UNLEASHED- |
Group: Joined: 31st Dec, 1969 Topic: 0 Post: 107 Age:
|
|
Posted on:2nd Apr 2011, 5:23pm |
|
|
neha.
yeh to dua haina ky Allah reham farmaye :) lol yes ye dua hai Allah hum sab pe rehem farmae, hamain hum sab kehna chahiyai hamesha kyun k hum sab rehem k kabil hain is dunia ka koi ek fard nahi sirf. likin ye dua nahi hai Allah reham farmaye :) lol , kyun k dua mai lol nahi lagaya jasakta aur na hans k dua ki jasakti hai. aur na khali Allah rehem farmaye kehna chahiyai kyun k ismai kisi object ki nishandihi nahi horahi. |
Maryam |
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 26 Post: 4432 Age:
|
|
Posted on:5th Apr 2011, 2:58pm |
|
|
aik shair zarurat toR deti hae ghuroor-e be-niazi ko na hoti koi majburi to har banda KHUDA hota
|
Diplomate |
Group: Members Joined: 18th Oct, 2009 Topic: 49 Post: 3159 Age:
35
|
|
Posted on:7th Apr 2011, 4:23pm |
|
|
raaz-e-muhabbat mujhy halak fraib majaaz rehny dy na chairr ounga , imte'aaz rehny dy
main raz-e-ishaq ko begana-e-jahan rakhon magar jo masahat-e-husan-e-raaz rehny dy
yeh baat kia k haqeeqat wohi majaaz wohi majaaz hay to phir iss ko majaaz rehny dy
yeh khaanqa nahi pi b ja ay zahid yeh meh'kada hay yahan ahtraaz rehny dy
guzarti hay jo dil-e-ishaq par na pooch "jigar" yeh khaas raz-e-muhabbat hay raaz rehny dy
|
Diplomate |
Group: Members Joined: 18th Oct, 2009 Topic: 49 Post: 3159 Age:
35
|
|
Posted on:7th Apr 2011, 4:33pm |
|
|
khaloos mansoob thy jo log meri zindagi k sath aksar wohi mily hain barri be rukhi k sath
youn to main hans parra hon tumhary liye magar kitny sitaary toot parry ek hansi k sath
fursat mily to apna gir-e-baan b daikh ly ey dost youn na khail meri by basi k sath
majboriyon ki baat chali hay to meh hay kahan hum ny piya hay zehar b aksar khushi k sath
ek sajda-e-khaloos ki qeemat qaza-e-khulad ? ya rabb na kar mazzaq meri zindagi k sath
"Mohsin" karm ki lay b ho jis main khaloos ki mujh ko ghazab ka piyaar hay uss dushmani k sath
|
Maryam |
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 26 Post: 4432 Age:
|
|
Posted on:15th Apr 2011, 6:05am |
|
|
Ahmed Faraz
Mere Dil Mere Musafir Hua Phir Hukam Sadir K Watan Badar Hon Hum Tum Den Gali Gali Sadaaen Kren Rukh Nagar Nagar Ka K Suragh Koi Paen Kisi Yaar Nama-e-Br Ka Hr Ek Ajnabi Se Puchen Jo Pata Tha Apny Ghar Ka Sar Koo-e-Na'Shanaiyaan Humen Din Se Raat Krna Kabhi Is Se Bat Krna Kabhi Us Se Bta Krna Tumen Kya Kahun Kya Ha Shab-e-Gham Buri Bala Ha Humen Ye B Tha Ghaneemat Jo Koi Shumaar Hota Kya Bura Tha Marna Gr Aik Baar Hota.
|
diamond21 |
Group: Members Joined: 15th Apr, 2011 Topic: 1 Post: 3 Age:
37
|
|
Posted on:15th Apr 2011, 4:56pm |
|
|
mohabat hum to samjay thay ik zakhm hi barh jay ga kia khaber thi kay rage jan main utar jay ga |
UNLEASHED- |
Group: Joined: 31st Dec, 1969 Topic: 0 Post: 107 Age:
|
|
Posted on:15th Apr 2011, 5:23pm |
|
|
cxvcvxcxcv cx cxvcx
|
UNLEASHED- |
Group: Joined: 31st Dec, 1969 Topic: 0 Post: 107 Age:
|
|
Posted on:15th Apr 2011, 5:29pm |
|
|
Muhabbat ki hai
Terey Ekhlaass Say Mohabbat Ki Hai
Terey Ehssaas Say Mohabbat Ki Hai
Tu Merey Pass Nahin Hai Phir Bhi
Teri Yaad Say Mohabbat Ki Hai
Kabhi Tu Nay Bhi Mujhay Yaad Kya Ho Ga
Main Nay Un Lamhaat Say Mohabbat Ki Hai
Jin Main Ho Sirf Teri Aur Meri Baatain
Main Nay Un Auqaat Say Mohabbat Ki Hai
Aur Jo Mahekay Ho Sirf Teri Hi Mohabbat Say
Main Nay Un Jazbaat Say Mohabaat Ki Hai
Tujh Say Milna Tu Ab Khuwaab Sa Lagta Hai ???
Mohsin Nay Terey Intezaar Say Mohabbat Ki Hai |
Diplomate |
Group: Members Joined: 18th Oct, 2009 Topic: 49 Post: 3159 Age:
35
|
|
Posted on:20th Apr 2011, 12:54pm |
|
|
UNLEASHED- kabi UNLEASHED aur kabi Un-leashed ..? yeh kia chakar hay bhaiya ..?
waisy aap ko shairi ka shoq kab sy ho geya ? aap larraiyaan hi kiya karain yeh kaam mat karain aysa kaam aap par suit nahi karta ..:)
chal bhai abb gussy sy bharpoor aur jala bhuna jawab kardy ...shabash ...:))lol |
Un-leashed |
Group: Joined: 31st Dec, 1969 Topic: 1 Post: 123 Age:
|
|
Posted on:20th Apr 2011, 4:17pm |
|
|
diplomate bhaiyya kia kia batain banatay rehte ho tum ? andazay lagana bund karo warna aese hi uljhay raho gay :))
|
Diplomate |
Group: Members Joined: 18th Oct, 2009 Topic: 49 Post: 3159 Age:
35
|
|
Posted on:24th Apr 2011, 9:27am |
|
|
kabi yaad ayein to poochna kabi yaad ayien to poochna apni khilwat-e-shaam sy kisy ishaq tha teri zaat sy kisy piyaar tha tery naam sy
zara yaad ka k wo kon tha jo kabi tujhy b azeez tha wo g utha tery naam sy wo jo mar mita tery naam sy
humain be-rukhi ka nahi gila k yahi wafaoon ka hay sila magar aysa juram tha konsa k hum gaye dua-o-salam sy
na kabi ki chah wisaal ki na kani aah ki furaaq main k mera tareeqa-e-bandagi hay juda tareeqa-e-aam sy
|
Maryam |
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 26 Post: 4432 Age:
|
|
Posted on:8th Jun 2011, 2:33am |
|
|
teray paas jitnay jawab thay
جو اتر کے زینہ شام سے تیری چشم خوش میں سما گئے وہی جلتے پجھتے سے مہر و ماہ میرے بام در کو سجا گئے
یہ عجیب کھیل ہے پیار کا میں نے آپ دیکھا یے معجزہ وہ جو لفظ میر ے گماں میں تھے وہی تیری زباں پر آگئے
وہ جو گیت تم نے سنا نہیں میری عمر بھر کا ریاض تھا میرے درد کی تھی وہ داستاں جسے تم ہنسی میں اڑا گئے
وہ چراغ جان کبھی جس کی لو نا کسی ہہوا سے نگوں ہہوئی تیری بیوفائی کا وسوسے اسے چپکے چپکے بجھا گئے
وہ تھا چاند شامِ وصال کا کے تھا روپ تیرے جمال کا میری روح سے میری آنکھ تک کسی روشنی میں نہا گئے
یہ جو بندگانِ نیاز ہہے یے تمام ہہے وہ لشکری جنہیں زندگی نے اماں نہ دی تو تیرے حضور میں آ گئے
تیری بے رخی کے دیار میں، میں ہہوا کے ساتھ ہہوا ھوا تیرے آئینے کی تلاش میں میرے خواب چہرہ گنوا گئے
تیرے وسوسوں کے فشار میں تیرے شررِ رنگ اجڑ گئے میری خواہشوں کے غبار میں میرے ماہ و سال وفا گئے
وہ عجیب پھول سے لفظ تھے تیرے ہہونٹ جن سے مہک اٹھے میرے دشتِ خواب میں دور تک کوئی باغ جیسے لگا گئے
میری عمر سے نہ سمٹ سکے میرے دل میں اتنے سوال تھے تیرےپاس جتنے جواب تھے تیری اک نگاہ میں آگئے ۔
|
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 107 Post: 5636 Age:
53
|
|
Posted on:8th Jun 2011, 5:00am |
|
|
bahoot khoob
میری عمر سے نہ سمٹ سکے میرے دل میں اتنے سوال تھے تیرےپاس جتنے جواب تھے تیری اک نگاہ میں آگئے |
Diplomate |
Group: Members Joined: 18th Oct, 2009 Topic: 49 Post: 3159 Age:
35
|
|
Posted on:8th Jun 2011, 10:01am |
|
|
Meri Zaat Zara-e-Benishaan excellent sharing by maryam ....good zouq ..;) |
Maryam |
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 26 Post: 4432 Age:
|
|
Posted on:8th Jun 2011, 10:12am |
|
|
Asalam O alaikum myrizvi bhai aur diplomate bhai jazakAllah :) yeh meri pehli post hae jissay maine khud urdu meiN likha hae issi liye kuch mistakes nazar aa rahi haiN :) |
Diplomate |
Group: Members Joined: 18th Oct, 2009 Topic: 49 Post: 3159 Age:
35
|
|
Posted on:8th Jun 2011, 10:22am |
|
|
hmmmm hamary nissab main aik english story howa karti thi .."First Flight" ..shaid yahi name tha ...aap ki bat sy wo story yaad agayee ..
waisy maryam g iss duniya main aany k baad har insan har kaam pehli dafa hi karta hay iss k baad wo aadi ho jata hay ...:)
wo English main muhahawar hay k .A man first plays a game then decides how to play the game .....:) |
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 107 Post: 5636 Age:
53
|
|
Posted on:9th Jun 2011, 2:34am |
|
|
nikkay praa g A man first plays a game then decides how to play the game .....:)
aur woman k baray maiN kia mohawrah hai :) |
Diplomate |
Group: Members Joined: 18th Oct, 2009 Topic: 49 Post: 3159 Age:
35
|
|
Posted on:10th Jun 2011, 3:55pm |
|
|
waddy praa g re "aur woman k baray maiN kia mohawrah hai :)"
waddy praa g aap woman k bary main english ki baat to na hi karain , aaj kal to punjabi woman b english woman ban'ny k chakar main hay ...:) khair woman to woman hi hoti hay chahy punjaabi ho ya english , ihsasaat , jazbaat to sab k aik jaisy hi hoty hain , iss liye muhawara english main ho ya kisi aur zuban main agar aurat k bary main hay to samjh lain k bikul theek hay ,
waisy aik farsi muhawra hay k (urdu tarjma) "aurat jaisa makar kisi main nahi hay"
iss muhawery ki tashreeh karty howy shaikh saadi k dor main aik writer ny aurton ki tamam makariyon ko yak jaa kar k aik book likh daali , uss ny dawa kiya k uss ny aurton main paye jany waly har qisam k makr aur fraib ko iss book main discus kiya hay , jab wo shaikh sahib k paas book par nazar-e-saani k liye poohancha to shaikh sahib ny book parrny k baad farmaya k go k iss book main aurton k makr-o-faraib ko buhat khoobi k sath discus kiya geya hay taham aik makkaar aurat inn biyan karda makar-o-fraib sy kaheen ziyada agy hoti hay
inn comments par writer ny kaha k jab main ny aurat ka har qisam ka makar biyan kardiya hay to phir konsi aysi baat reh gayee hay jo main likh nahi saka . shaikh sahib ny ussy kaha k wo door khaiton main kuch aurtain kaam kar rahi hain unnk paas jao aur iss book main likhy sab makar unhain parr kar sunao wo khud bataien gi k kia kia kami hay
wo banda aurton k pas geya , sab makar parr kar sunaye to kaam wali aurtain hanas kar bolieen tumhain aurton ki makkari ka kia pata abi daikho makar kisy kehty hain . iss bat k sath hi aurton ny chillaana shuro kar diya "bachaoo".. "bachaoo" , kuch door kaam karty howy mard hathon main auzaar pakarry bhagty howy aye aur samjhy k paas kharry mard ny inn aurton k sath kuch ulta seedha karny ki koshish ki hay .
qareeb tha k wo log "kasi" "belcha" "dranti" waghaira k waar kar k writer sahib ko mout k ghat utaar daity k aik aurat boli ary ary iss shareef admi ko kuch mat kaho , yahan sy aik saanp nikal aya tha aur hum ny shor macha diya aap logon sy pehly yeh sahib puhanch gaye aur iss trah inhon ny hamari jaan bacha li ..
yeh sun kar sab log writer sahib ki tareef karny lagy aur wapis chaly gaye , iss k baad aurton ny writer sahib ki janab daikh kar zor ka qehqa lagaya aur poocha k abb batao kia tum aurton k makar-o-fraib sy waqif howy ho ?
iss baat ko daikh kar writer ny apni book ko zameen par rakha aur "kasi" k sath book ko kaat daala aur kaha k haan waqiya hi main aurat ki makkari aur fraib ko samjh hi nahi saka , aurat chahy to kisi be-gunah ko gunah gaar sabit kar sakti hay aur agar chahy to gunah gaar ko be-gunah
lehaza wadda praa g aap b issi lambi chorri baat ko woman k bary main muhawara hi samjhain .......:))) |
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 107 Post: 5636 Age:
53
|
|
Posted on:10th Jun 2011, 11:34pm |
|
|
issi liyeh to ... persian maiN kahtay haiN k ... gurbah kushtan rozay awwal ... n u know k gurbah ko urdu main biwi :) yani aurat hi kahtay haiN lol |
Maryam |
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 26 Post: 4432 Age:
|
|
Posted on:10th Jun 2011, 11:47pm |
|
|
aik aurat aik kahaawat :) go k khawateen aisi kahaniyaN paRh kar koi khaas khushi ka izhaar nahi
kar pateeN lekin is k bawajood is haqeeqat se inkaar nahi :) aik martbah
shaitaan khachar pe 5 boriyaan laad kar kahin ja raha tha. Hazrat Essa
AS ne jab shaitaan ko dekha to poocha k yeh samaan laad kar kahaN
jarahay ho? us ne kaha yeh mera soda hae aur main tijarat k liye frokht
karnay jaraha huN.
hazrat Essa As ne daryaaft kiya k is meiN kiya hae aur in ka khareedaar
kaun hae ? to shaitaan ne jawab diya is meiN 5 tabqoN k liye 5 cheezaiN
haiN
1- zulm...........baadshah aur hukmaraan tabqay k liye.
2-takabbur.............zameendaaroN k liye
3-khayaanat, khoT...................taajiroN k liye
4-hasad................ulema k liye
5-makkar........................aurtoN k liye.
5 ungliyaan brabar nahi hotiN lekin kasrat ki wajah se in tabqaat ko inhi standards pe dekha jata hae.
|
|