waise isme apki ghalti hai..ek to narmi..upar se apne unhe pehle se hi mana nahi kiya...
thik hai mai samajhti hun ke agar ladki ke waldain ko zaroorat ho to ladki shadi ke bad bhi apne parents ki agar thodi si help karde to is me koi harj nahi hai..lekin jis tarah ap bata rahe hain ye thik nahi hai..
apne ghalti ye ki hai ke apne limit nahi rakhi..apko sab se pehle in sab baton pe ghusse ka izhar karna chahye apni wife se,unse point to point bat karen..tell her ke ap unke lye paise kama rahe hain aur apne ghar ke lye na ke uske parents ke lye,,sath use ye bhi zaroor bataen ke apko uske parents ki help karne pe aitraz nahi hai lekin sab cheezon ki ek limit hoti hai..aur is ka har gorz matlab nahi hai ke apki wife apki ijazat ke beghair apka sara paisa urrati phire.shohar chahe to biwi se paison ka hisaab bhi le sakta hai,
islye ap pehle apni words me unhe samjhayen agar wo na samjhain to phir apko sakhti karni padegi ya phir unhe limit paise diya karain. |