm
 

wellknown

plz is ka ans agr ap de pao to de do q k jahan mene ye sawal kia wo smjh nahi pa rahe mein keh rahi hun k mujhe book se smjh nahi ata pr wo book ka batate ja rahe hein ap agr thora thora kr k b ans kr dein to i,ll very thank full to u or love wali baat ap ne kahi to theek pr agr jo log jannt mein jaeinge wo apne apno ko pehchanege zrror t.c
WellKnOwN Group: Members  Joined: 06th Sep, 2011  Topic: 39  Post: 3055  Age:  24  
Posted on:30th Jul 2012, 3:34am
 

Hina noor

Aurat ki nimaaz ka tareeqa apko myrizvi bro bataenge. With full details.
hinanoor Group: Members  Joined: 14th Jul, 2012  Topic: 4  Post: 41  Age:  22  
Posted on:30th Jul 2012, 10:24am
 

salam

wohi to nahi bta rahe sir bas books ka bta rahe hein unhi se pocha tha mene pehle
hinanoor Group: Members  Joined: 14th Jul, 2012  Topic: 4  Post: 41  Age:  22  
Posted on:30th Jul 2012, 10:25am
 

salam

wohi to nahi bta rahe sir bas books ka bta rahe hein unhi se pocha tha mene pehle
hinanoor Group: Members  Joined: 14th Jul, 2012  Topic: 4  Post: 41  Age:  22  
Posted on:31st Jul 2012, 4:46pm
 

??????????????????

???????????????????
SSher Ali Group: Members  Joined: 22nd Jun, 2012  Topic: 0  Post: 28  Age:  22  
Posted on:1st Aug 2012, 6:18am
 

Hina Noor

Ji Ap ye kitab padhe "Parde K Bare me Sawal Jawab" ap market se kharid le ya internet se downlod karle free me pdf copy ye ek behtareen kitab hai apko apke saare sawal ke jawab mil jayenge jo apne upar kiye hai ap khud samaj jana kya hoga kya nahi ye uska link hai
--
hinanoor Group: Members  Joined: 14th Jul, 2012  Topic: 4  Post: 41  Age:  22  
Posted on:1st Aug 2012, 10:57am
 

??????????????????

ap meri problem smkjhe mujhe book se smjh nahi ata os mein mushkil alfaz hote hein phir b mein koshish krti hun lekin ap ne jo link d hai wo yahan show nahi horahi jahan se pdf download hoga thnx
WellKnOwN Group: Members  Joined: 06th Sep, 2011  Topic: 39  Post: 3055  Age:  24  
Posted on:1st Aug 2012, 1:37pm
 

Hinanoor

Agar app Quraan recite karti hoo along with translation to Quraan mai bi bohot mushkil alfaaz honge tab bi app kahogi ke mujhe book se nahe seekna??

Books mai detailed likha wa hota hai or ham onse ziadah nahe jante jo aalims books likhte hai.

hinanoor Group: Members  Joined: 14th Jul, 2012  Topic: 4  Post: 41  Age:  22  
Posted on:1st Aug 2012, 9:03pm
 

salam

yes sir ap ne theek frmaya pr ap baat ko kahan legae meri problem nahi smjhe but thnx allah hafiz
WEHSHI Group: Members  Joined: 17th Aug, 2010  Topic: 39  Post: 2186  Age:  47  
Posted on:5th Aug 2012, 5:34pm
 

hinanoor

aap aik bohat clear bat ko problem bana lety hain ap ki asal problem yeh hai k ap apni merzi ka jawab chahty hain jo k is forum per mumkin nhn

yahan ap ko wohi jawab millay ga jo haqeeqat ho gi ap chahay kuch bhi samjhain

saaf bat ye hai

k islam main kisi sachi ya jhooti mohabat ka koi concept nhn ager ap merhoom ki biwi hotin to mumkin tha k ap ko janat main un ka saath mil jata lekin mohabat is bat k liyay sherat nhn hai

Quran aur Ahadees main husband wife k haqooq aur feraiz k sath sab tafseel hai lekin sachi mohabat k liyay koi ziker hai na gunjaish

yeh sab duniyawi deramay hain jin ka deen se koi taluq nhn hai

fahad hussain khan Group: Members  Joined: 26th Apr, 2012  Topic: 2  Post: 579  Age:  23  
Posted on:7th Aug 2012, 4:45pm
 

wehsi bhai

bilkul tekh kaha ap ne isalm main shadi se pehly k rishte ka muhabbat ka koi concept nh hai.our jo afwahein log urate k falan k roh yad karte hai mujhy ya falan falan. our hina soory maind mat kijiye ga jo wehshi bhai ne kaha wohi sach hai.
1
 
 
 
 
 
Urdu Magazine Islam In Urdu Urdu Greeting Cards Urdu Jokes Urdu Funny Stories Urdu Stories Urdu Recipes Urdu Poetry
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012