|
|
Bewaqoof
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 263 Post: 4444 Age:
39
|
|
Posted on:28th Feb 2010, 8:47am |
|
|
Perveen Shakir Urdu Poetry: Famous Ghazals And Romantic Poetry - English Translation
Urdu Poetry Of Perveen Shakir hamare darmiyan aisa koi rishta nahin tha tere shanon pe koi chat nahin thi mere zimme koi angan nahin tha koi wada teri zanjir-e-pa banane nahin paya kisi iqrar ne meri kalai ko nahin thama hawa-e-dasht ki manind tu azad tha raste teri marzi k tabe the mujhe bhi apni tanhai pe dekha jaye to pura tasarruf tha magar jab aj tu ne rasta badla to kuch aisa laga mujh ko k jaise tu ne mujh se bewafai ki ************ harf e taaza naii khushboo mein likha chahta hai baab ik aur mohabbat ka khula chahta hai aik lamhay ki tawajoo nahi hasil uss ki aur yeh dil keh ussay hud say siwa chahta hai ik hijaab teh e iqrar hai ma'nay manay warna gul ko maloom hai kaya dast e saba chahta hai rait he rait hai iss dil mein musafir mairay aur yeah sehra taira naqash e qaf e pa chahta hai yehe khamooshi kai rung mein zahir ho gi aur kuch roz keh woh shokh khula chahta hai raat ko maan liya dil nay muqadar laykin raat kay haath pay aab koi diya chahta hai tairay paymanay mein gardish nahi baqi saqi aur tairi bezam say aab koi utha chahta hai
Perveen Shakir ki shayari pasand kerne wale yaha on ki shayari post kare
|
H/dr_Qasim
|
Group: Members Joined: 10th Sep, 2010 Topic: 185 Post: 6560 Age:
36
|
|
Posted on:28th Feb 2010, 12:03pm |
|
|
Perveen Shakir Urdu Poetry chehra mera tha nigahen us ki khamushi main bhi wo baten us ki
mere chehre pe gazal likhti gain sher kahti hui ankhen us ki
shokh lamhon ka pata dene lagin tez hoti hui sansen us ki
aise mausam bhi guzare ham ne subhen jab apni thin shamain us ki
dhyan main us k ye alam tha kabhi ankh mahtab ki yaden us ki
faisala mauj-e-hawa ne likkha andhiyan meri baharen us ki
nind is soch se tuti aksar kis tarah katati hain raten us ki
dur rah kar bhi sada rahti hai mujh ko thame hue bahen us ki
----------------------------
teri khushbu ka pata karti hai mujh pe ehsan hawa karti hai
shab ki tanhai main ab to aksar guftagu tujh se raha karti hai
dil ko us rah pe chalna hi nahin jo mujhe tujh se juda karti hai
zindagi meri thi lekin ab to tere kahne main raha karti hai
us ne dekha hi nahin warna ye ankh dil ka ehwal kaha karti hai
beniyaz-e-kaf-e-dariya angusht ret par nam likha karti hai
------------------------
ku-ba-ku phail gai bat shanasai ki us ne khushbu ki tarah meri pazirai ki
kaise kah dun k mujhe chor diya hai us ne bat to sach hai magar bat hai ruswai ki
wo kahin bhi gaya lauta to mere pas aya bas yahi bat hai achi mere harjai ki
tera pahlu tere dil ki tarah abad rahe tujh pe guzre na qayamat shab-e-tanhai ki
us ne jalti hui peshani pe jo hath rakha ruh tak a gai tasir masihai ki |
Bewaqoof
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 263 Post: 4444 Age:
39
|
|
Posted on:28th Feb 2010, 6:39pm |
|
|
Perveen Shakir Ghazal Ajib tarz-e-mulaqat ab k bar rahi
tumhin the badle hue ya meri nigahen thin tumhari nazron se lagta tha jaise meri bajaye tumhare ghar main koi aur shakhs aya hai tumhare ohad ki denen tumhen mubarak
so tum ne mera swagat usi tarah se kiya jo afsaran-e-hukumat k aitaqad main hai takallufan mere nazdik a k baith gaye phir ehtamam se mausam ka zikr cher diya
kuch us k bad siyasat ki bat bhi nikli adab par bhi koi do char tabsare faramaye magar na tum ne hamesha ki tarah ye pucha kya waqt kaisa guzarta hai tera jan-e-hayat
pahar din ki aziyat main kitni shiddat hai ujar rat ki tanhai kya qayamat hai shabon ki sust rawi ka tujhe bhi shikwa hai gam-e-firaq k qisse nishat-e-wasl ka zikr rawayatan hi sahi koi bat to karte
Another Ghazal By Perveen Shakir
Tujh se koi gilla nahin hai Qismat main meri silla nahin nahi
Bichar ke to na-janey kia haal ho Jo shakhs abhi milla nahi hai
Jeeney ki to aarzu hi kab thi Marney ka bhi hosla nahin hai
Jo zeest ko mu-tabir bana dey Aesa koi silsila nahin hai
Khushboo ka hisaab ho chuka Aur phool abhi khilla nahi hai
Sershaari-e-rehbari main dekha Peechy mera qafilla nahin hai
Ek thais pe dil ka phoot behna Chooney mein to aabla nahi hai |
Bewaqoof
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 263 Post: 4444 Age:
39
|
|
Posted on:28th Feb 2010, 7:01pm |
|
|
Perveen Shakir Khushboo wo to khushbu hai hawaon main bikhar jayega masla phul ka hai phul kidhar jayega
ham to samjhe the k ek zakhm hai bhar jayega kya khabar thi k rag-e-jan main utar jayega
wo hawaon ki tarah khanabajan phirta hai ek jhonka hai jo ayega guzar jayega
wo jab ayega to phir us ki rafaqat k liye mausam-e-gul mere angan main thahar jayega
akhir wo bhi kahin ret pe baithi hogi tera ye pyar bhi dariya hai utar jayega
.............................
Khushbuu hai vo to chhuu ke badan ko guzar na jaaye jab tak mere wajuud ke andar utar na jaaye
Khud phuul ne bhii honth kiye apane niim-vaa chorii tamaam rang kii titalii ke sar na jaaye
is Khauf se vo saath nibhaane ke haq mein hai khokar mujhe ye ladakii kahiin dukh se mar na jaaye
palkon ko us kii apane dupatte se ponch duun kal ke safar mein aaj kii gard-e-safar na jaaye
main kis ke haath bhejuun use aaj kii duaa qaasid havaa sitaaraa koii us ke ghar na jaaye |
Bewaqoof
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 263 Post: 4444 Age:
39
|
|
Posted on:28th Feb 2010, 7:12pm |
|
|
Perveen Shakir Romantic Poetry badban khulne se pahle ka ishara dekhna main samandar dekhti hun tum kinara dekhna
yun bicharna bhi bahut asan na tha us se magar jate jate us ka wo mur k dubara dekhna
kis shabahat ko liye aya hai darwaze pe chand ai shab-e-hijran zara apna sitara dekhna
aine ki ankh hi kuch kam na thi mere liye jane ab kya kya dikhayega tumhara dekhna
Romantic Poetry By Perveen Shakir
isi main khush hun mera dukh koi to sahta hai chali chalun ki jahan tak ye sath rahta hai
zamin-e-dil yun hi shadab to nahin ai dost qarib main koi dariya zarur bahta hai
na jane kaun sa fiqra kahan raqm ho jaye dilon ka hal bhi ab kaun kis se kahta hai
mere badan ko nami kha gai ashkon ki bhari bahar main jaise makan dahta hai |
Bewaqoof
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 263 Post: 4444 Age:
39
|
|
Posted on:28th Feb 2010, 7:19pm |
|
|
Perveen Shakir English Translation PINK FLOWERS Pink flowers blossomed in the season I met you. With your attentions they are opening again, though these wounds had healed already. How long could the columns support these houses shaken to their foundations? That old strangeness came back, as if our meetings had been done. The body was still hotfoot with its infatuations, the feet bruised on the way. Parveen Shakir English Translation from the Urdu by Alamgir Hashmi
WHERE AM I? Where am I in your life? In the morning breeze or the evening star, hesitant drizzle or sharp rain, silver moonlight or hot noon, deep thoughts or casual tunes? Where am I in your life? Down from work, a weekend’s interval on a beach, or an unintended silken release between your fingers from serial smoke? Or a readily replenished, freshened moment without wine, or a moment’s leave, anonymous, between the breaking of one dream of love and another’s beginning? Where am I in your life? Parveen Shakir Translation from the Urdu by Alamgir Hashmi |
sunehri76
|
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 100 Post: 4647 Age:
38
|
|
Posted on:28th Feb 2010, 10:51pm |
|
|
aks-s-khushboo aks-e-Khushboo hoon bikharne se na roke koi
aur bikhar jaun to mujhe na samete koi
kaanp uthti hun mai ye Tanhai me
mere Chehre pe tera naam na parhle koi
jis tarah khwab mere ho gaye reza reza
is tarah se na kabhi toot ke bikhre koi
mai ti is din harasan hun ke jab hukam mile
khushk phoolon ko kitabon me na rakhe koi
ab to is raah se wo shakhs guzarta bhi nahi
ab kis umeed se darwaze se jahnke koi
koi awaaz,koi ahaat,koi chaap nahi
dil ki galyan badi sunsaan hain aye koi |
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 130 Post: 7699 Age:
55
|
|
Posted on:1st Mar 2010, 5:43am |
|
|
koo bah koo koo bah kaboo phail gayee baat shanaa shaa.ee ki
oss nay khush.boo ki tarah meri pazeeraa.ee ki :) |
H/dr_Qasim
|
Group: Members Joined: 10th Sep, 2010 Topic: 185 Post: 6560 Age:
36
|
|
Posted on:1st Mar 2010, 11:00pm |
|
|
Sonaa hay Jangloon Ka bhi koi dustoor hota hy Suna hai janglon ka bhi koi dastoor hota hai
Suna hai sher ka jab pait bhar jaaye
To wo hamla nahin kerta,
Suna hai jab kisi nadi k paani main Bue k ghonsle ka gandami saaya larazta hai
To nadi ki ro pehli machhilyaan us ko
Parosi maan leti hain,
Hava k taiz jhonke jab darakhton ko hilaate hain
To Meena apne ghar ko bhool ker
Ka’uve k andon ko paron main thaam leti hai
Suna hai Ghonsle se jab koi bacha gire to
Saara jangle jaag jaata hai.
Naddi main baar aa jaaye
Koi Pull toot jaaye
To kisi lakri k takhte per
Gulahri, Saanp, Cheeta aur Bakri
Saath hote hain.
Suna hai janglon ka bhi koi dastoor hota hai,
Khuda-wanda Jaleel-o Mu’atbar, Daana-o Beena Munsif-o Akber,
HUMARE SHAHAR MAIN AB,
JANGLON KA HI KOI DASTOOR NAAFIZ KER..!!
Poet: Parveen Shakir |
H/dr_Qasim
|
Group: Members Joined: 10th Sep, 2010 Topic: 185 Post: 6560 Age:
36
|
|
Posted on:3rd Mar 2010, 4:56am |
|
|
meah apny hatho say oski dolhaan sujaon ghi kamaal-e-zabt ko Khud bhii to aazamaa_uuNgii main apane haath se us kii dulhan sajaa_uuNgii
supurd kar ke use chaaNdanii ke haathon main apane ghar ke aNdheron ko lauT aa_uuNgii
badan ke karb ko vo bhii samajh na paayegaa main dil men rouuNgii aaNkhon men muskuraa_uuNgii
vo kyaa gayaa ke rafaaqat ke saare lutf gaye main kis se ruuTh sakuuNgii kise manaa_uuNgii
vo ik rishtaa-e-benaam bhii nahiin lekin main ab bhii us ke ishaaron pe sar jhukaa_uuNgii
bichhaa diyaa thaa gulaabon ke saath apanaa vajuud vo so ke uThe to Khvaabon kii raakh uThaa_uuNgii
ab us kaa fan to kisii aur se manasuub huaa main kis kii nazm akele men gun_gunaa_uuNgii
(manasuub=attached)
javaz DhuuNDh rahaa thaa na_ii muhabbat kaa vo kah rahaa thaa ke main us ko bhuul jaa_uuNgii |
Gone123
|
Group: Members Joined: 22nd Oct, 2013 Topic: 0 Post: 145 Age:
37
|
|
Posted on:3rd Dec 2013, 6:02pm |
|
|
Perveen Shakir Poetry KUCH TO HAWA BHI SARD THI BY PERVEEN SHAKIR
Kuch To Hawa Bhi Sard Thi Kuch Tha Tera Khayal Bhi Dil Ko Khushi Ke Sath Sath Hota Raha Malal Bhi
Baat Wo Aadhi Raat Ki Raat Wo Pore Chand Ki Chand Bhi Ain Chaat Ka Os Pe Tera Jamal Bhi
Sab Se Nazar Bacha Ke Wo Mujh Ko Kuch Aise Dekhta Aik Dafa To Ruk Gai Gardish-e-Mah-o-Saal Bhi
Dil To Chamak Sakey Ga Kya Phir Bhi Tarash Ke Dekh Lein Shishaa Garan-e-shehar Ke Hath Ka Yeh Kamal Bhi
Us Ko Na Pa Sake The Jab Dil Ka Ajeeb Haal Tha Ab Jo PalaT Ke Dekhiyey Baat Thi Kuch Muhaal Bhi
Meri Talab Tha Ek ShaKhs Woh Jo Nahin Mila To Phir Haath Dua Se Youn Gira Bhool Gaya Sawal Bhi
Shaam Ki Na Samajh Hawa Poch Rahi Hai ik Pata Mauj-e-Hawa-e-Ku-e-Yaar Kuch To Mera Khayaal Bhi
|
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4679 Age:
30
|
|
Posted on:3rd Dec 2013, 6:23pm |
|
|
Parveen Shakir sahiba Gaye mausmaoN maiN jo khiltay thay gulaaboN ki tarah
mujh pe utraiNge wohi khaab azaaboN ki tarah.
raakh k dher pe ab raat basar karni hae
jal chukay haiN meray khemay, meray khaaboN ki tarah
sa.at e deed k aariz haiN gulaabi ab tak
awwaleeN lamhoN k gulnaar hijaaboN ki tarah
woh samandar hae to phir rooh ko shadaab karay
tishnagi kyuN mujhay deta hae saraaboN ki tarah
ghair mumkin hae tere ghar k gulaboN ka shomaar
meray ristay huwe zakhmoN ki hisaaboN ki tarah
yaad to hoNgi woh baataiN tujhay ab bhi lekin
shelf maiN rakhi hui band kitaaboN ki tarah
kaun janay k naye saal meiN tu kis ko paRhay
tera mayaar badalta hae nisaaboN ki tarah
shokh hojati hae ab bhi teri aankhoN ki chamak
gaahay gaahay teray dilchasp jawaaboN ki tarah
hijar ki shabb meri tanhai pe dastak degi
teri khush.boo meray khoye huwe khaaboN ki tarah. |
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 130 Post: 7699 Age:
55
|
|
Posted on:4th Dec 2013, 2:57am |
|
|
urdu poetry in roman urdu poetry bikhasoos urdu Ghazal ko roman urdu maiN paRhna bilkul aisa hi hai jaisay tea /coffee ko biryani ki plate maiN Daal kar tea spoon say peenay ki koshish ki jaa.ay ... :) tea/coffee ka sara lutf /zaiqah hi gharat hojata hai ... yehi haal roman urdu maiN urdu ghazal parhnay ka nateejah nikalta hai |
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4679 Age:
30
|
|
Posted on:4th Dec 2013, 3:56am |
|
|
coffee n biryani :) Asalam O alaikum wa Rehmatullah!
bilkul darust farmaya aap ne :) raat ko jab maiN yeh post kar rahi thi to mujhay bhi aisa hi lag raha tha :) yahaN urdu likhna aur phir post karna kafi mushkil lagta hae isliye maiN apnay liye aik paper pe urdu maiN poetry likh kar ussay paRhti houN takay uss ka lutf aa sakay :) |
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 130 Post: 7699 Age:
55
|
|
Posted on:4th Dec 2013, 4:04am |
|
|
online urdu key board http://www.hamariweb.com/urdueditor.aspx
یہ آن لائن اردو کی بورڈ ہے۔ یہاں بآسانی اردو ٹائپ کرکے کہیں بھی پیسٹ کیا جاسکتا ہے۔ |
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4679 Age:
30
|
|
Posted on:4th Dec 2013, 4:08am |
|
|
urdu key board jazak Allah khairah . i,ll try it insha Allah |
hot_sajid
|
Group: Members Joined: 28th Feb, 2011 Topic: 10 Post: 503 Age:
|
|
Posted on:4th Dec 2013, 12:52pm |
|
|
Asslam O Alaykum Rizvi BHai aur Maryam ji kafi dino baad aaya hu yaha par app kese hai
|
Dr.nida
|
Group: Members Joined: 03rd Dec, 2013 Topic: 1 Post: 15 Age:
34
|
|
Posted on:6th Dec 2013, 10:01am |
|
|
nice nice
|
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 130 Post: 7699 Age:
55
|
|
Posted on:7th Dec 2013, 4:50am |
|
|
sajid bhai walekum Assalam ... Allah ka shukar hai . g haaN maiN idhar ka chakkar kam kam hi lagata houN... kiyouNkay
aur bhi gham haiN zamanay maiN (shaery ki) mohabbat k sewaa lol |
|
|
|
For More Detail Click On Page No: 1 |
|