eagle fly
|
Group: Members Joined: 18th Aug, 2010 Topic: 74 Post: 2108 Age:
|
|
Posted on:31st Dec 2009, 7:03am |
|
|
Sunehri Aunty Sunehri Aunty apkay father ki death ki news sunkar bht afsos hoa.
ALLAH PAK apkay father ko jannat-ul-firdous main jaga tta farmaen aur apki family ko sabr-e-jameel atta farmaen. |
hasna
|
Group: Members Joined: 25th Apr, 2009 Topic: 41 Post: 2016 Age:
27
|
|
Posted on:31st Dec 2009, 8:15am |
|
|
sunehri apky father ki deat ka sun ker bht afsoos hua Allah pak unko jannat me jaga ata fermaye aur apky sbhi ghr wali ko saber dy ameen |
M Asif
|
Group: Members Joined: 31st Oct, 2008 Topic: 4 Post: 794 Age:
|
|
Posted on:31st Dec 2009, 10:48am |
|
|
Inna Lillah He Wa Innah Elahe Rajioon Sunehri Baji Sun ker Bohat Bohat Zayada Afsoos Hua .. ALLAH Unhay Jannat Mein Aala Makaam Ata Farmyen .. Ameen .. |
Hangama
|
Group: Members Joined: 02nd Dec, 2007 Topic: 39 Post: 1284 Age:
38
|
|
Posted on:31st Dec 2009, 7:33pm |
|
|
Sunehri Assalamualikum
ALLAH apkai father ko sahat yabi kai sath lambi age dai..
Ab kaisi tabiyat hai unki.. Bohot days sai apsai bhi bat nahi ho pai... |
madman
|
Group: Members Joined: 08th Oct, 2009 Topic: 9 Post: 137 Age:
|
|
Posted on:1st Jan 2010, 5:52am |
|
|
ENNA LELLAH WA INNA ELAHAIN RAJOON Sunehri jee akpey walid ke intekal ke dukh main hum sub shareek hain, Allah pak apkey walid ko Janat-ul-Firdos main makam ata kray aur ap sub ko sabar-e-jameel ata kray (amin)
|
lubnamalik
|
Group: Members Joined: 31st May, 2009 Topic: 30 Post: 425 Age:
27
|
|
Posted on:4th Jan 2010, 5:55pm |
|
|
ENNA LELLAH WA INNA ELAHAIN RAJOON sunehri sis...app k father ka sun ker bht hi afsoos hue allah pak unko jana tul firdoos mai jagha dy or apki family ko saber or hosla dy ameen |
System
|
Group: Members Joined: 03rd Jun, 2008 Topic: 40 Post: 2285 Age:
33
|
|
Posted on:4th Jan 2010, 6:43pm |
|
|
Sunehri Inalilah e wa ina alehe Rajeon
I am very sorry to hear that... I just saw this thread today and felt very shocked.. Allah app ko sabar ata farmay ameen.. |
sunehri76
|
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 100 Post: 4647 Age:
38
|
|
Posted on:11th Jan 2010, 7:05pm |
|
|
salaam mai un sab ki shukar guzar hun jinhon ne yahan replay kiya, aur jinhe ne dua ki.
sab kuch apni aankhon se dekhne ke bawajood yaqeen nahi ata ke ye sab ho gaya hai...hum insaan itne majboor hian ke humain Allah ki raza me khush hona padta hai..
jin member se mera kareebi taluk tha,un me se bohat kam ne yahan replay kiya..afsos is bat ka hai lekin sath me ye bhi pata chal gaya ke kaun kiske lye kitni ehmiyat rakhta hai.
|
Bewaqoof
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 263 Post: 4443 Age:
39
|
|
Posted on:11th Jan 2010, 8:16pm |
|
|
death of sunehri father Sunehri: mout ka waqt moqarrar hai. aap ke walid ke inteqal ki khabar sun ker bahut afsos hua, mujhe maloom hai keh father ki death per aap ketni ghamzada ho gi. Allah taala aap ko sabar ata farmaye.
meri nazar iss thread per aaj pari, kafi dino baad aap ka name dekha tu ise open kia aur yeh jaan ker afsos hua keh aap ke father ka inteqal ho gaya hai. |
sunehri76
|
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 100 Post: 4647 Age:
38
|
|
Posted on:11th Jan 2010, 9:52pm |
|
|
sabar--sabar sab yehi kehte hain...par pata nahi ye sabar kaise ata hai..
roz sone se pehle unki tasveer dekhti hun,jab mobile pe alarm bajta hai to aankh khulte hi unki tasveer nazar ati hai...roz sone se pehle unke lye bohat Duaen karti hoon.aur roz ye khwaish le kar soti hun ke wo mujhe khwab me hi nazar a jayen lekin kuch bhi nahi hota :(
ye jante hue bhi ke marne wale kabhi nahi lot.te ye khwaish kyoon hoti hai ke ek bar wo a jaen...unki death apni ankhon se dekhne ke bad wo har waqt zehan me ek film chalti rehti hai...Allah itna bada dukh kisi ko na de...lekin phir bhi sab ko is se guzarna padta hai... |
saim1
|
Group: Members Joined: 23rd May, 2008 Topic: 44 Post: 2214 Age:
36
|
|
Posted on:12th Jan 2010, 12:35am |
|
|
sunehri may tu app se ab bhi yeh hi kahongi ke sabar say kam laien
sab ko iss dunya say aik na aik din tu jana hi hey
Allah app ko bhout himmat de
ameen |
sunehri76
|
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 100 Post: 4647 Age:
38
|
|
Posted on:22nd Dec 2010, 2:14pm |
|
|
mere father ko gaye hue ek sal hone wala hai..par kyoon sabar nahi ata ?? kya wo khalish jo mai mehsoos karti hun sari umar rahegi ??shahid ye sab islye hai ke mai sari umar unke itne close nahi rahi jitni unki bemari ke bad unke close rahi hun
|
sunehri76
|
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 100 Post: 4647 Age:
38
|
|
Posted on:22nd Dec 2010, 2:16pm |
|
|
mujhe lagta hai ke mai akaili reh gayi hun ?? aisa kyoon ?? sab mere aas paas hain,par mai khud ko akaila kyoon mehsoos karti hun?? diplomate ..kya apke sath bhi aisa hota hai ??
|
lubnamalik
|
Group: Members Joined: 31st May, 2009 Topic: 30 Post: 425 Age:
27
|
|
Posted on:22nd Dec 2010, 6:11pm |
|
|
sunehri sis mai app k dukh ko bht achey se samajh sakti hoon merey abu ko tu fout huye 9 saal hoo gaye abb ammy ko ajj fout huye 43days hoo gaye hain uss din se ley ker ajj tak mai bemar hoon pehley abu ki yaad thi or abb ammy ki meri ammy ki age 58 thi or abu ki 50 mai tu sab se chuti hoon mera achanak pk janey ka program bana 2month rahi itni khushi k sath per anny se 3 din pehly ammy ki achanak tabiyat kharab hoo gaye app yaqeen mano mujey aisa lagta k mera koi nahi hai mai sab se bht tanha hoon or woh b pardes mai meri ammy roz mujy call karti thi abb b lagta k jaisey ammy ka phone aa jaye ga dil ko tasali nahi milti k merey parents nahi rahey yeh sadma bht bara hai jisko bulaya nahi ja sakta mujey sari raat nend nahi atti wohi sab ankhoon mai dimagh mai tasawar hai lykin kya karain Allah ko yehi manzoor tha hum log kya ker sakty hain mujey b sab saber karney ko bolty hn per nahi atta saber meri tu yehi dua hai k allah pak mujey b saber dey or apko b or jin k maa baap nahi hain unko b yeh dard wohi mehsoos karta hai jin k sath yeh hadsa hoo chuka hoo
|
lubnamalik
|
Group: Members Joined: 31st May, 2009 Topic: 30 Post: 425 Age:
27
|
|
Posted on:22nd Dec 2010, 6:28pm |
|
|
khair iss forum per maine b bataya tha per dr qasim or eaglyfly bhai or sunny bhai k siwa kisi ney afsoos nahi kiya i know dukh or gum mai kon kisi k sath shareek hota hai per mout tu aisi cheez hai kisi anjaney ka b jaan ker dili afsoos hota hai mai tu iss forum ki old members hoon khair koi baat nahi apnay apnay dil ki baat hai abb iss msg se mai nahi chahti k koi afsoos karey aisey afsos ka koi faida nahi ju zahir karwa ker kiya jaye maa baap aisi dolat hai jis ka naimul badaal hi iss duniyaan mai nhi Allah pak hum ko yeh sadma sehney ka husla or himat dey
|
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4679 Age:
30
|
|
Posted on:23rd Dec 2010, 5:34am |
|
|
lubnamailk sis Allah pak aap ki ammi k darjat buland farmaye aur un ki abdi zindagi meiN asaniyaN paida farmaye (ameen) maiN bohat mazrat chahti hoN k isi thread meiN mujhay pata chala . jaise bachay sab k sanjhay hotay hain isi tarah mayeN bhi sab ki sanjhi hoti haiN . i,m really very sorry. aap apni ammi k liye jitna paRh kar esaal e sawab karaiN.gi utna hi jald aap k dil ko sakoon ayega aur sabar bhi . Allah pak se dua hae k woh aap ko , sunehri ji ko aur aise sab behan bhai jin pe yeh saneha guzar gaya unhaiN himmat aur hosla de. jin k parents hayat haiN unhaiN barkat aur sehat wali zindagi atta farmaye.(ameen)
|
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4679 Age:
30
|
|
Posted on:23rd Dec 2010, 5:41am |
|
|
sunehri ji aap ko jin batoN ki wajah se khalish hae aap woh sab apni mother k sath compensate karnay ki koshish karaiN . aap to lucky haiN k Allah pak ne aap ko yeh moqa diya. aap beTi hokar abbu ki judai bardasht nahi kar parahiN woh to un ki shareek e hayat theiN . apnay abbu k liye jitna esaal e sawab karaiN.gi utna hi dil pursakoon hoga. parents ka na sirf zindagi meiN balkay wisaal k baad bhi bachoN pe yeh haq hota hae k un ki aulad un k liye sadqa e jariya banay. apni ammi ka bohat sa khayal rakha karaiN . Allah pak aap ko himmat ata farmaye.
|
M Amin
|
Group: Joined: 01st Jan, 1970 Topic: 11 Post: 175 Age:
|
|
Posted on:23rd Dec 2010, 2:45pm |
|
|
sister AoA i am new in this fourm me ap ka kuch dukh halka karna chahon ga mera dukh bhi shayad ap se kam nai hy mery bhai ko fout huwai 3 saal ho gayi hain ham dono ki dosti piyar or salok ki misal di jati the marny walon k sath koi mar to nai jata mager mann mar jata hy me ap ko eak choti si mager haqeeqi example deta hon har fankar ko apna fun har artist ko apna art or har kisi ko apni cheenain bohat azeez hoti hain wo chahta hy k log bhi is ko pasnd karin or is sy piyar karin jab k ye sab dunyavi hy esi tarha ye rishty jin ki bina par ham aik dosry sy jury hain yeh bhi sirf hamari pahchan hain jais bhai ka rishta behan ka maa ka baap ka rishta tu zara sochain ye rishty hamain kitne azeez hain is k baraks Allah jis ne hamin banaya hy paida kiya hy hamari hifazat karta hy yaqeenan Allah apni cheez(insan) sy 70% ziyada piyar karta hy to kiya wo hamain dukh me dekh saky ga so easy feel ap k father apny banay waly k pass chaly gayi hain ap preshan mat hon apni maa ki khidmat karin dili sakon hasil hoga...............aik bhai |
Bhimji
|
Group: Members Joined: 07th May, 2008 Topic: 13 Post: 1868 Age:
31
|
|
Posted on:23rd Dec 2010, 6:35pm |
|
|
Its shocking Main wese b pichle dinoon kam ata raha hun, kabhi aya b tau siwaye 2-3 ke sab threads ko overlook kr ke chala gya isi liye mujhe pta nahi chal ska ke Sunehri ke father aur Lubna ki mother ki death ho gai hae. Ksi shakhsiyat ka kahala tau poora nahi ho skta mgr Allah aap dono ko sabar ata farmaaye aur itni courage de ke aap ke iss saneha k zakham jald se jald mundmil ho jayen. Baap ka wajood insan ke liye bht bayes e hosla hota hi hae mgr maan chali jaye tau insan unn tamam duaaun se mehroom ho jata hae jo maan ke moonh se nikle huvay alfaaz ki soorat main insan ka ehata kiye rakhti hn aur usay afaat se bachati hn. Maan aur Baap dono bht khoobsurat rishte hn. Maan chali jaye tau insan mentally akela reh jata hae aur baap chala jaye tau socially tanhai ka shikar ho jata hae. |
M Amin
|
Group: Joined: 01st Jan, 1970 Topic: 11 Post: 175 Age:
|
|
Posted on:24th Dec 2010, 6:21pm |
|
|
sister lubna AoA I am new in this fourm I am sorry to say mujhy to bilkul malom nai tha but ab malom huwa hy to yaqeenan mery sath sath ham sab ap k dukh me baraber k shareek hain meri dua hy k Allah ap ki mother ko Jannat-ul-Firdoos main jagah aata farmai or ap sab ko bhi Saber-e-Azeem dy ameen.......aik Bhai |
|
For More Detail Click On Page No: 1 2 3 >> |
|