|
|
Javed Imad
|
Group: Members Joined: 31st Oct, 2009 Topic: 14 Post: 367 Age:
39
|
|
Posted on:12th May 2010, 6:02am |
|
|
hmmm Kismat do pal mein badal sakta he INSAN, Per jo INSAN ko badal de wo kismat nahin hoti,
Apni kismat pe rota wohi shakhs hay jisko, Sajdon me rone ki adat nahin hoti |
Javed Imad
|
Group: Members Joined: 31st Oct, 2009 Topic: 14 Post: 367 Age:
39
|
|
Posted on:12th May 2010, 6:07am |
|
|
ANKHAIN Jab Ye Jhukti Ha To Dunya Ki Har Shay Apne Andar Samait Leti Hy
Jab Ye Dekhti Ha To Samandr Ki Gehraion Se Moti Nikal Leti Hy
Jab Ye Mskurati Hy To Dunya Ki Tamam Masumiat Apne Andar Jazb Kr Leti Hy
Jab Roti Ha To Arsh Ko Hila Deti Hy
Or Jab Band Hoti Hy To Dunya Ko Rula Deti Hy |
Javed Imad
|
Group: Members Joined: 31st Oct, 2009 Topic: 14 Post: 367 Age:
39
|
|
Posted on:12th May 2010, 6:23am |
|
|
Aisa kabhi na karna Tum ruth jao mujhse Aisa kabhi na karna
Main ek nazar ko tarsoon Aisa kabhi na kerna
Main pooch pooch haroon So so sawal kar ke
Tum kuch jawab na do Aisa kabhi na kerna
Mujhse hi milke hansna Mujhse hi milke rona
Mujhse bicher ke jee lo Aisa kabhi na kerna
Tum chand ban ke rehna Main dekhta rahoon ga
Kisi roz tum na niklo Aisa kabhi na kerna
Tum chalay jao jab bhi Tu dekhoon tumhara rasta
Tum loat ke na aao Aisa kabhi na karna |
Javed Imad
|
Group: Members Joined: 31st Oct, 2009 Topic: 14 Post: 367 Age:
39
|
|
Posted on:12th May 2010, 5:23pm |
|
|
hh Tum Ny Dekha Hy Kabhi Chaand Py Behta Paani Maine Dekha Hy Yeh Manzar Tere Rukhsaar Py Aksar ......... |
Javed Imad
|
Group: Members Joined: 31st Oct, 2009 Topic: 14 Post: 367 Age:
39
|
|
Posted on:12th May 2010, 5:24pm |
|
|
Ko ZaLim RuLata Bhi Tu Boht Hai... Mohabbat K Sapney Dekhata Boht Hy,
Wo Raaton Ko Mujh Ko Jagata Bhi Boht Hy,
Me Aankhon Me KajaL Lagaon Tu Kese?
In Aankhon Ko ZaLim RuLata Bhi Tu Boht Hai... |
s4u
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 99 Post: 5405 Age:
|
|
Posted on:14th May 2010, 12:58am |
|
|
nice.... buhot khob. keep sharing |
Javed Imad
|
Group: Members Joined: 31st Oct, 2009 Topic: 14 Post: 367 Age:
39
|
|
Posted on:17th May 2010, 6:06am |
|
|
s4u AOA, Thanx 4 appreciation
Regards |
Javed Imad
|
Group: Members Joined: 31st Oct, 2009 Topic: 14 Post: 367 Age:
39
|
|
Posted on:17th May 2010, 6:09am |
|
|
Mujh main kuch kuch tum reh jao. chalo tum aisa kero! Chand se thori matti lo Phir us se do butt bnao, aik tum jesa aik muj jesa, Phir kuch ese kero! Un buttun ko tor do, phir se woh matti goondh lo, phir se do butt bnao, Tum me kuch kuch main rehjaon, Mujh main kuch kuch tum reh jao. |
Javed Imad
|
Group: Members Joined: 31st Oct, 2009 Topic: 14 Post: 367 Age:
39
|
|
Posted on:17th May 2010, 6:11am |
|
|
Mat Aao Saamne mgar kahin Chup k Mujhe Tarapta Dekho Aao kisi shab Mujhe toot k Bikhrta Dekho
Meri ragon mein Zehar judai ka Uterta Dekho
Kis Kis ada se Tujhe Maanga hai RAB se
Aao Kabhi Mujhe Sajdon mein Sisakta Dekho
Teri Talaash mein Hum ne khud ko kho dia hai
Mat Aao Saamne mgar kahin Chup k Mujhe Tarapta Dekho
|
saim1
|
Group: Members Joined: 23rd May, 2008 Topic: 44 Post: 2214 Age:
36
|
|
Posted on:18th May 2010, 9:41pm |
|
|
poetry Dil udhaas hai bahut koyi paigaam hi likh do Tum apna naam na likho, gum-naam hi likh do
Meri qismat mein gham-e-tanhayi hai lekin Tamaam umr na likho magar ek shaam hi likh do
Zuroori nahi ki mil jaaye sukoon har kisi ko Sare-e-bazm na aao magar benaam hi likh do
Ye jaanta hoon ki umr bhar tanha mujhko rehna hai Magar pal do pal, ghadi do ghadi, mere naam hi likh do
Chalo hum maan lete hai ke sazaa ke mustahiq thahre hum Koyi enaam na likho koyi ilzaam hi likh do |
Javed Imad
|
Group: Members Joined: 31st Oct, 2009 Topic: 14 Post: 367 Age:
39
|
|
Posted on:19th May 2010, 2:39am |
|
|
Saim 1 Kya baat hy .. kya baat hy......
Koyi enaam na likho koyi ilzaam hi likh do
Regards |
Javed Imad
|
Group: Members Joined: 31st Oct, 2009 Topic: 14 Post: 367 Age:
39
|
|
Posted on:19th May 2010, 2:45am |
|
|
Woh Tere Naseeb Ki Barishen Kisi Aur Chhat Pe Baras Gayin Kahan Aa Ke Rukne The Raaste Kahan Mor Tha Use Bhool Jaa Jo Mil Gaya Ise Yaad Rakh Jo Na Mila Use Bhool Jaa
Woh Tere Naseeb Ki Barishen Kisi Aur Chhat Pe Baras Gayin Dil-E-Bekhabar Meri Baat Sun Use Bhool Ja Use Bhool Jaa
Mai To Gum Tha Tere Hi Dhyaan Mein; Teri Aas Tere Gumaan Mein Hawa Keh Gayi Mere Kaan Me, Mere Saath Aa Use Bhool Jaa.
Kisi Ankh Mein Nahi Ashk-E-Gham, Tere Baad Kuchh Bhi Nahi Hai Kam Tujhe Zindigi Ne Bhula Diya Tu Bhi Muskura Use Bhool Jaa
Na Woh Ankh Hi Teri Ankh Thi Na Woh Khwab Hi Tera Khwab Tha Dil-E-Muntazir To Ye Kis Liye; Tera Jagna Use Bhool Jaa
Yeh Jo Raat Din Ka Hai Khel Sa Ise Dekh Is Par Yaqeen Kar. Nahi Akss Koi Bhi Mustaqil Sare Ayinaa Use Bhool Jaa
Jo Bisaate Jaan Hi Ulatt Gaya Woh Jo Raaste Se Palat Gaya. Use Rokne Se Husool Kya Use Mat Bula Use Bhool Jaa
Yeh Jo Aa' Gahi Ka Saraab Hai Yahi Sabse Badh Kar Azaab Hai Yeh Samajh Woh Aks-E-Khayal Tha Koi Khwaab Tha Use Bhool Jaa
To Yeh Kis Liye Shabe Hijr; Ke Use Har Sitaare Mein Dekhna. Woh Falak Ke Jispe Mile The Hum; Koi Aur Tha Use Bhool Jaa
Kyon Ataa Hua Hai Ghubaar Mein Ghame Zindigi Ke Fashaar Mein Woh Jo Darj Tha Tere Bakht Mein So Woh Ho Gaya Use Bhool Jaa
Tujhe Chand Ban Ke Mila Tha Jo Tere Sahilo Pe Khila Tha Jo Woh Tha Ek Dariya Wasaal Ka So Utar Gaya Use Bhool Jaa..
|
Javed Imad
|
Group: Members Joined: 31st Oct, 2009 Topic: 14 Post: 367 Age:
39
|
|
Posted on:19th May 2010, 2:47am |
|
|
Mere liye tum bas apne lab pe Sawal rakhna hisaab hoga Adhoore khawabon k khasta kaghaz sanmbhaal rakhna hisaab hoga Wafa ke rishtey jafa ki rut mein bahal rakhna hisaab hoga
Sunehrey jazbon ki qadar karna nafraton mein waqar rakhna Andhair nagri mein dil jala ke khayal rakhna hisaab hoga
Muhabbaton ke safeer ban kar jo chahaton ke naqeeb ban'na Raah e wafa mein na tum kisi ...se malaal rakhna hisaab hoga
Zamaane bhar ki yeh talkhiyan kyun,yeh jabar kaisa yeh sabar kesa Mere liye tum bas apne lab pe Sawal rakhna hisaab hoga |
Javed Imad
|
Group: Members Joined: 31st Oct, 2009 Topic: 14 Post: 367 Age:
39
|
|
Posted on:19th May 2010, 2:49am |
|
|
itna he keh dia hota,Bus..ik baar usne…. Usne sab ko bataya k bohat udaas hai wo….. Mujh se kyun na kaha ,ik baar us ne……
mene jo kaha tha k ik baar keh k daikhtay… Mujh pe kyun na kiya tha etibaar usne….
Wo khud to mohabbat k baray da’way karta hai.. Phir kyun na kiya tha izhaar usne……
Wo kehta ha mujhe tera saath chahiye.. to barh k kyun na thaama mera haath usne….
Wo kehta hai tu meray dil me rehta hai.. phir kyun kiye itnay inkaar usne….
Milo ge mujhe to mill jaye gi zindagi mujh ko… itna he keh dia hota,Bus..ik baar usne…. |
Javed Imad
|
Group: Members Joined: 31st Oct, 2009 Topic: 14 Post: 367 Age:
39
|
|
Posted on:19th May 2010, 2:51am |
|
|
Yehi Shahyad Merey Hath Ka Kamal Tha Usey Apni Anaa Ki Fiqer Thi Mujhey Apney Ishq Ka Khayal Tha
Mujhey Raah_E_Intizar Main Chor Diya Usney Yehi Us Ki Baton Ka Husn_E_Jamal Tha
Merey Liyay Wo Hi Sub Khuch Tha Uskey Liyay Yeh Sub Ik Mazak Tha
Usey Thi Apni Manzilon Ki Khaber Meri To Sari Zindagi Ka Sawal Tha
Merey Liyay Us Key Pass Na Tha Khuch Dunya Key Liyay Jubkey Wo Ik Haseen Missal Tha
Jis Ka Hath Thama Bhicher Gaya Wo Yehi Shahyad Merey Hath Ka Kamal Tha |
Javed Imad
|
Group: Members Joined: 31st Oct, 2009 Topic: 14 Post: 367 Age:
39
|
|
Posted on:19th May 2010, 2:53am |
|
|
Aur Sirf Merey Ho Jub Barish Gungunati Hey Dil Ki Her Dhurkan Lurkharati Hey
Saba Chupkey Sey Keh Jati Hey Mana Key Tum Merey Ho
Per Dil Sey Yeh Awaz Ati Hey Tum Humasha Sey Merey Ho
Jub Barish Gungunati Hey Dil Ki Her Dhurkan Lurkharati Hey
Ik Ik Bound Terasti Hey Tarepti Hey Aur Kehti Hey..
Un Sey Kub Milan Ho Ga Rait Key Her Zarey Ki Chamak Kehti Hey Tum Hamasha Sey Marey Ho
Jub Barish Gungunati Hey Dil Ki Her Dhurkan Lurkharati Hey
Main Holey Sey Gungunati Hon Phir Chpkey Sey Muskurati Hon.
Sajna Tum Jahan Bhi Ho Merey Ho Aur Sirf Merey Ho |
Javed Imad
|
Group: Members Joined: 31st Oct, 2009 Topic: 14 Post: 367 Age:
39
|
|
Posted on:19th May 2010, 2:55am |
|
|
Teri Dilnawazi Us Pey Bara Sitam Ho Ga Wo Aa Jain Achanak Sey To Kia Ho Ga Dil Dharak Dharak Ker Kesey Chup Ho Ga
Bad_E_Saba Key Jhonkon Main Ai Gi Tezi Tu Wohi Mera Purana Sanam Ho Ga
Gaissu Aain Gey Ur Ur Ker Arriz Per Chamakta Sa Merey Chehrey Ka Gulabi Rang Ho Ga
Sargoshiyan Si Gonjain Gi Kanon Main Kannon Ki Lou Main Ik Lali Pan Ho Ga
Tan Ki Khoshbo Mujh Sey Khuch Kehti Ho Gi Jub To Merey Kareeb Bohut Kareeb Ho Ga
Fasley Badel Jain Gey Qurbaton Main Tanhayon Main Bhi Mehekta Sa Samaan Ho Ga
Hamarey Qurb Main Khiley Ga Ik Gulistan Teri Dilnawazi Us Pey Bara Sitam Ho Ga |
Javed Imad
|
Group: Members Joined: 31st Oct, 2009 Topic: 14 Post: 367 Age:
39
|
|
Posted on:19th May 2010, 2:58am |
|
|
Deewangi_E_Ishq Liyay Hum Kahan Tak Jain Dil Daghdar Hey Apna Kis Ko Dikhaiyen Tum Ko Dhondney Janaan Kahan Tak Jain
Bura Hey Naseeb Aur Taqdeer Biggri Hoi Dil Ko Sunbhaley Hum Kahan Tak Jain
Fiqr_E_Dunya Hey Na Fiqr_E_Akhrat Mujh Ko Janaan Teri Pyaas Main Hum Kahan Tak Jain
Subeh Ho Roshan Aur Chamkeli Shahyad Kabhi Raat Key Ghour Andherey Main Kahan Tak Jain
Dam Hey Labon Per Atka Ub To Akhri Sans Liyay Hum Kahan Tak Jain
Is Nagri Main To Miley Nahen Tum Talashney Tujhey Asman Pey Hum Kahan Tak Jain
Jabeen Per Hain Qatra_E_Paseena Bohut Dard Bhara Dil Liyay Hum Kahan Tak Jain
Tan Man Jala Dia Hey Terey Piyaar Ney To Deewangi_E_Ishq Liyay Hum Kahan Tak Jain |
Javed Imad
|
Group: Members Joined: 31st Oct, 2009 Topic: 14 Post: 367 Age:
39
|
|
Posted on:19th May 2010, 2:59am |
|
|
jinhein apna kaha unhi se zakham khaye baithe hain jo hamesha kaha karte the humein apna aaj unke dar par sar jhukaye baithe hain ! kuch to saza de woh humein hamari wafaaon ki, jo aaj kisi aur se dil lagaye baithe hain !!
yun kab tak intezaar karein hum tanha hi mauth ka, jab unke sath jeene marne ki kasmein khaye baithe hain ! ab woh kehte hai hum unhe bhool jaye, par kaise jab har pal ko ushi ki yadon se sajaye baithe hai !!
aaj uske sabab tanha hon par gum nahi zara bhi, aakhir woh to door jakar muskuraye baithe hain ! aur kya ziker karein is dil ke haal ka, jinhein apna kaha unhi se zakham khaye baithe hain |
Javed Imad
|
Group: Members Joined: 31st Oct, 2009 Topic: 14 Post: 367 Age:
39
|
|
Posted on:19th May 2010, 3:01am |
|
|
Kabi Nazrain Millany Mein Zamane Beet Jate Hain Kabi Nazrain Millany Mein Zamane Beet Jate Hain Kabi Nazrain Churrany Mein Zamane Beet Jate Hain
Kissi Ne Ankh Bhe Kholli To Soney Ki Nagri Mein Kissi Ko Ghar Banane Mein Zamane Beet Jete Hain
Kai Kali Siah Raatain Hamain Ik Pal Ki Lagti Hain Kabi Ik Pal Bitane Mein Zamane Beet Jate Hain
Kabi Khula Darwaza Kharri The Samne Manzil Kabi Manzil Ko Pane Mein Zamane Beet Jate Hain
Ik Pal Mein Toot Jate Hain Umer Bhar K Rishtay Wo Rishtay Jo Banane Mein Zamane Beet Jate Hain |
|
|
|