Hijaab, Niqaab Ya Pardaah
Niqab (Hijaab) Niqab ya pardah kia hai? Yeh sawal agar aap kisi se karenge to sab se pasandeeda jawab aap ko yahi milega k ek aurat jab outer loose kapre pehne gi aur chahre par ghoonghat sa banaiegi jis se us ka chehra dhaanp sake. Quran aur hadith main hijaab ya niqaab ki asee' meanings hain jo aagey es article main discuss kie jaaienge. Aur aaj kal bohot saare auraton ne hijaab ko apna bhi lia hai. Kuch logon ka yahi khayal hai jo k forum par bhi main ne kisi se suna tha k hijaab ya niqaab ko as a fashion use karna achi baat nahi. Ab yeh to mujhe pata nahi k fashion se un ka kia matlab hai, lekin us baat ki kafiat se mujhe laga k logon ko fashion name sunte hi western cultures zehen main beth jate hian jo k bilkul ghalat hai. Main aap ko batata chalon k Islam ka bhi apna ek fashion hai, Islam ki bhi apni ek khoobsoorti hai, Islam ne hamein yeh taleem kabhi bhi nahi di hai k ham apna hulia aisa banaie k samney wala hamein bore samajne lage. Haan yeh alag baat hai k saadgi ko Allah bhi pasand karta hai aur us ka Rasool SAW bhi. Agar koi aisa hijaab pehn'na chahe jis par karhai bohot umda ki gaie ho, us ki cutting bhi stylish ki gaie ho lekin un sharton ko poori kar rahi ho jo Islam ne muqarrar ki hai (jism ko chupa deta ho) to aisa hijaab pehen'ne main koi muzaaieqa nahi. Balke aisa hijaab pehen'na ziada munaasib ho ga. Insane variety chahta hai, agar ek hi qism ka hijaab pehna jaie jesa k Taliban ne muqarrar kia hai phir to non muslims to kia, muslims bhi islam se door bhagne lagenge. Ek baat aur, hamare muashire main jahan par niqaab ya hijaab ka ziada rujhaan hai, to ziada tar auraton ko hijaab pehen'ne k lie paband kia jaata hai. Aur esi baat par apne aap ko tasalli dete hain k aisa Islam ne kaha hai k un k auratien hijab pehene ya niqab pehene. Lekin jitni pabandi aurat ko karni chahie utna hi sakhti se mardon ko bhi hijab ka hokum dia gaia hai. Mardon ka hijaab kesa hota hai aaie Quraan-o-Hadith ki roshine main dekhte hain. Mardon ka hijaab Niqab ya hijaab k mutaliq Islam ne kaie ahkamat jaari kie hain jin main se kuch daraja zel hain. Ek mard ko ek namaharam aurat ki taraf dekhne se mana kia gaia hai. Allah ta'ala farmata hai, "aur keh do emaan walon ko k mard anjaan aurat k saamney nazar jhuka le aur apni paakeezgi ki hifazat kare" surah Al-Noor 30 Jab mard aur aurat k darmian kisi zaroorat k teht baat karna pare to darmian main parda zaroor hona chahie.. Allah Ta'ala fermata hai, "agar tumhe un se (na maharam aurton se) kuch poochna hai to kisi parde se peeche ho kar bat karo" Surah 33, Verse 53 Mard aur aurat ko tanhaie main nahi milna chahie, agar che woh baat bhi na kare, agar maharam saath na ho. Hazrat Muhammad SAW farmatey hain, "kisi mard ko us waqt tak kisi aurat se tanhaie main nahi milna chahie jab tak us aurat ka maharam us k saath na ho. Mishkaat Auraton ka hijaab Jesa k mardon k lie Islam main hijaab karne ka hukum dia gaia hai esi tarha aurton ko bhi hukum dia gaia hai k woh pardah main rahe. Allah Ta'ala fermata hai, "aur tum (aurtaien) gharon k hadon tak hi mehdood raha karo" surah ahzab 33 Es aayat ko kisi bhi tareeqa se interpret kia ja sakta hai. Jesa k western rules "Value" k mutabiq yeh auraton par zulm hai. Un k khayal main auraton ko mardon k saath shaana bashaana rehna chahie, un ki apni ek value honi chahie jesa k mard ki hoti hai. Western rules k mutabiq aurat agar khul-e-aam ghoomna chahe to ghoom sakti hai agar who apne husband k saamney kisi ko hug karna chahe to kar sakti hai, kiss karna chahe to kiss kar sakti hai, yahan tak k agar naked ghoomna chahe to ghoom sakti hai. Lekin es culture ki waja se ek to aurat sharm-o-haya se paak ho jaati hai to doosri taraf aise takaaleef ka saamna karti hai jo mard ka aise takaaleef ka saamna karna mumkin hi nahi hota. For example. Menses aur pregnancy k waqt bohot ziada shikayat hoti hai aurtaon ko, bohot saarey auratien to aisi hoti hain k aise haalat main un k lie baatein karna bhi nuqsaan deh hoti hai, lekin west main to woh es haalat main kaam bhi karegi aur acha result bhi show karegi. Aur phir yahan Pakistan main to aise sahooliat bhi nahi hain jo west main logon ko milti hai, agar Pakistan main aise auratein kaam karengi to sochie un ka kia haal hoga? Aeration k es freedom k nateeje main US main har saal 132000 rapes hote hain, aur en main se aadhey se ziada auratien apne attackers ko jaanti bhi hain. West k es freedom ne aurtaon ko stress, depression aur tenstion k elawa kuch bhi nahi dia gaia. Yahan par sawal yeh paida hota hai k eastern khawateen western k muqaable main ziada tense q rehti hain? Aur es k lie islam ko bhi doshi samajte hian, lekin yeh dosh islam ka nahi hamara apna hai. Islam ne kuch code of conducts muslamanon k die hain, unhe implement karna chahie, jo k ham musalmanon ki zima daari hai. Jin khushion k lie western auratien be pardah ho kar bazaaron main nikal gaie hain aur factrion main kaam karti hain, wahi khushian islam unhe ghar par deta hai. Agar kami hai to sirf es baat ki k hamare pass Islamic knowledge nahi hai. Aur agar hai bhi to bad qismati se ham implement nahi karte. Quran ki es aayat ko aisa bilkul interpret nahi karna chahie k yeh aurat par zulm hai, ya aurat ko ghar par hi nazar band kar dia hai. Islam ne aurat ko ghar k malkah ka darja dia hai aur unhe kuch zimadarian die gaie hain jo k woh zima darian bahar nikal kar poori nahi ki jaasakti. Aur agar aisi koi zima dari ya zaroorat ho jo k ghar se bahir nikalne k baghair poori nahi hoti, to us k lie who pardah main reh kar bahar ja sakti hai lekin maharam saath main hona chahie. Western rules "Value" auraton ka haq ya mardon k lie asaani? West ne jo aurat k azaadi ka dhoong rachaia hai kia yeh auraton k haq main bhetar hai? Bilkul nahi. Asal main western mard apni zimadarion se ji churaa rahe hain unhon ne aurat par kuch extra zimadarian daali hai jo k mardon ko poori karni chahie. Yeh auraton par sarasar zulm hai. lekin bad qismati se eastern auratien usi zulm sehne k lie sar hatheli par rakh kar koshishien kar rahi hain, agar eastern auratien apne real haq k lie larna shoro kar de jo k us ko islam ne dia hai to es baat main der nahi lagegi jab western auratein eastern auraton k khushion ko dekh kar islam ko follow karegi. Lekin es haq k lie larna sirf auraton ka kaam nahi, mardon ko bhi realize karna parega ka ba pardah rehne aurat ko islam ne jo haqooq die hain woh mardon ka farz hai k unhe poora kia jaaie. Allah hamein pane faraiez poora karne ki tofeeq ataa farmaie. Ameeeeeeeeen
|