nizamay taleem indo pak maiN 2 nizamay taleem chal rahay haiN... aik 'ruling class' k liyeh doosray awaamunnas k liyeh... yehi wajah hai k hamaray haan tamaam achay taleemi adaray english medium hain jabkay aalaa taleem to hai hi english maiN.
lekin
iski wajah urdu zubaan ki kami yaa khami nahi... qayamay pakistan say qabal bhi hyderabad dakkan maiN medicine aur engineering ki education urdu maiN dee jati rahi hai (yaani yeh iss qabil hai)... aj bhi pak maiN science k beshtar mazaameen ki masters level tak ki education urdu maiN kaamyaabi say dee jarahi hai...
baat yeh hai k hamara hukmraan tabqah yeh chaahta hi nahi k yahaaN k awamunnas ka talent onkay 'moqaabil' aa.ay... issi liyeh woh nah to pakistan ki sarkaari zubaan urdu bannay detay haiN nah hi meyari taleem urdu maiN denay k qaail haiN.......... nateejah zaahir hai......... jiss kissi nay bhi indo pak maiN achi taleem hasil ki hai, woh autometically english zubaan par dastras rakhta hai.... jabkay urdu main wohi log dastras rakhtay hain jo bil amoom urdu medium say farighul tahseel honay walay achay students houN.
magar yahaan zeray bahas issue yeh nahi tha.... yahaaN maslah ablaagh ka thaa k agar koi expert mass media (print n electronic medium both) k zariyah awaam tak apna message dena chaahta hai to ossay kaunsi zubaan use karni chahiyeh.... urdu ya english...
pak ka chotay say chotay urdu akhbaar ki circulation english k baRay baray akhbaraat k barabar hoti hai. aakhir kiyoun? indo pak maiN darjanouN tv channels haiN... inmaiN say english channel sirf aik hi THAA dawn-news... woh bhi ab urdu+english program pesh kar raha hai......... indo pak say related saiNkrouN net-forum iss waqt maujood hain... inki bhari aksariyat maiN communication ki zuban roman urdu /hindi hai.
It's true k experts ko urdu /hindi maiN apnay pesha waranah khayalaat k izhaar maiN diqqat hoti hai k onhouN nay sari taleem english maiN hasil ki hoti hai....... lekin agar woh waqe'ee chahatay hain k onki experties say awaamunnas really faidah oTha sakain to onhain yeh mashwarah dena ajeeb saa lagta hai k agar meri baat samajh nahi aati to jaa'o english seekho... jab aik indo pak ka Dr. khaah sari taleem bahar say hi hasil karkay aayaa ho aur woh indo pak maiN practice karay to woh mareezoun say english maiN baat karegaa aur inhaiN hedfayat english maiN degaa yaa...
isstopic pay pahlay bhi kafi bahas hochuki hai lehaza mazeed issay continue karnay ka koi faidahh nahi... woh to diplomat ko 'samjhanay' k liyeh likha thaa k expert log english kiyoun likhtay boltay hain... maqsood new debate karna nahi thaa |