Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

  Erection By Nitric Oxide
Stronger Erections - Get Harder Erections by Increasing Nitric Oxide
Enlarged Prostate
Treating an Enlarged Prostate
Exercise For Man Boobs
Best Exercise to Get Rid of Man Boobs
Male Libido
Male Libido Enhancers - How To Enhance Low Male Libido
 
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
 
    Start New Topic  My Profile
 

Meri Zaat Zara-e-Benishaan (Urdu Poetry Selected By Diplomate)

Urdu
 
 
 
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 49  Post: 3159  Age:  35  
Posted on:28th Mar 2011, 11:01pm
 

Meri Zaat Zara-e-Benishaan (Urdu Poetry Selected By Diplomate)

Main wo kis tarh sy karoon beyan jo kiye gaye hain sitam yahan, 
Suny kon meri ye dastaan koi humnasheen hy na raazdan, 
Jo tha jhoot wo bana sach yahan nahi kholi maine magar zuban, 
Ye akelapan ye udasiyaan meri zindagi ki hain tarjman, 

Meri zaat zar'ra-e-benishaan , 
Meri zaat zar'ra-e-benishaan, 

Kabhi sooni subho main ghoomna, Kabhi ujrri shamon ko daikhna, 
Kabhi bheegi ankhoon sy jagna, Kabhi beety lamhon ko sochna, 
Magar aik pal hay ummeed ka hay mujhy khuda ka jo aasra, 
Naa hi main ny koi gila kia, Naa hi main ny di hain duhaiyan, 

Meri zaat zar'ra-e-benishaan , 
Meri zaat zar'ra-e-benishaan, 

Main bataoon kia mujhy kia mily mujhy sabr hi ka sila mily, 
Kisi aur hi ki rida mily kisi dard hi ka sila mily, 
Kisi gham ki dil main jagha mily, Jo mera hay wo mujhy aa mily, 
Rahy shaad yoonhi mera jahan k yakeen main badly mera gumaan, 

Meri zaat zarra-e-benishaan , 
 Meri zaat zarra-e-benishaan,



Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 49  Post: 3159  Age:  35  
Posted on:28th Mar 2011, 11:05pm
 

:-((((

تیرے عشق کي انتہا چاہتا ہوں
میری سادگی ديکھ کيا چاہتا ہوں

ستم ہو کہ ہو وعدہ بے حجابی
کوئی بات صبر آزما چاہتا ہوں

يہ جنت مبارک رہے زاہدوں کو
کہ ميں آپ کا سامنا چاہتا ہوں

ذرا سا تو دل ہوں ، مگر شوخ اتنا
وہی لن ترانی سنا چاہتا ہوں

کوئی دم کا مہماں ہوں اے اہل محفل
چراغ سحر ہوں ، بجھا چاہتا ہوں

بھری بزم ميں راز کی بات کہہ دی
بڑا بے ادب ہوں ، سزا چاہتا ہو‏ں



UNLEASHED- Group:   Joined: 31st Dec, 1969  Topic: 0  Post: 107  Age:   
Posted on:28th Mar 2011, 12:43pm
 

sad heart

itni udasi pehle to kabhi na thi ? kis k ishq ne itna udaas kardia hai tumhain dost?

Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 49  Post: 3159  Age:  35  
Posted on:28th Mar 2011, 1:56pm
 

unleashed

main "sad_heart" nahi "Diplomate" hon ....:))

re : "itni udasi pehle to kabhi na thi ? kis k ishq ne itna udaas kardia hai tumhain dost? "

Dil k lut jany ka izhaar zaroori to nahi
Ye tamasha sar-e-bazar zaroori to nahi

Mujy tha ishaq kisi ki rooh sy aur ab b hay
Jisam sy ho koi saro kaar zaroori to nahi

Main ussy toot k chahon ye meri fitrat hay
Wo b ho mera talab gaar zaroori to nahi

Ay sitam gar zara jhank meri ankhon main
Zuban sy pyaar ka izhaar zaroori to nahi
Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:29th Mar 2011, 1:57am
 

wah wah

diplomate bhai ki halat dekh kar mujhay bhi aik shair yaad agaya

na tha shair se koi waasta, na tha shaiiri se maiN ashna
teri yaad ne teray dard ne mujhay shair kehna sikha diya :)

wese sabhi shairi to aap ne khoob share ki lekin meri zaat zara e benishan novel aur drama bhi classic haiN. maine 2 or 3 nights jaag kar dekha aur sari raat rotay rotay guzar jati thi :)
UNLEASHED- Group:   Joined: 31st Dec, 1969  Topic: 0  Post: 107  Age:   
Posted on:29th Mar 2011, 5:14am
 

to diplomate

mainay tumhai reply kia tha likin wo nazar nahi araha ab, to ab tumne mere replies delete kar k jeetne ka irada karlia hai :)) :)) chalo aese hi khush hojaoo tum :))
Neha_83 Group: Members  Joined: 16th Dec, 2009  Topic: 2  Post: 169  Age:  29  
Posted on:29th Mar 2011, 10:22am
 

Unleashed

aapka meetha meetha replay meiny parha tha .lekin woh kuj zyada meetha ho gaia tha. itna key shehad ky makhyan a gaen apkey us meethe replay pey

ap ainda zara itna meetha na kia kare replay shaid kuj bach jaey
ek mukhlisana mashwra hay ab naraz na ho jana ..lol
Bhimji Group: Members  Joined: 07th May, 2008  Topic: 13  Post: 1837  Age:  29  
Posted on:29th Mar 2011, 1:10pm
 

Hmmm

Very Nice sharings mgr koshish karen ke kch nia aur hatt ke material ho. New poetry parrhne main zeyada maza aata hae bjaye aisi poetry ke jis par songs ya ghazals bn kr b kafi hit b ho chuki hon. I am also sharing....

Aankhun ki tarah raaz hae khulta b nahi woh,

Selaab bn jata hae Dareya b nahi woh,

Uss shakhas ke pehlu main sakoon kitna hae,

Jabke Girja nahi Mandir nahi Kaaba b nahi woh.

UNLEASHED- Group:   Joined: 31st Dec, 1969  Topic: 0  Post: 107  Age:   
Posted on:29th Mar 2011, 2:41pm
 

neha

who are you ?
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 49  Post: 3159  Age:  35  
Posted on:1st Apr 2011, 12:44pm
 

neha , bhimji , maryam

aap ka iss thread main aana mery liye baays-e-iftekhaar hay ...:)) thanks for participation ..:)

aap ki nazar aik shair karna chahta tha ....laiken afsoos k abhi bhool geya hon agli post karny tak yaad ageya to zaroor kar don ga ..tab tak aap yahan kuch achi achi batain likhain ...:))
Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:1st Apr 2011, 6:30pm
 

Mohsin Naqvi

UjRay huwe logoN se gurezaaN na huwa kar
halaat ki qabroN k yeh qatbay bhi paRha kar

kiya janiye kyuN taiz hawa soch meiN gum hae
khobeeda parindoN ko darakhtoN se uRaa kar

us shakhs k tum se bhi marasim to hoNgay
woh jhoot na bolega meray samnay aakar

har waqt ka hansna tujhay barbaad na kar day
tanhaai k lamhoN meiN kabhi ro bhi liya kar

woh aaj bhi sadiyoN ki musafat pe khaRa hae
DhoonDa tha jisay waqt ki deewaar gira kar

ay dil tujhay dushman ki bhi pehchaan kahaN hae
tu halqa e yaraaN meiN bhi mohtaat raha kar

is shab k muqadar meiN sehar hi nahi Mohsin
dekha hae kai baar chiraaghoN ko bujha kar.
s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 94  Post: 5314  Age:   
Posted on:1st Apr 2011, 9:56pm
 

♥·´¯`·Re: UNLEASHED-

aap bas yehi pochte rahiye "who are u"......:D
is se agay bhi barhein...lol
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 49  Post: 3159  Age:  35  
Posted on:2nd Apr 2011, 3:02pm
 

Mohsin Naqvi

Yahan ujlay ujlay roop buhat , Par asli kam behroop buhat
Uss pairr k neechy kia rukna , Jahan saya kam aur dhoop buhat

Chal "Mohsin" apny gaoon main , Baithain gy sukh ki chaoon main

Q teri ankh sawali hay ?
Yahan har aik baat niraali hay
Iss dais basaira mat karna
Yahan muflis hona gaali hay

Chal "Mohsin" apny gaoon main , Jahan sachy rishty yaaron k

Jahan ghonghat zaiwar naaron k
Jahan jharny komal sur waly
Jahan saaz bajain bin taaron k

Chal "Mohsin" apny gaoon main , Jahan sona gandam ki baali

Jahan matti gaalon ki laali
Jahan darya geet sunata hay
Jahan raqas kary har daali daali

Chal "Mohsin" apny gaoon main , Jahan dairy peer faqeeron k

Jahan qissy ranjhy heeron k
Jahan ghar ghar ashiq palty hain
Talwaron , topoon teeron k

Chal "Mohsin" apny gaoon main , Baithain gy sukh ki chaoon main
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 49  Post: 3159  Age:  35  
Posted on:2nd Apr 2011, 3:20pm
 

Mohsin Naqvi

aysa TooTa hay taman'naoon ka pind'daar k bas
dil ny jhaily hain muhabbat main wo azaar k bas

ikk jhamaky main zamany mery hathon sy gaye
iss qadar taiz hoi waqat ki raftaar k bas

tu kabhi ruk k hamain daikh to bazar k beech
iss trah TooT k ayaien gy khareedaar k bas

kal b sadiyon ki musafit sy pary thy dono
darmiyaan aaj b parrti hay wo dewaar k bas

yeh to ikk zidd hay k "Mohsin" main shakayet na karon
warna shikway to hain itny mery yaar k bas
UNLEASHED- Group:   Joined: 31st Dec, 1969  Topic: 0  Post: 107  Age:   
Posted on:2nd Apr 2011, 3:23pm
 

s4u

aap bas yehi pochte rahiye "who are u"......:D
is se agay bhi barhein...lol

agay kese barha jata hai ?


Neha_83 Group: Members  Joined: 16th Dec, 2009  Topic: 2  Post: 169  Age:  29  
Posted on:2nd Apr 2011, 4:31pm
 

s4u madam

Unleshed ky tape chalu ho gayi hainy ..who are you ? who are you ?

bechary kahi soch soh ky pareshan hu gaye hungy ? who are you ..lol

Unleshaed
Allah aapki zehny halat pey reham farmaey
UNLEASHED- Group:   Joined: 31st Dec, 1969  Topic: 0  Post: 107  Age:   
Posted on:2nd Apr 2011, 5:03pm
 

neha

bechary kahi soch soh ky pareshan hu gaye hungy ? who are you ..lol

na mehram ajnabi logo se baat karne se pehle unse poch lenay mai kia buraye hai k ap kon ho ? ab ap baghair who r u pochay logo se free hojatay ho to ye apki marzi hai.

Allah aapki zehny halat pey reham farmaey

ye line suni suni si lag rahi hai. khair wo kese ?

Neha_83 Group: Members  Joined: 16th Dec, 2009  Topic: 2  Post: 169  Age:  29  
Posted on:2nd Apr 2011, 5:08pm
 

Unleashed

jii may samajh gai lagta hay apko har koi aty jaty yeh dua deta hoga na :)
iss lye suni sunai hi lagegy mere bhai
UNLEASHED- Group:   Joined: 31st Dec, 1969  Topic: 0  Post: 107  Age:   
Posted on:2nd Apr 2011, 5:14pm
 

neha

har koi aty jaty yeh dua deta hoga na :)

acha to u mean ye dua hai ?

Neha_83 Group: Members  Joined: 16th Dec, 2009  Topic: 2  Post: 169  Age:  29  
Posted on:2nd Apr 2011, 5:15pm
 

haa na

yeh to dua haina ky Allah reham farmaye :) lol
1 2 3  >>
 
 
 
Erectile Dysfuncion
ED causes
Male Menopause
Male Menopause – Myth About Male Menopause
Health Advice From China
Male Sexual Health Advice From China
Food For Male Libido
Male Libido - Foods to Increase Male Libido Naturally

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.

© Copyright 2003-2017 www.forum.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us