|
New |
Group: Members
Joined: 24th Mar, 2008
Topic: 45
Post: 149
Age: 32
|
|
Posted on:6th Jan 2010, 2:59pm |
|
|
Domestic Problems: Cooking Problem - Bacha Tang Kerta Hai masla kuch yon hai keh mera baita pehlai bilkul tang nahi kerta tha, laikin ab 10month ki age main bohut tang kerta hai, keh mujhe her wakt utha ker rakhai. is wajha sai meri wife ko sara din usko sambhalna perta hai jis ki wajha sai kitchen ka kaam meri ammie ko kerna perta hai. sara din tang klerta hai jis ki wajha sai meri ammie meri wife ko kehti hein keh tum is ko sambhalo, kaam mein ker llon gi. ammie kehti to nahin hein laikin kabhi kabhar thora bohut keh bhi deti hein keh mein sara din kaam lagi rehti hun aur thak jaati hun, iska mujhe hal batain keh kia hona chai hai. |
New |
Group: Members
Joined: 24th Mar, 2008
Topic: 45
Post: 149
Age: 32
|
|
Posted on:6th Jan 2010, 3:00pm |
|
|
aik aur baat ak aur baat hai keh meri wife zara sust hai. jo kaam koi banda half hour mein kerta hai woh 1 ghaintai mein kerti hai. iska kia ilaj hai |
Veer |
Group: Moderators
Joined: 09th Aug, 2007
Topic: 93
Post: 4259
Age: 27
|
|
Posted on:6th Jan 2010, 4:45pm |
|
|
New susti ka ilaj sirf osi insaan ke pass hota hai jo sust hota hai.sust bandey ko jitna marzi juldi kaam karne ko keh dey woh nehin kar pata.yeh nehin ke woh karna nehin chahta.wese he yeh aak qudarti baat hai susti ,tazi sab qudarti amal hai.
aap ko mashwara hai ke aap ghar mein koi choti ladki rakh le kaam karne ke liye.jo kitchen ka sara kaam kar liya kare kapre dhoo diya kare.24 hr aap ke ghar mein he rahe.soye bhi aap ke ghar mein.
lekin esi ladki ho jise aap jante hon.itbaar wali ho. |
Waterr |
Group: Moderators
Joined: 15th Jul, 2009
Topic: 48
Post: 2946
Age:
|
|
Posted on:6th Jan 2010, 5:35pm |
|
|
Half hr ka kaam 1hr mai .. Kya ye susti ha? Mera nai khayal. Han 1hr ka kaam 3hr mai susti haHAR insan k reflexes, aik situ ko respnd karna ya speed aik se nai hoti. agar apke wife thori healthy hain ya pregnant hain tou waisy hey unki speed kum hoge waisy b bohat sari house wives yehe sochti hain k din k wohe kam karna haina bunda aram aram se kar lai.ye koi issue nai khaas kar half hour ka faraq baqi apke ami k pas agar baby jata ha tou wo usko sambhal lai thori dair n kitchen apke wife.. waisy 10mnth k baby ko zada shouq crawling bulke khud chalney ka hota ha nakeh mama ke goud mai janey ka,zara baby ko socialize karwain irad girad k babies ko ghar mai la kar..
|
Maryam |
Group: Members
Joined: 17th May, 2008
Topic: 25
Post: 4489
Age:
|
|
Posted on:6th Jan 2010, 5:40pm |
|
|
New bhai yeh age hi aisi hoti hae k is main bacha learning process main ajata hae . isliye us ka zyada khayal karna parta hae k kahin woh akelay main khud ko nuqsan na pohncha de . koi ghalat cheez na utha kar kha lay ya us ki diet waghera ka khyal rakhna paRta hae lekin is ka yehi hal hae k aap ki mrs baby ko saaf kar k usay khila pila kar aap ki walida ko de dain aur kitchen k kaam nimta lain . ya kitchen ka kaam aise waqt main kar lain jab bacha so jaye . yeh time thora crucial tou hota hae lekin khud ko waqt k sath dhalna paRta hae . zahir hae aap ki mother bhi is age main nahi k sara kaam akelay kar sakain . agar aap afford kar saktay hain tou maid rakh lain, not for 24 hours . ghar k kaam k liye aur washing k liye kitchen ka kaam ghar walay hi karain tou zyada behtar hae . jahan tak sust honay ki baat hae tou i think k na karnay se kar lena hi behtar hae so ignore this habbit :) |
New |
Group: Members
Joined: 24th Mar, 2008
Topic: 45
Post: 149
Age: 32
|
|
Posted on:7th Jan 2010, 3:28pm |
|
|
... larki waghera to nahin rakh saktai, ajj kal app ko maloom hi hai kis kisam kai maali halaat chal rahai hain. kapray aur safai kai liai to rakkhi hai, baki aur afford nahi ker saktai. doosri baat yeh hai keh bacha meri ammie kai paas jaata nahi hai agar jaata hai tou meri ammie sai sambhala nahi jata kyonkeh shrarti bohut ziada hai. din kai wakt bikul nahin soota sirf raat ko 10 bajai sai lai ker subah 9 bajai tak.
akela bhi nahi chor saktai kyon keh her cheez per haath marta hai, dhian hi rakhna perta hai. |
saim1 |
Group: Members
Joined: 23rd May, 2008
Topic: 39
Post: 4232
Age: 32
|
|
Posted on:7th Jan 2010, 7:16pm |
|
|
new bhai agar farz karien ke app alag ghar may rah rahe hote,yani ke app ki ammi ke sath na hote or app or app ki wife alag ghar may hote
tab tu app ki wife ko zaror ghar ka kam kisi bhi hall may karna hi parta
tu yeh i think koi itna bara masla nahi hey app ki wife ko tu phir bhi app ki ammi ki support he,lakin bhout si ais larkiya hoti haien jo ke bilkul akeli rhti haien or bachon ko bhi sambhalti haien or ghar ka kam bhi karti haien
yeh tu app ki wife ko hi khud sab manage karna pare ga,ku ke app ki ammi bhi kab tak akele ghar ka kam karien gi |
|