Bewakoof-Islamic Poetry of Mohsin Naqvi
Mohsin Naqvi Shaheed aik azeem poet thay , Mohsin naqvi ki kitaab "Moj e Idraak" mein Aik Taveel Kalam hai jis se iqtebaas mein yahan pesh kar raha hoon , puri nazm likhna mumkin nahi chunkeh kafi taveel hai so uss ka aik hissa likh raha hoon....
Chehra hai k Anwaar -e- Do Alam ka Saheefa Aankhein hein k Behreen e Taqaddus k Nageen hain Matha hai k wahdat ki tajalli ka warq hai Aariz hein k "WalFajr" ki ayat k ameen hain
Gaisu hein k "Wallaiel" k bikhrey huve saaye Abru hein Qauseen -e- Shab -e- Qadr khuley hein Gardan hai k Bar Farq-e-Zameen Aouj-e-Surayya Lab,Soorat-e-Yaqoot Shuaaon mein dhuley hein
Qadd hai k Nabuvvat k Khud o Khaal ka Maiyar Baazu hein k Touheed ki Azmat k Alam hein Seena hai Ramz-e-Dil Hasti ka Khazeena Palkein hein k Alfaaz-e-Rukh-e-Loh-o-Qalam hein
Baatein hein k Tooba ki chatakti hui kaliyan Lehja hai k Yazdaan ki zubaan bol rahi hai Khutbey hein k savan k umandtey huve darya Qirat hai k Asraar e Jahan khool rahi hai
Ye Daant , Ye Sheraza-e-Shabnam k tarashey Yaqoot ki vadi mein damaktey huve heerey sharminda e Taab e lab o Dandan e Payambar (SAWW) Harfey ba sana khaani o Khama ba Sareery
Ye moj e Tabassum hai k rangon ki dhank hai ye aks e matanat hai k thehra hua mosam Ye shukr k sajdey hein k ayaat ki tanzeel Ye aankh k aansu hein k ilhaam ki rim jhim
Ye Haath ye kounain ki taqdeer k auraaq Ye khatt , ye Khud o Khaal e Rukh e Mushaf o Injeel Ye paaon ye mehtaab ki kirnon k ma'abid Ye naqsh e qadam , bosa Gah-e-Raf raf o Jibreel
Ye Rif'at e Dastaar hai ya aoj e takhayyul Ye Band e Qaba hai k shaguft e gul e Naheed Ye saya damaan hai phela hua badal ye subh-e-giraibaan hai k khamyaza -e- Khursheed
Ye dosh e pa chadar hai k bakhshish ki ghata hai ye mohre nabuvvat hai naqsh e Dil e Mehtaab Rukhsaar ki Zav hai k Namu Subh e Azal ki Aankhon ki malahat hai k roy-e shab e kam Khaab
Wo ilm k Quraan ka teri itrat ka qaseeda Wo Hilm k dushman ko b ummeed e karam hai Wo Sabr k Shabbeer (AS) teri Shaakh e Samar daar Wo Zabt k jis Zabt mein Irfaan o Umam hai
"Aurang e sulaimaan" teri nalain ka khaaka "Aijaaz e Maseeha" teri bikhri hui khushbu "Husne yade beza" teri dehleez ki kheraat Kounain ki saj dhaj teri araiesh e Gaisu
Sar chashma e kousar tere seeney ka paseena Saya teri deevar ka maiyar e iram hai Zarrey teri mah o anjam e Aflaak "sooraj" tere rahvaar ka ik naqsh e qadam hai
Zaahir ho tou Har barg e gul e tar teri khushbu Ghaieb ho dunya ko sarapa nahi milta Wo Ism , k jis Ism ko lab choom lein har bar Wo jism k sooraj ko b saya nahi milta
Haider (as) teri haibat hai tou Husnain(as) tera Husn Ashaab wafadar tou Naieb tre Masool Salma teri ismat hai Khadeeja teri touqeer Zahra (SA) tri qismat hai tou Zainab(SA) tera maqsoom
Kis Rang se tarteeb tujhey dijiye mola ?? Tanveer k tasveer , tasavvur k musavvir?? Kis naam se imdaaad talab kijiye tujh se Yaseen k Taaha , k muzammil k mudassir ??
Maidaan tere Buzar (RA) ki Hukoomat k muzafaat Kohsaar trey Qanbr o Salmaan (ra) k baserey Sehra trey Habshi ki mohabbat k Musalley ! Gulzaar trey Meesam o Miqdaad(ra) k derey
Zehan mein aaye k tu utra tha kahan se Kia koi bataye teri sarhad hai kahan tak ?? Pohanchi hai jahan par tri Na'lain ki matti Khaakistar-e-Jibreel b pohanchey na wahan tak
Aey Fik e Mukammal , Rukh e Fitrat Lab e Alam Aey Haadi e Kull , Khatm e Rusul , Rehmat e peham Aey Waaqif e Meraaj e Bashar , waaris e Kounain Aey maqsad e takhleeq e zamaan , Husne Mujassam
Aey baies e Aaien e Shabo roz e Khalaieq Aey Halqa e Arwaah e Muqaddas k Payambar (SAWW) Aey tajor e bazm e shariyat mere AAQA ! Aey Aarif e Meraaj e Bashar , Saahib e Minbar
Aey Shakir o mashkoor o Shakeel e Shab e Alam Aey naasir o Mansoor o Naseer e Dil e Insaan Aey shaahid o Mash'hood o Shaheed e Rukh e Touheed, Aey Naazir o Manzoor o Nazeer e Lab e Yazdaan
Aey Yusuf o Yaqoob (as) ki ummed ki mehwar Aey baab e munajaat e di Yunus o Idrees(AS) Aeu Nooh (as) ki kashti k liye saahil e taskeem Aey Qibla e Haajat e sulemaan (as) shah e Bilqees
Sochein tou Khudaai teri marhoon e Tasavvur Dekhein tou khudaai se har andaaz juda hai Ye kaam bashar ka hai na Jibreel k bass mein Tu Khud hi bata aey mere Moula(SAWW) k tu kia hai ?
Bewakoof bhai Thanks tou bol dein ?
|