myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 107 Post: 5636 Age:
53
|
|
Posted on:11th Jun 2011, 12:18am |
|
|
bahoot khoooob:) u mean k zulm, takabbur, khayanat aur hasad mardouN ka khassa hai aur aurtoun ka khassa sirf 1 n only makar :)
(hukmraan, zameendaar, taajir, ulema sab k sab bilamoom mard hi hotay haiN naa) |
Maryam |
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 26 Post: 4432 Age:
|
|
Posted on:11th Jun 2011, 2:43am |
|
|
maine to kuch bhi nahi kaha :)
بچھڑنے والے ! بچھڑنے والے ! تجھے خبر ھے ؟ کہ تیرے جانے سے میرا جیون ، ہزار خانوں میں بٹ گیا ھے تجھے خبر ھے بچھڑنے والے ! کہ میری خوشیاں ہی کھو گئ ھیں، میں کتنا تنہا سا ہو گیا ھوں وجود میرا تو اس سفر میں، یہ دیکھ زخموں سے اَٹ گیا ھے میں سوچتا ہوں! مگر یہ سوچیں ، کیوں ایک نقطے پہ جم گئ ھیں؟ مجھے یہ محسوس ہو رہا ھے ، کہ جیسے سانسیں ہی تھم گئ ھیں مجھے بتا دے بچھڑنے والے!کہ خود کو کیسے سنبھالنا ھے؟ ہجر کے رستوں پہ چلتےچلتے یہ میرے پاؤں لہو میں تر ھیں یقین کر لے میں تھک گیا ھوں بچھڑنے والے تجھے خبر ھے
میں کب کا خود سے بچھڑ گیا ھوں
|
binduu82 |
Group: Members Joined: 03rd Apr, 2011 Topic: 8 Post: 100 Age:
25
|
|
Posted on:24th Jun 2011, 8:55am |
|
|
Aahat aahat si hui thi na koi barg hila tha main khud hi sare manzil e shab cheekh pada tha lamhe ki faslain bhi mere gird khadi thi main phir bhi tujhe shehar main aawara laga tha tune jo pukara hai to bool utha hun warna main fikr ki dehleez pe chup chaap khada tha pheeli thi bhar e shar main tanhai ki baatain shayad koi deewar ke peeche bhi khada tha ab uske siwa yaad nahi jashn e mulaaqat ek maatami jugnoo meri palkoon pe saja tha ya baarish sang ab ke musalsal na hui thi ya phir main tere shehar ki rah bhool gaya tha ek jalwa e mehboob se rooshan tha mera zehan wajdaan yehi kehta hai wohi mera Khuda tha weeran na ho is darja koi mausam e gul bhi kehte hain kissi shakh pe ek phool khila tha ek tu ke guraizaan hi raha mujh bahar taur ek main ke tere naqsh e qadam choom raha tha deekha na kisi ne bhi meri simt palat kar mohsin main bikhre hue sheeshon ki sada tha |
hasna |
Group: Members Joined: 25th Apr, 2009 Topic: 39 Post: 1776 Age:
25
|
|
Posted on:18th Jul 2011, 8:28pm |
|
|
wo shkhas mjy pyara hai
wo shakhas mjy pyara hai usay kehna
wohi jeene ka sahara hai usay kehna
log pyare he bht se mjko
wo sabse pyara hai usay kehna
muhabbtein shikaite adwatee uski
mjy sab gwara he usay kehna hai
chahne wale aur b he laikin
hai siraf intezar tera
usay kehna
dooob na jau teri chahat k samander me
wohi hai mera kinara usay kehna
zindagi krdi usi k naam per danish
wo kr k daikhy ishara usay kehna
wohi jeenay ka sahara hai usay kehna
wo shakhas mjy pyara hai usay kehna
wohi jeenay ka sahara hai usay kehna
usay kehna..................
|
Maryam |
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 26 Post: 4432 Age:
|
|
Posted on:19th Jul 2011, 4:54am |
|
|
kisi ki yaad ka mausam koi mausam ho dil meiN hae tumhari yaad ka mausam
k badla hi nahi janaaN tumharay baad ka mausam
nahi to aazma kar dekho lo kaise badalta hae
tumharay muskraanay se dil e nashaad ka mausam :)
rutoN ka qayedah hae waqt par yeh aati jati haiN
humaray shehar meiN kyuN ruk gaya far.yaad ka mausam
kahiN se us haseeN awaaz ki khushboo pukaaregi
to us k sath badlega dil e barbaad ka mausam
meray shehar e pareshaN maiN, teri be.chaand raatoN meiN
bohat hi yaad karta houN teri bun.yaad ka mausam
na koi gham khizaan ka hae, na khaahish hae bahaaroN ki
hamaray sath hae amjad kisi ki yaad ka mausam |
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 107 Post: 5636 Age:
53
|
|
Posted on:19th Jul 2011, 6:29am |
|
|
mobile ka woh sim woh zong ka ho yaa telenor ka ho sim
k badla nahi jataa tumharay mobile ka woh sim
nahi to aazmaa kar dekh lo, mobile nayaa dekar
tumhari call par bolega meri mobile ka woh sim
nah koi gham bichaRnay ka, nah hai fikar milnay ki
hamaray saath hai amjad, tumharay mobile ka woh sim |
Diplomate |
Group: Members Joined: 18th Oct, 2009 Topic: 49 Post: 3159 Age:
35
|
|
Posted on:19th Jul 2011, 3:23pm |
|
|
poetry ki parody wadda paa g aap ny parody to buhat khoob ki hay laiken aap ny pathano k lehjy main aysa q kiya hay aap ny mu'annas ko mazak'kar bana diya hay , yaani sim muannas hay ap ny issy mazak;kar likha hay
"mobile ki sim" instead of "mobile ka sim" ...:)) |
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 107 Post: 5636 Age:
53
|
|
Posted on:20th Jul 2011, 12:49am |
|
|
yehi to parody hai:) naak rakhta hai, kaan rakhta hai
ham bhi mouNh maiN zobana rakhta hai
ham ko deta hai niswaar ka taanaah ?
khud mouNh maiN paan rakhta hai :) |
hasna |
Group: Members Joined: 25th Apr, 2009 Topic: 39 Post: 1776 Age:
25
|
|
Posted on:30th Jul 2011, 4:56am |
|
|
bijli POEM........:) Bijli hoon ma bijli hoon,Pakistan Ki Titli hoon,
Adha Ghanta ati hoon,
8,8 Ghante jati hoon,
Upar Pankha sota ha,
Neeche Banda rota ha,
BandY Ki jaan jati ha,
Bijli usey tarpaati ha,
Bijli Ma Nirali hoon,
Bohat Nakhry wali hooN.
|
glamour |
Group: Members Joined: 13th May, 2011 Topic: 13 Post: 917 Age:
25
|
|
Posted on:16th Sep 2011, 6:31am |
|
|
full layrics of Meri zaat zara-e-benishan
Tere siwa kya jaane koi dil ki halat Rabba saamne tere guzri mujh par Kaisi qayamat Rabba Main wo kis tarahn se karun bayan jo kiye giye hain sitam yahan Main wo kis tarahn se karun bayan jo kiye giye hain sitam yahan Sune kon meri yeh daastan koi hamnasheen hai na raazdan Jo tha jhoot wo bana sach yahan nai kholi maine magar zuban Yeh akela pan yeh udaasiyan meri zindagi ki hai tarjman Meri zaat zara e benishan Meri zaat zara e benishan Kabhee sooni subhun main ghoomna kabhee ujri shaam ko daikhna Kabhee sooni subhun main ghoomna kabhee ujri shaam ko daikhna Kabhee bheegi aankhun se jaagna kabhee beete lamhun ko sochna Magar ek pal hai umeed ka hai mujhe Khuda ka jo aasra Na hi maine koi gilla kiya na hi maine di hain duhaiyan Meri zaat zara e benishan Meri zaat zara e benishan Main bataun kya mujhe kya mille mujhe sabr hi ka silla mile Main bataun kya mujhe kya mile mujhe sabr hi ka silla mile Kissi aaghi ki rida mille kissi dardgi ka silla mile Kiss gham ki dil main jagah mille jo mera hai wo mujhe aa mille Rahe shaad yuhin mera jahan k yeh yaqeen main badle mera gumaan Meri zaat zara e benishan Meri zaat zara e benishan Meri zaat zara e benishan Meri zaat zara e benishan
|
Aks-E-mehr |
Group: Members Joined: 03rd Nov, 2011 Topic: 3 Post: 38 Age:
26
|
|
Posted on:8th Nov 2011, 5:51am |
|
|
WO HAMSAFAR THA .......... AS SALAM O ALIKUM
I am shareing a title song of drama humsafar wich have very nice and heart touching layrics .may b u people enjoy it or like it :)....... ithis is one of my favourite song and i love its poetry
Adaavatein theen… Taghaaful thaa… Ranjishein theen Magar
Bicharne walay main sab kuch thaa Bewafai na thi…
…
K dhoop chhaon ka…
K dhoop chhaon ka alam raha, judaai na thi.
Wo --
Wo humsafar thaa…
Beecharte waqt un ankhon mein, theeee
hamari ghazal
Ghazal bhi wo
jo , kisi ko kabhi sunayi na thi
K dhoop chhaon ka…
K dhoop chhaon ka alam raha, judaai na thi.
Wo --
Wo humsafar thaa…
Tarq-e-taaluqaat pe… roya na tu, na main
Lekin ke yeh kya chain se soya na tu, na main
Wo humsafar thaa…
Wo humsafar thaa
Wo --
K dhoop chhaon ka alam raha, judaai na thi.
Wo --
thaa magar us sey humnawai na thi…
K dhoop chhaon ka alam raha, judaai na thi.
Wo --
thaa…
Wo humsafar thaa…
AKS-E-MEHAR
|
|