Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

pakistani matrimonial
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Quran & Hadith Download
 
Warning: This Website is not for people less than 16 years of age. Please exit
 
Forum new question
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
New Topics (General)
Recent Reply (General)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

Does Early Morning Dream Real?

Religion and Culture   >>  Cultural Issus and Religion
 
 
* Noor Clinic *
aslamaslam Group: Members  Joined: 27th Jan, 2009  Topic: 65  Post: 108  Age:  27  
Posted on:18th Feb 2009, 3:39am
 

Does Early Morning Dream Real?

main nay suna hay kay fajar kay waqat jo khawab aye wo such ho jati hay iss main kitni haqeeqat hay.
Bhimji Group: Members  Joined: 07th May, 2008  Topic: 13  Post: 1868  Age:  31  
Posted on:18th Feb 2009, 5:25am
 

aslam sb.

Agar aisa hota tou ab tk meri 3 shadiyan ho chuki hoti - haa haa
Any how yeh tou mazaq ki baat thi. I think yeh sab suni sunaai baatein hain. Practically aisa hota nahin dekha kabhi kisi k sath.

s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 99  Post: 5405  Age:   
Posted on:18th Feb 2009, 5:44am
 

aslamaslam

ji haan ye sab suni sunai batein hain.

wese buhot kam khwaub hi ese hote hain jo sache hon.


myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 130  Post: 7699  Age:  55  
Posted on:18th Feb 2009, 5:49am
 

bhimji

wah kia baat hai aap ki ... aap sirf yehi khaab dekhtay haiN kia lol

waisay khaab k baray maiN yeh bhi kahaa jataa hai k agar achay khaab dekho to share karsaktay ho... lekin agar koi boraa khaab dekho to kissi ko nah batlaa'o...

sirf Ambayaa AS k khaab sachay hotay haiN jo wahi hi ki aik qism hai... yehi wajah hai k aik Nabi AS nay jab yeh khaab dekha k woh apnay laaDlay beTay ko zabah kar rahay haiN to issay wahi /Allah ka hukm samajh kar iss par amal kar dekhayaa...

koi ghair Nabi... yani aam muslim apnay kissi bhi khaab par amal karnay ka paband nahi... bilkhasoos agar woh khaab islami shariyat say motasadam ho

Bhimji Group: Members  Joined: 07th May, 2008  Topic: 13  Post: 1868  Age:  31  
Posted on:18th Feb 2009, 5:55am
 

Rizvi Bhai

very nice reply.
Main b yehi words kehne chaah raha tha lekin alfaaz ka tana bana nahin bn raha tha. hehe

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 130  Post: 7699  Age:  55  
Posted on:18th Feb 2009, 5:58am
 

S4u

u r right k aisa koi kulia nahi k jo khaab fajir k waqt dekha jaye woh laazman such ho ... lekin kabhi kabhar aisaa ho bhi jata hai... khud meray saath aik martabah aisaa howaa k maiN nay khaab dekhaa (fajir k waqt k aik sahab hamaray ghar aayee aur hamain aik ghair maamooli news di.... aur thoRi hi dair baad aankh kholi k koi sahab door knock kar rahay haiN... aur phir onhouN nay wohi same news sonayee, jo maiN nay khaab maiN dekhaa thaa..... yeh khaab maiN nay aj tak kissi ko nahi batlayaa...... yahaaN to chounkay personally koi aik doosray ko nahi jaantaa iss liyeh share kardiaa........ issi tarah ki ikka dokka ittefaqia khaab agar ghair zaroori taur par mosh.tahar hojayaiN to wohi baat mash'hoor hojati hai, jiska zikar ooper aslam nay kia hai

 

zeb Group: Members  Joined: 18th Aug, 2007  Topic: 114  Post: 13607  Age:  33  
Posted on:18th Feb 2009, 8:33am
 

yes

bilkul

aisa mere stah bhi kabhi kabhi hua hai

k kabhi koi khawab asia bhi aa jata hai jo kuch dino bad such ho jata hai

bus ye sub Allah k kaam hain....wohi behter janta hai k sahi kia hai

s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 99  Post: 5405  Age:   
Posted on:19th Feb 2009, 12:50am
 

My Rizve uncle

yes yahi bat hai na k zarori nahi k her khwab jo k Fajir k bad dekha jae wo sach hi ho.

maine aik bar khwab k bare book me detail dekhi to os me likha tha k jo khwab din me dekha jae yani Fajir k bad os khwab ki tabeer 10 dinu me pori ho gi...isi lie to main din me hi soti hon...hahah

aur aap yahan ache khwab share krne ki bat krte hain to maine bhi kafi sare ese khwab dekhe jo buhot hi mubarak sabit hoe(Masha Allah).....bas aik khwab ki tabeer nahi mil saki jise dekhe hoe kafi arsa guzar chuka hai...per itna keh sakti hon k wo zaror acha hi hai.....
sunehri76 Group: Members  Joined: 04th Aug, 2007  Topic: 100  Post: 4647  Age:  38  
Posted on:19th Feb 2009, 10:38pm
 

waise

aksar sun.ne me ata hai ke jo khwab subha ke time dekha jaye uske sach hone ke chances ziyada hain, agar bura khwab dekho to foran sadka de dena chahye.

 

zeb Group: Members  Joined: 18th Aug, 2007  Topic: 114  Post: 13607  Age:  33  
Posted on:20th Feb 2009, 9:40am
 

okies

okiessssssssss
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 130  Post: 7699  Age:  55  
Posted on:20th Feb 2009, 10:17am
 

sucha khawaab!

such.cha khawaab to aik taabib ilm aksar dekha kartaa thaa... jab oss say poocha gaya k kaisa khaab to bolaa... maiN akser khaab maiN dekhtaa houN k class maiN baithay baiThay so chukaa houn aur master sahab mujhay chaRi say peeT rahay haiN... aur jab aankh khulti thee to  khaab bilkul such.cha hotaa thaa... master sahab waqe'ee maiN mujhay peeT rahay hotay thay... haaaa haa

s4u

masha Allah... aisaa bhi hota hai

hamzi Group: Members  Joined: 24th Mar, 2008  Topic: 11  Post: 1070  Age:  28  
Posted on:20th Feb 2009, 11:15pm
 

aslam

bahi khwab main aksar hamy woh cheezain dekhty hain jin ko hum sochty hain ya jo hamary din bhar k mamlat main cheezain havi hoti hain wase main sab ki bat se itfak karoun ga k yeh lazmi nahi lakin aik bat suni hai k khwab har kise ko nahi sunana chaye kion k jo shaksh pehli tabeer batata hai woh aksar sahi nikal jati hai chaye woh tabeer ghalt he kion na batyi gai ho
Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 27  Post: 4679  Age:  30  
Posted on:20th Feb 2009, 1:54pm
 

khawab ki haqeeqat

khwabon ka insani ki zindagi se gehra taluq hae yeh subconcious mein khulne wala rasta hae khwab ki koi na koi haqeeqat hae isi liye Hazrat Yousaf (A.S) ko khawabon ki taabeer ka ilm diya gaya. meray sath aksar aisa hota hae k sachay khwab atay hain jo poore bhi hote hain. lekin baqi sab ki baat bhi theek hae k zaroori nahi aisa sab k sath hi ho. bure khawab shetan dikhata hae isliye un ka zikar nahi karna chaiye hamzi ki baat bhi sahi hae k woh na bataye jaien. is k mutaliq detail likhongi lekin baad main inshaAllah.
ch Babar Group: Members  Joined: 15th Jul, 2007  Topic: 32  Post: 1873  Age:  40  
Posted on:20th Feb 2009, 3:02pm
 

Maryam

Very Nice:)
anaa Group: Members  Joined: 23rd Mar, 2011  Topic: 2  Post: 133  Age:  24  
Posted on:14th May 2011, 6:55pm
 

question

anaa Group: Members  Joined: 23rd Mar, 2011  Topic: 2  Post: 133  Age:  24  
Posted on:14th May 2011, 6:55pm
 

ana

kia koi plz mere aik q mere help kar dega
sanjeegde se
plz
any one

anaa Group: Members  Joined: 23rd Mar, 2011  Topic: 2  Post: 133  Age:  24  
Posted on:14th May 2011, 6:55pm
 

ana

kia koi plz mere aik q mere help kar dega
sanjeegde se
plz
any one

DrKamiAli Group: Members  Joined: 12th May, 2011  Topic: 1  Post: 377  Age:  33  
Posted on:15th May 2011, 1:28am
 

@ Anaa

Kaunsa question?
For Detail Click On Page No: 1
 
 
 
 
Pakistani in Italy  How to find job in Dubai  Anita Dongre Fashion Designer In Dubai

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 30th May 2014