Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

pakistani matrimonial
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Paigham e Quran and Hadees
 
Warning: This Website is not for people who are less than 16 years of age. Please exit
 
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
New Topics (General)
Recent Reply (General)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

Urdu Poetry: Ek Basti Thi Dil Walon Ki

Urdu   >>   Urdu Poetry
 
 
 
 
Javed Imad Group: Members  Joined: 31st Oct, 2009  Topic: 14  Post: 367  Age:  39  
Posted on:8th Dec 2009, 4:20pm
 

Urdu Poetry: Ek Basti Thi Dil Walon Ki

Ek basti thi dil walon ki,

 

Jahan "Chand" or "Suraj" baste thay.

 

Sara din wo angan men hansa khela karte thay.

 

Ek dosre per dil-o-jan se marte thay.

 

Phir ek din yun hua wo dono apis mein ruth gaye.

 

Jo sapne thay wo toot gaye.

 

Ab chand wahan tab ata he, jb suraj chala jata he,

 

Jab surj ata hy tb chand so jata he,

 

Badal ye kehte hen,ye surj uljha uljha rehta he,

 

Chand k pas to taare hen ye surj tanha rehta hai......

 

Ek basti thi dil walon ki..

Javed Imad Group: Members  Joined: 31st Oct, 2009  Topic: 14  Post: 367  Age:  39  
Posted on:8th Dec 2009, 4:31pm
 

Ay Asman Apne Chand Pe itna Gharoor Mat Kar ,

Ay Asman Apne Chand Pe itna Gharoor Mat Kar ,

Ek Chand Sa Doost Hum Bhi Rakhty Hain,

Jab Tareef tere Chand ki Hoti Hai ,

Tu log Misal Mere Chand Chand Ki Dete Hain.

Javed Imad Group: Members  Joined: 31st Oct, 2009  Topic: 14  Post: 367  Age:  39  
Posted on:8th Dec 2009, 4:33pm
 

Itna roay thay k ankhon ne b shikayat ki thi...!

Sari dunya k rivajon se baghawat ki thi...! 

Yad aata hay mai ne bhi mohabbat ki thi...! 

Jab kisi ki yaad ne ankhon ko bhigoya tha meri...! 

Maine  b kisi k nam ki tilawat ki thi...!

Us ko chor ke hanstay hue ghar aake...!

Itna roay thay k ankhon ne b shikayat ki thi...!

 

Javed Imad Group: Members  Joined: 31st Oct, 2009  Topic: 14  Post: 367  Age:  39  
Posted on:8th Dec 2009, 4:35pm
 

Tum yad aate ho.

Usne kaha

Chand khobsurat

Ya Main?

Maine kaha

Ye to nhi janta

Mgar,

Jb Tmhe Dekhta hon to

Chand Bhol jata hon

Or

Jb chand pr parti hy Nazar to

Tum yad aate ho.

Bhimji Group: Members  Joined: 07th May, 2008  Topic: 13  Post: 1868  Age:  31  
Posted on:8th Dec 2009, 5:19pm
 

Re:

Pathar Tha Magar Barf K Galoon Ki Tarah Tha

Ik Shakhs Andherun main Ujaloon Ki Tarah Tha

 

Khawabon ki tarah Tha Na Khayaloon Ki tarah Tha

Wo ilm-e-Riazi K Sawaloon Ki Tarah Tha

 

Uljha Hua Aisa k Kbhi Hal Ho Nhi Paya

Suljha Hua Aisa K misaloon Ki Tarah Tha

 

Wo Mil tu Gaya Tha Mgr Apna hi Muqadar

Shatranj Ki Uljhi hUi chaloon ki trah tha.

 

Wo Rooh Main Khushboo ki trah Ho Gaya Tehlil

Jo Door Bohut Chand K Haaloon Ki Trah Tha

Javed Imad Group: Members  Joined: 31st Oct, 2009  Topic: 14  Post: 367  Age:  39  
Posted on:8th Dec 2009, 5:51pm
 

Pathar Tha Magar Barf K Galoon Ki Tarah Tha

Bhim Bro , zabarzast yar, bahut achay
Javed Imad Group: Members  Joined: 31st Oct, 2009  Topic: 14  Post: 367  Age:  39  
Posted on:8th Dec 2009, 6:00pm
 

Tum dil ka lagana kya jano!!

Tum dil ki baatain kya samjho!!

Tum dil ka lagana kya jano!!

 

Tum aag lagana seekh gaye!!

Par aag bujhana kya jano!!

 

Aik baar agar tum rooth gaye!!

tum ko mana hi laingay magar!!

Aik baar agar Hum rooth gaye!!

Tum hum ko manana kya jano!!

 

Kuch saath chale kuch chorr gaye!!

Waday jo kiye wo nibhana kya jano!!

Saathi tau bantay rehtay ho!!

Par saath nibhana kya jano...?

Bhimji Group: Members  Joined: 07th May, 2008  Topic: 13  Post: 1868  Age:  31  
Posted on:9th Dec 2009, 3:56am
 

Kahan Hote Ho!!

Hijar main kyun rulaate ho kahan hote ho

Laut kr kyun nahin aate ho kahan hote ho

Mujh se bichhre ho tou mehboob-e-nazar hi kis ke

Aaj kal kis ko manaate ho kahan hote ho

Shab ki tanhaai main aksar yeh kheyal aata hae

Apne dukh kis ko sunaate ho kahan hote ho

Sard ratoon main tmhn kese bhula skta hun

Aag C dil main lagaate ho kahan hote ho

Shehr ke log bhi aksar yeh swaal krte hain

Ab bohat kam nazar aate ho kahan hote ho.. 

Bhimji Group: Members  Joined: 07th May, 2008  Topic: 13  Post: 1868  Age:  31  
Posted on:9th Dec 2009, 4:00am
 

Go ye andaz shahana hae ameerun jesa

Go ye andaaz-e-shahana hae ameerun jesa

Mere andar ka hae insan faqeerun jesa

Hum ne chehre pe saja rakhi hae shehr ki ronaq

Mere dil ka aalam hae veeran jazeerun jesa

Uss ke ausaaf-o-khasaail ne mujhe jeet lia

Mere mureedun main tha shakhas wo peerun jesa

Javed Imad Group: Members  Joined: 31st Oct, 2009  Topic: 14  Post: 367  Age:  39  
Posted on:9th Dec 2009, 4:32pm
 

Asmana tay ud-day panchi

Asmana tay ud-day panchi

Vekh tay sahi ki krday nay,

 

Na o krday rizk zakheera

Na o bhukay merday nay,

 

Kadi kisay nay pankh pakheroo (prinday)

Bhukay merday vekhay nay,

 

Banday e krday rizk zakheera

Banday e bhukay merday nay.

Javed Imad Group: Members  Joined: 31st Oct, 2009  Topic: 14  Post: 367  Age:  39  
Posted on:9th Dec 2009, 4:38pm
 

bas jagda ik "PARWARDIGAR" "raati"

(WARIS SHAH)

 -------

Ik raat da jaagna bohat okha.

 

 ik jaagda dukhi bimar raati.

 

 ya jaagda choor te thug rati.

 

 ya jaagda pehredar rati.

 

 ya jaagda ishq di ramz wala.

 

 ya jaagda yaar da yaar rati

 

 WARIS  sab Jag so janda

 

 bas jagda ik

"PARWARDIGAR"     "raati"

Javed Imad Group: Members  Joined: 31st Oct, 2009  Topic: 14  Post: 367  Age:  39  
Posted on:9th Dec 2009, 4:39pm
 

main ne kaha qismat meri.

Us ne kaha k kon ho tum?

Main ne kaha hasrat teri.

Us ne kaha pagul ho kia?

Main ne kaha aisa hi sahi.

Us ne kaha kerte ho kia?

Main ne kaha pooja teri.

Us ne kaha kafir ho kia?

Main ne kaha soch teri.

Us ne kaha chahte ho kia?

Main ne kaha MOHABET teri.

Us ne kaha pachhtao gay?

main ne kaha qismat meri.

Javed Imad Group: Members  Joined: 31st Oct, 2009  Topic: 14  Post: 367  Age:  39  
Posted on:9th Dec 2009, 4:54pm
 

Lout Aana

Gaya Zamana Bahot Suhana.

Jo Yaad Aaon To

Lout Aana

Wo Aankhon Aankhon Main Baat krna

Wo Baaton Baaton Main Raat Krna

Hansi Chupaney Ko Lab K Aagey

Haseen Komal Sey Haath Krna

Kabhi Hansana

Kabhi Rulana

Jo Yaad aaon to lout aana

Hamain Tumhari

Hi Justuju Hai

Tumhari Chahat Ki Aarzu Hai

Ye Baat tum bhi Kabhi To Samjho

"Hamari Chup Main B Guftagu Hai"

Samajh Sako To

Hamen Batana

Jo Yaad Aaon To

Lout Aana

Javed Imad Group: Members  Joined: 31st Oct, 2009  Topic: 14  Post: 367  Age:  39  
Posted on:9th Dec 2009, 5:09pm
 

Barson Mein Marasam

Barson Mein Marasam Bunty Hein Lamhon Mein Bhala Kia Totain Gyn

Agar Tu Muj Sy Bicharna Chahay Tu Dewar Utha Dheeray Dheeray

madman Group: Members  Joined: 08th Oct, 2009  Topic: 9  Post: 137  Age:   
Posted on:10th Dec 2009, 8:06am
 

Ek sher us ke liay

Mazi ke darechon se koi sada deta hai

In bujhe hoay sholon ko hawa deta hai...
M Asif Group: Members  Joined: 31st Oct, 2008  Topic: 4  Post: 794  Age:   
Posted on:10th Dec 2009, 11:47pm
 

MAA

Meray Lia Meri Duniya Ho Tum,

Cho K Jo Guzray Woh Hawa Ho Tum,

Meinay Jo Mangi Woh Dua Ho Tum,

Kia Meinay Mehsoos Woh Ehsaas Ho Tum,

Meri Nazar Ki Talaash Ho Tum,

Meri Zindagi Ka Karar Ho Tum,

Meinay Jo Chaha Woh Pyar Ho Tum,

Meri Intizaar Ki Rahat Ho Tum,

Meri Dil Ki Chahat Ho Tum,

Tum Ho To Dunya Hai Meri,

Kaisay Kahon K Sirf Pyar Nahin,

Meri JAAN Ho Tum ..

M Asif Group: Members  Joined: 31st Oct, 2008  Topic: 4  Post: 794  Age:   
Posted on:10th Dec 2009, 11:55pm
 

Muhabbat

Musafir To Bichertay Hain Rifakat Kub Badalti Hai,
Muhabbat Zinda Rehti Hai Muhabbat Kub Badalti Hai.

Kali Ka Phool Ban'na Aur Bikhar Jana Mukaddar Hai,
Yehi Qanoon-E-Fitrat Hai Aur Fitrat Kub Badalti Hai.

Jo DiL Mein Bus Jaye Aur Aankhon Mein Simat Aye,
Alamat Hai Yeh Chahat Ki Aur Chahat Kub Badalti Hai.

Tumhi Ko Chahtay Hain Tumhi Se Muhabbat Kertay Hain.
Yehi Barson Se Adat Hai Aur Adat Kub Badalti Hai..

Javed Imad Group: Members  Joined: 31st Oct, 2009  Topic: 14  Post: 367  Age:  39  
Posted on:10th Dec 2009, 6:09pm
 

Wo lout Aane K Raste Talash Karta Tha.

Ajib Hijar Parasti Thi Uski Fitrat Me,
Shajar k Tote Pate Talash Karta Tha....

Tamam Rat Wo Parde Hata K Chand K Sath,
Jo Kho Gaye The Wo Lamhe Talash Karta Tha..

Duaayen Karta Tha Ujray Howe Mazaron Par,
Bare Ajeeb Saharay Talash Karta Tha....

Mujhe Tu Aaj Bataya Hai Badloon Ne "WASI"
Wo lout Aane K Raste Talash Karta Tha.

Javed Imad Group: Members  Joined: 31st Oct, 2009  Topic: 14  Post: 367  Age:  39  
Posted on:10th Dec 2009, 6:13pm
 

SUNO TUM LOT AYO NA!!!!!!.........

Suno tum lot aao na.....
Wo dekho chand nikla he...
Sitare jagmagate hain....
Hamari muntazir aankhain.....
Tumhe hi sochti aankhain......
Tumhe hi dhundhti aankhain......
Tumhe wapis bulati hain.....
Ye dil jb b dharkta he.....
Tumhara naam leta he.....
Subh-o-sham leta he.....
Ye aansu jb b behte hain.....
Tumhare dukh me behte hain....
K barish jb b hoti he,tmhe hi yaad krte hain....
Khushi koi jo aye b...
Tumhare bin adhuri he.....
SUNO TUM LOT AYO NA!!!!!!.........

Javed Imad Group: Members  Joined: 31st Oct, 2009  Topic: 14  Post: 367  Age:  39  
Posted on:10th Dec 2009, 6:17pm
 

Mere qissay sar-e-bazaar uchhaly usnay

Us peh khul jati mere shouq ki shiddat sari
Daikhy hoty jo mere paaon k chhaly usnay

Jis ka har ayeb zamany sy chhupaya mainay
Mere qissay sar-e-bazaar uchhaly usnay

Jab usay meri mohabbat peh bharosa hi na tha
Kiyun diye meri wafaaon k hawaly usnay

Meri dum torti khwahish ka khayal aa na saka
Apnay armaan hamesha hi nikalay usnay

Aik mera hi to haath na thama unsay

Warna girtay huye kitnay hi sambhalay usnay

 
 
For More Detail Click On Page No: 1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11  >>
 
 
 
Pakistani Cricket Team Best Catches  How To Get Visa For Japan  Indian Students Dance In USA

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us