greeny |
Group: Members Joined: 29th Apr, 2012 Topic: 7 Post: 45 Age:
27
|
|
Posted on:28th Jun 2012, 2:26pm |
|
|
Teenagers In Love: What Is The Solution? Hi friends!
me asa problem discuss krna chahti hun jo at least mujhe to buhat serious lgta hai. me ne buhat notice kia hai k hamare ird gird buhat se teenagers khud ko kisi dost, classmate, cousin wagera ki muhabbat me mubtla pate hain. aur phir iss pr baten asi k iss se shadi na hue to mar jaen ge. maan baap zalim hain. me uss k elawa kisi ka sath nae reh sakti/sakta wagera wagera. jb k mere khyal me iss umar me to parhai career k khawb dakhne chahean na k shadi aur sex life k.
kia hamare taleemi idarun ko teenagers ki counselling ki zrurat nae ta k wo achhe mufeed aur mature shehri ban kr khud b taraqi kren aur mulk aur qom k kam b aen. akhir shadi,ya ye so called muhabbat hi to zindagi nae hai na.
waiting for opinions of my friends.
take care |
momin112 |
Group: Members Joined: 28th Jun, 2012 Topic: 1 Post: 9 Age:
21
|
|
Posted on:28th Jun 2012, 2:46pm |
|
|
My opinion Sister, I think if 2 people are happy and mature( at least 18 yrs ) then they can really consider marriage because it will help them avoid man sins.career can be built after marriage as well, it doesnt tie you home all the time and life goes on as usual except some extra responsibilities.
Moreover I think the biggest problem is our tradition. It is the greatest obstacle to the development of teenagers. We should follow the real model of Islam rather then Pakistani tradition. Kids are not taught about their future life by their parents, it's considered as a taboo to talk about these things with kids then how will they understand an enhance their personal development. Once they grow they r exposed to things they only wondered and that's when they don't know what to do an where to get help from, finally most end up takin the wrong path.
So it's not just a problem of love and marriage in the minds of teenagers. It's actually the problem of our society and the style of upbringing.
IT'S MY OPINION ONLY
|
WellKnOwN |
Group: Members Joined: 06th Sep, 2011 Topic: 42 Post: 3162 Age:
24
|
|
Posted on:28th Jun 2012, 10:31pm |
|
|
greeny Asal baat ye hai ke aaj kal ke jo nuwjawan hai ye sab angreezo se seekhe howe karte hai ke shadi se pehle bf, gf banaw, or pir shadi kissi or se, or hamre ye jo ossol hai ke pehle apna future banw pir ghar to ye bi ghaalat hai. Islam mai shadi ka best age baloghat hai jab larka/larki baaligh hojaye to shadi karni chaye lekin hum ye nahe karte, jis ki waja se hamare nujawan ese relations ka shikar hojate hai, Farz kare ke agar ek larki/larke ki sahe time pe shadi hojaye jo Islam mai hai to pir kiya shadi se pehle affairs honge? or jaha tak taraqi or future ka sawal hai to future already ALLAH TALA ne banaya hai hame wahe milega jo ALLAH TALA ne hamare liye likha hai, agar hum jitni bi parhai kare even duniya ke aala degrees hasil kare to agar oski qismat mai job nahe hota to kiya karega? mai ne ese log bi dekhe hai jinko even apna name likna as wel sign karna hi nahe ata or apni sign ki jaga apni finger print lagata hai jo anualy croro rupe kamate hai to kiya oss ne bi taleem hasil ki hogi apne future ke liye. umeed hai ke ap samaj gaye hogi. |
zs 874 |
Group: Members Joined: 24th May, 2012 Topic: 1 Post: 27 Age:
21
|
|
Posted on:29th Jun 2012, 3:26am |
|
|
AGREED I Agree with Wellknown.
|
greeny |
Group: Members Joined: 29th Apr, 2012 Topic: 7 Post: 45 Age:
27
|
|
Posted on:29th Jun 2012, 4:21am |
|
|
well known. I am sorry i don't agree.
ham har cheez qismat par chhor kar nae beth sakte.aur ye to total jahalat hai k ham ye kahen k wo angutha chhap agar crore rupe kamata hai to taleem ka ahmiat khatam ho jata hai. I mean ye galat hai. taleem ap ko rupe ne dati blk maturity deti hai. rishte banane aur nibhane k saliqa dati hai. zindagi ka vision dati hai. Sab se barh kar ache bure ki pehchan dati hai.
so qismat par sb chhor dana hi thek nae. jo shakhs apni bivi ko dane k liay kam az kam mehr aur phir uss ka nafqa kamane k qabil nae wo shadi k b qabil nae. App shariat ka mutalea kr lo. thek hai k baloghat par shadi honi chaheay magar ye b yad rakhen jo bivi ki zima dari khud nae utha sakta wo shadi kese kre ga aur jo jismani tor par baligh hai magar mentally mature hi nae hai wo shadi ki huge responsibilities kese uthae ga. Please consider my point |
WellKnOwN |
Group: Members Joined: 06th Sep, 2011 Topic: 42 Post: 3162 Age:
24
|
|
Posted on:29th Jun 2012, 6:49am |
|
|
greeny greeny shayed app ne mere msg ko sahe tareeqe se samajha nahe, mai ye nahe kehta ke jo qismat mai hai wahe apko milega iss liye ap kuch bi na karo, no never ye bilkul ghalat hai kiyo ke ALLAH TALA farmata hai ke tum harkat karo mai barkat daldonga. To mere kehne ka mathlab ye hah ke nawaz sharif ke dour mai hamare peshawar mai sucide aam hogaye the kio ke koi agar metric mai fail ata to direct sucide karta or yahe sochta ke oska future fail hone se brbad hogaya, to ye mai is waja se keh raha hoo, amooman walidain apne bacho ko kehte hai ke tume pass hona hoga to iss waja se bi wo bache depression ka shikaar hojate hai, Pehle hum mante hai or pir angrez ke HAZRAT MUHAMMAD (SAW) duniya ke sb se bare scientist the to jb onho ne ye kaha to hum kiya keh sakte hai, or 18 saal kiu umar ke baad shadi karna to angrezu ke osool hai or wo to 18 sal ke bad kiya kiya nahe karte. omed hai ke ap ab to mere point ko samaj gaye hongi. |
WEHSHI |
Group: Members Joined: 17th Aug, 2010 Topic: 42 Post: 2277 Age:
47
|
|
Posted on:1st Jul 2012, 9:38am |
|
|
teen ager's love
yeh aik almiya hai k humaray muasheray main bachpan ki dosty ki to ijazat hai lekin bachpan ki mohabat ki koi gunjaish nhn bilkul usi terah k jesay mamun / khala/ chacha ki beti se shadi to jaiz hai lekin mohabat na jaiz asal bat yeh hai k hum apnay muasheray ki tameer hi nhn ker sakay aaj tak musalman muasheray ki kya zaruriyat hain aur kya DO & DON'TS yeh na hum samjhna chahtay hain na manana english medium schoolon ki pedawar se hum kesay yeh umeed rakhain k woh islam ko manain gay ya islam ki pabandiiyon ko samjhain gay CO_education , net, mobile fon aur media k hotay huway teeg ager love ka kay rona teen ager sex ka rujhan berhta ja raha hai mera 17 saal ka beta is bat se bohat tang tha k us k shool fellows usay kehtay hain k tum hum se bat na kero kiun k tumhari koi girl friend nhn hai yeh haal saudia ka hai pakistan main kay ho ga yeh ap khud jantay hain maan baap kahan tak bachon per nazar rakhain ya sakhti kerain sakhti bhi baghawat ki teraf le jati hai maan baap apnay bachon ko us terah time nhn detay jis terah bachon ko zaruret hai mujhay achi terah yaad hai k humaray bachpan main meraaj, shab e barat , laila tul qader aur aisay hi mazhabi tehwaron per gher main aik noorani mahol hota tha hum choti age k bawajood raat bher jagnay aur next day roza rakhnay ki zid kertay thay lekin aaj hum khud hi so rahay hotay hain to bachay kahan jagain gay in halat main aur is mahol main allah se dua hi ki jasakti hai k bachon ko in tamam fazooliyat se mehfooz rakhay Aameen |
greeny |
Group: Members Joined: 29th Apr, 2012 Topic: 7 Post: 45 Age:
27
|
|
Posted on:1st Jul 2012, 3:07pm |
|
|
WEHSHI I totally agree with all what you said. me b to yehi rona ro rae hun, k kia kia jae . hamare bache kahan se sikhen ge ham kese apni nasal ko wo pakeeza mahol den jo hamare parents ne hame dia tha. 2ndly ham taraqi k nam pe kai kar rae hain.
Well known!ap is point ko samjhen jo Wehshi ne batae hain to app ko mera point of view samajh ae ga.
take care stay blessed |
JAMES BOND |
Group: Members Joined: 30th Jun, 2012 Topic: 6 Post: 22 Age:
21
|
|
Posted on:1st Jul 2012, 5:14pm |
|
|
.... ITS ALL ABOUT MEDIA :(
|
oldboy34 |
Group: Members Joined: 10th Sep, 2011 Topic: 0 Post: 45 Age:
38
|
|
Posted on:13th Jul 2012, 7:12am |
|
|
greeny h r u? i think ye Love kch nai pta nai ksi ko Love ka matlb ata hai ya nai? aur shadi pta nai q jaldi karna chahty hain. Shaid hamary zehan main koi fatoor hai, na jany kia? |
Most wanted grl |
Group: Members Joined: 13th Jul, 2012 Topic: 0 Post: 11 Age:
22
|
|
Posted on:13th Jul 2012, 1:22pm |
|
|
Shadi n love I think insan dunya me sirf shadi krnay nahi aya. Aor b bohat se kaam hain whibh he can do. I agree that teem agerz today are involved in love affair.
It is very wrong to blame media for this. U cnt change media. But u can change the atmosphere of your home.
Bcho ko deeni taleem dain.mehrum na mehrum ka farak btaye.aor unhe healthy activities dain.like study,games. Pets etc. Ta k wo apna time waha spend krain. |
Static X |
Group: Members Joined: 15th Jul, 2012 Topic: 1 Post: 5 Age:
20
|
|
Posted on:19th Jul 2012, 8:18pm |
|
|
Teen age relationships!
|
Static X |
Group: Members Joined: 15th Jul, 2012 Topic: 1 Post: 5 Age:
20
|
|
Posted on:19th Jul 2012, 8:19pm |
|
|
Teen age relationships!
|
Static X |
Group: Members Joined: 15th Jul, 2012 Topic: 1 Post: 5 Age:
20
|
|
Posted on:19th Jul 2012, 8:25pm |
|
|
Teenage Relationships
Mein sirf itna kahunga k agar aik insaan kisi ko pasand bhe karta hai tou yeh koi buri baat nahe hai. Its a law k opposite sex walay ko aik dusray say attraction hoti its nothing. But yeah agar hum kisi ko pasand bhe karlein tou phir woh hamara last decision hona chahiye because i believe pyaar kisi say aik dafa hota hai buhat ziada calculated risks hotay hain relationships mein. But agar app kisi ko pasand kartay bhe hu teen age mein tou you need to make sure k yeh banda/bandi meray saath zindagi guzarnay k qabil hai? dosri baat aik successful relation uss waqt chalta hai jub app aik kaamyaab insaan hun when you're educated.. have a good job uss k baad if you tell your parents tou unko bhe koi aiteraz nahe huga!
|
hamzamalik |
Group: Members Joined: 21st Jul, 2012 Topic: 0 Post: 4 Age:
21
|
|
Posted on:22nd Jul 2012, 5:20pm |
|
|
love in teenage I AM 17 YEARS OLD N I LOVE MY CZN. SHE ALSO LOVE ME SINCE 6 SEPTEMBER 2003.LKIN US TYM HAMARI ITNI BT NA HTI THI LKIN IS WQT KOI 3 SAAL SE HAMARE DRMIAN BT HOI MOBILE PHONE K THROUGH. PHR HM NE AIK DOSRE KO PURPOSE KR DYA R AB HAM AIK DOSRE K ITNE CNTARACT MA HTE HA K AIK AIK LAMHE KA PTA HTA HA R HM DNU MA PYAR R GEHRA R GHRA HTA JA RHA HA JO K HR KSI KO PTA HA US K GAR MA B R MERE B LKIN HM HA K KSI KI BT NAI SUNTE BS PYAR KA BHOOT SAWAR HA HM DNU PA. R HM BS R KOI HO NA HO BS HM DNU HO TO SARI ZINDGI KHUSI SE RHE SHE IS ALSO 17 YEARS OLD. I LOVE U H**A SO MUCH |
hamzamalik |
Group: Members Joined: 21st Jul, 2012 Topic: 0 Post: 4 Age:
21
|
|
Posted on:22nd Jul 2012, 5:29pm |
|
|
SOLUTION SOLUTION SOLUTION YE HA K JB DO LRKA LRKI AIK DOSRE KO CHATE HA TO UN KO APNI MARZI KR LNI CHAIYE KYUN K \
; ZINDGI UN DNU NE GUZARNI HA NA K MA BAP NE IS LYE MA KHTA HO K DO PYAR KRNE WALO KO JUDA NAI KRNA CHAIYE KYUN K JB YE PYAR JNOON KI HAD TK PHNCHTA HA TO KSI KO NAI DKHTA IS LYE PYAR KRNEE WALO KO JUDA NAI KRNA CHAIYE BLKE UN KA SATH DNA CHAIYE
- IS LYE CHAIYE K HAMARA MUASHR UN KO ACCEPT KRE
- JB WO KHUSH HO K SB KUSH
- KYA MA BAP APNE BETE YA BTI KO GAMGEEN DKH SKTE HA KYA
BS PYAR KRNE WALO KA SATH DNA CHAIYE NA K UN KO TRPAYA JAER JO MA BAP APNE BETE YA BTI KO SARI ZINDGI RTA HUA DKHNA CHAHTE HO WO JAHA DIL HA UN KI SHADI KR DAIN
|
WellKnOwN |
Group: Members Joined: 06th Sep, 2011 Topic: 42 Post: 3162 Age:
24
|
|
Posted on:23rd Jul 2012, 2:08am |
|
|
hamza apka solution ghair Islami logo ke liye hai, muslims ke liye nahe,,, Lehaaza iss tarah ke solutions dena gunah hai as well as yaha par bi allowed nahe hai.... |
X Prince |
Group: Members Joined: 02nd Apr, 2012 Topic: 7 Post: 16 Age:
19
|
|
Posted on:25th Jul 2012, 11:29pm |
|
|
Must Read my comment. Love and shadi do alag alag cheezain hain.Aaj log attraction ko love samjh lete hain hain jo Be hayai aur fahashi ka natija hai aur is tarah ki shadiyon main so called love kuch hi dinon main khatam hojata hai aur phir DIVORCE YA SAMJHOTA.Asli love har kisi ko nahi hota lekin jis ko hojaye sirf ek hi baar hota hai aur yeh sirf media ki waja se nahi balkay yeh to barson se horaha jab media develop hi nahi tha. |
X Prince |
Group: Members Joined: 02nd Apr, 2012 Topic: 7 Post: 16 Age:
19
|
|
Posted on:25th Jul 2012, 11:30pm |
|
|
Must Read my comment. Love and shadi do alag alag cheezain hain.Aaj log attraction ko love samjh lete hain hain jo Be hayai aur fahashi ka natija hai aur is tarah ki shadiyon main so called love kuch hi dinon main khatam hojata hai aur phir DIVORCE YA SAMJHOTA.Asli love har kisi ko nahi hota lekin jis ko hojaye sirf ek hi baar hota hai aur yeh sirf media ki waja se nahi balkay yeh to barson se horaha jab media develop hi nahi tha. |
zs 874 |
Group: Members Joined: 24th May, 2012 Topic: 1 Post: 27 Age:
21
|
|
Posted on:3rd Aug 2012, 3:10am |
|
|
Almost, you are quite right my friend prince but ajkal asli ayar ko koi nai samajhta aur fakes k peachy dunya bhag kar jati hai anyhow true lover hamesha yehi chahy ga k woh aisa khuch na kary jis sy usky mehbob ya kisi aur k oper koi ungli uthaye balky koshish kary aur baqi khuda par chor dy, WOH KEHTY HAIN NA,
K ISHQ MAIN NA GUZRY APNI HAD SY KOI,
JIS KO JO MILTA HAI NASEEB SY MILTA HAI,
|
|