Perveen Shakir Urdu Poetry chehra mera tha nigahen us ki khamushi main bhi wo baten us ki
mere chehre pe gazal likhti gain sher kahti hui ankhen us ki
shokh lamhon ka pata dene lagin tez hoti hui sansen us ki
aise mausam bhi guzare ham ne subhen jab apni thin shamain us ki
dhyan main us k ye alam tha kabhi ankh mahtab ki yaden us ki
faisala mauj-e-hawa ne likkha andhiyan meri baharen us ki
nind is soch se tuti aksar kis tarah katati hain raten us ki
dur rah kar bhi sada rahti hai mujh ko thame hue bahen us ki
----------------------------
teri khushbu ka pata karti hai mujh pe ehsan hawa karti hai
shab ki tanhai main ab to aksar guftagu tujh se raha karti hai
dil ko us rah pe chalna hi nahin jo mujhe tujh se juda karti hai
zindagi meri thi lekin ab to tere kahne main raha karti hai
us ne dekha hi nahin warna ye ankh dil ka ehwal kaha karti hai
beniyaz-e-kaf-e-dariya angusht ret par nam likha karti hai
------------------------
ku-ba-ku phail gai bat shanasai ki us ne khushbu ki tarah meri pazirai ki
kaise kah dun k mujhe chor diya hai us ne bat to sach hai magar bat hai ruswai ki
wo kahin bhi gaya lauta to mere pas aya bas yahi bat hai achi mere harjai ki
tera pahlu tere dil ki tarah abad rahe tujh pe guzre na qayamat shab-e-tanhai ki
us ne jalti hui peshani pe jo hath rakha ruh tak a gai tasir masihai ki |